Rozey ki farziyat


Rozey ki farziyat

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

صَوْمُ رَمَضَانَ أَحَدُ أَرْكَانِ الإِْسْلاَمِ الْخَمْسَةِ كَمَا جَاءَ فِي حَدِيثِ ابْنِ عُمَرَ - رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا - أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَال: بُنِيَ الإِْسْلاَمُ عَلَى خَمْسٍ: شَهَادَةِ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُول اللَّهِ، وَإِقَامِ الصَّلاَةِ، وَإِيتَاءِ الزَّكَاةِ، وَحَجِّ الْبَيْتِ، وَصَوْمِ رَمَضَانَ


Ramazaan ka rozah Islaam ke paanch arkaan mein se ek rukn hai, jaisa ke Ibn 'Umar (Raziyallaahu 'Anhumaa) ki Hadees mein aaya hai ke Nabi (ﷺ) ne farmaaya: "Islaam ki bunyaad paanch cheezon par rakhi gayi hai: Is baat ki gawaahi dena ke Allaah ke siwa koi ma'bood e barhaqq nahin aur Muhammad (ﷺ) Allaah ke Rasool hain, Namaaz qaayem karna, Zakaat adaa karna, Bayt Allaah ka Hajj karna aur Ramazaan ke rozey rakhna." [1]


وَدَل الْكِتَابُ الْكَرِيمُ عَلَى وُجُوبِ صَوْمِهِ، كَمَا فِي قَوْله تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ}


Aur Qur'aan e Kareem se ma'loom hota hai ke uske rozey rakhna farz hai, jaisa ke Allaah (تعالى) ka irshaad hai: "Aye Eemaan waalo! Tum par rozey farz kiye gaye jaisa ke un logon par farz kiye gaye the jo tum se qabl hue hain taake tum muttaqi banjaao." [2]


وقَوْله تَعَالَى: {شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنْزِل فِيهِ الْقُرْآنُ هُدًى لِلنَّاسِ وَبَيِّنَاتٍ مِنَ الْهُدَى وَالْفُرْقَانِ فَمَنْ شَهِدَ مِنْكُمُ الشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ}الآْيَةَ. وَفَرْضِيَّةُ صَوْمِهِ مِمَّا أَجْمَعَتْ عَلَيْهِ الأُْمَّةُ.


Aur Allaah (تعالى) ka irshaad hai: "Maah e Ramazaan woh hai jis mein Qur'aan utaara gaya hai, logon ke liye Hidaayat hai (us mein) khule hue (dalaayel hain) Hidaayat aur (haqq wa baatil mein) imtiyaaz ke nishaaniyaan hain, so tum mein se jo koi us maheeney ko paaye, laazim hai ke woh (maheenah bhar) rozah rakhe." [3] aur uske rozey ki farziyat par Ummat ka ijmaa' hai.

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________


References:


[1] Muttafaqun 'Alayh [Bukhaari wa Muslim]

[2] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 183.

[3] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 185.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Roza 0
Abul Husayn Roza 0

Similar threads


Top