Ruku ke baad hath kahan rakhien?


Namaz mein Ruku ke baad hath bandhna ke dalail!

1) Alqamah bin wail radiallahuanh apne baab se riwayat karte hai ke mein ne Rasool Allaah sallallahu alaihi wasallam ko dekha aap sallallahu alaihi wasallam namaz mein jab bhi khade hote the toh apne dayein hath ko bayein hath we pakad ke bandh lete thain

(Sunan Nisai Hadees No.888)

Allamah Jalal uddin seyuti Rahimemaullah ki kitab Al-jameh sagir page 191 jild 2 mein ek hadith Maujod hai.


Janab Muhammad Rasool Allaah sallallahu alaihi wasallam jab namaz ke andar khade hote toh apne dayein hath ko bayein hath ke upper rakhte the.

Iss hadith Allamah Jalal uddin seyuti Rahimemaullah ne Hasan aur mautabar qarar diya hai


Sohail bin Saad radiallahuanh se riwayat hai ke (Zamana Nabwi mein) logo ke yeh hukum diya Jata Tha ke (namaz mein) har mard apne dayain hath bayein hath ki kalaye pe rakhe

(Sahih Bukhari Hadees No.740)

Iss qism ki Riwayat marfu ke hukum mein hogi q ke Rasool Allaah sallallahu alaihi wasallam ke illawa koi dusra hukum Dene wala nhi Tha jaise ke kutub-e-usool Kifayat ul Khateeb, Sarah al nakhbah, Muqadmah ibn Saleh, waigra mein mazkur hai.


 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
M Namaz 0

Similar threads


Top