SAAMAAN E FAROKHT KE 'AYEB KO CHUPA KAR USEY BEYCHNA.


Ibnatu Ali

Member
❍SAAMAAN E FAROKHT KE 'AYEB KO CHUPA KAR USEY BEYCHNA.

بسم الله الرحمن الرحيم​

Nabiﷺ ek ghaley ke dhair ke paas se guzrey, uss mein apna haath daala toh Aapﷺ ki ungliyan geeli ho gayein, iss par Aapﷺ ne farmaaya:
◄ ما هذا يا صاحب الطعام؟ قال: أصابته السماء يا رسول الله، قال: أفلا جعلته فوق الطعام كي يراه الناس، من غشنا فليس منا.​
"Aye ghalley waaley! ye kya hai? uss ne kaha: Aye Allah ke Rasool ﷺ! isey baarish ne bhigodiya tha, iss par Nabiﷺ ne farmaaya: tum ne isey oopar kyun nahin kardiya taa ke isey log dekh sakein? Jis ne dhoka kiya woh hum mein se nahin hai".
❲Sahih Muslim 1/99❳

Aaj kal bahut se taajir wa saudagar aur apna saamaan beychney waaley jo Allah se nahi dartey, woh apney saamaan ke 'ayeb ko chupa kar beychtey hain, yaa kharab maal saamaan ki peyti ke sab se neechey rakh detey hain, yaa usey acchi surat mein laaney ke liye uss par kuch chemical iste'mal kartey hain, yaa electronic machine ki 'ayeb bataney waali awaaz ko chupa kar dhoka detey hain phir jab kharidaar laut kar apney ghar aata hai toh woh saamaan jald kharaab ho jaata hai, aur ba'z log saamaan ke khatam hone ki taareekh[Expiry date] ko badal detey hain, yaa kharidaar ko saamaan ka mu'aaina nahi karney detey, aur bahut se log yaa gaadiyan yaa unkey purzey beychtey hain woh uski khaamiyan bayaan nahin kartey jabke ye haraam hai, Nabiﷺ ka irshaad hai:
◄المسلم أخو المسلم و لا يحل لمسلم باع من أخيه بيعاً فيه عيب الّا بينه له.​
"Musalmaan musalmaan ka bhai hai aur kisi musalmaan bhai ke liye apna maal farokht karna uss waqt tak halaal nahin hai jab tak ke woh usey iss saamaan ka 'ayeb wa khaami bataa naa dey".
❲Ibne Maajah 2/754, Sahih ul jaame' 6705❳

Caron[Cars] ke ba'z taajir log ye samajhtey hain ke jab woh nilaami mein kharidaar ko ye kahein ke main lohey ka dhair beychta hoon… toh unkey sar se 'ayeb bataaney ki zimmedaari ka bhojh utar jaata hai, haalaanke ye tijaarat baghair barkat ke hoti hai, jaisa ke Nabiﷺ ne irshaad farmaaya hai:
◄البيِّعان بالخيار ما لم يتفرقا، فإن صدقا وبيّنا بورك لهما في بيعهما وإن كتما وكذبا محقت بركة بيعهما.​
"Bai' aur mushtari [khareedney aur beychney waala] dono ko uss waqt tak ikhtiyaar hai[chaahein toh mu'amla rakhein aur chaahein toh tod daalein go ejaab wa qubool ho chuka ho] jab tak ek doosre se juda naa hon, aur agar un dono ne sach kaha aur 'ayeb waghairah bayaan kiya toh uss bai' mein barkat daali jaayegi, aur agar unhon ne jhoot se kaam liya aur 'ayeb ko chupaya toh unki bai' aur khareed o farokht mein be-barkati ho jaayegi".
❲Sahih ul Bukhari ma' Al Fath 4/327❳

━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩ Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah] Page No: 76,77,78┃
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Shona shaikh Khareed o Farokht 0

Similar threads


Top