RIZQ-E-HALAAL


RIZQ-E-HALAAL
Tahreer: ABU MUAAZ hafizahullah
(AL-HADIS shumaarah No.81, page:49)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Irshaad BAARI TA'ALA hai:

يَا أَيُّهَا النَّاسُ كُلُوا مِمَّا فِي الْأَرْضِ حَلَالًا طَيِّبًا وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ
"Aye logo! khaawo us mein se jo zameen mein hai: halaal paak, aur shaitan ke qadmon ki pairwi na karo, be shak who tumhara khula dushman hai."(Surah al-Baqarah:168)

FIQHUL-QURAH:

(1)
Malom howa ke jo cheez paak o saaf aur halaal nahi, yani najis, naapaak aur gandi hai, us ka khaana jaayez nahi balke haraam hai.

(2)
Jin ashyaa ko Quran, Hadis aur Ijmaa-e-Ummat ki daleel se haraam qaraar dya gaya hai, who haraam hain. Isee tarha Aasaar-e-Salaf Saliheen aur saleem-ul-fitrat momin ki tabaaye se jin ashyaa ka makroh aur naapasandidah hona saabit hai, un ka khana bhi jaayiz nahi.

In ke ilaawah tamaam ashyaa jaayez hai.

(3)
Rizq-e-Halaal ki talab mein rahna aur haraam se kuli ijtinaab karna farz hai.

(4)
Shaitani raaston aur aasaar-e-iblisiyyah masalan: Shirk, Kufr, Bid'aat aur Gunaah se apne daaman ko bachana zurori hai.

(5)
Hadis-e-Qudsi mein hai, yani ALLAH TA'ALA ne farmaya:
كُلُّ مَالٍ نَحَلْتُهُ عَبْدًا حَلاَلٌ
"Maine bande ko jo maal diya hai wo tamaam (uskeliye) halaal hai."(Sahih Muslim:2865, Darussalam No.7207)

(6)
Imam Qataadah rahimahullah(Tabayee) ke nazdeek " خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ " se muraad uski khataayen hai.(Tafseer Ibn Jareer:2/24, Hadis No.2439, aur is ki sanad SAHIH hai)

Aur Suddi Kabeer(Ismayeel Bin Abdul Rahmaan, Tabayi Sagheer) ke nazdeek is (" خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ ") se muraad shaitan ki pairwi hai.(Tafseer Ibn Jareer:2/24, Hadis No.2439, aur is ki sanad SAHIH hai)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
A Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top