RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam KA SAAYAH


RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam KA SAAYAH

TAHREER : MUHADDIS-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI HAFIZAHULLAH

Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke saya ka saboot kayi ahadees Sahihah mein hai aur is ke khilaaf kuch bhi saabit nahi hai?.
Tabqaat Ibn Saad (Jild 8 page: 126-127 in alfaaz ke saath) aur masnad Ahmed(6/131-132, 161)mein imam muslim ki shart par "SHOMAISAH rahimahullaha" se riwayat hai ke Sayeda aisha razi Allah-anha ne farmaya :
((فَبَيْنَمَا أَنَا يَوْمًا بِنِصْفِ النَّهَارِ، إِذَا أَنَا بِظِلِّ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مُقْبِلٌ))
"Dopahar ka waqt tha ke main ne dekha ke RASOLLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka sayah aaraha hai."

SHUMAISAH rahimahulla-ha ko Imam Ibn Mayeen rahimahullah ne 'siqqah' kaha hai. (Tarikh Usmaan Bin Sayeed al-Daarmi418)

Aur in se Shuabah rahimahullah ne bhi riwayat ki hai aur Shuabah(hattal imkaan) apne nazdeek aam taur par sirf siqah se 'siqqah' se riwayat karte the.
(Tahzeeb-ul-Tahzeeb:1/4-5) "Kamaa Howa Aghlab" 'Jaisa ke ye sab se ziyadah hai'.

Lihaaza ye 'Sanad' SAHIH hai isee tarha ki ek taweel riwayat Ummul Mumineen Safiyyah raziallahu-anha se bhi marwi hai jis ek hissah kuch yon ahi:
((فَلَمَّا كَانَ شَهْرُ رَبِيعٍ الْأَوَّلِ، دَخَلَ عَلَيْهَا، فَرَأَتْ ظِلَّهُ))
(Musnad Ahmed:6/338)
"Jab Rabi-ul-Awal ka mahinah aayaa to AAP sallallahu alaihi wasallam in ke paas tashreef laye unho ne AAP sallallahu alaihi wasallam ka saayah dekha."
Is ki sanad SAHIH hai aur jo ise 'Zaif' kahta hai wo khata par hai kion ke "SHUMAISAH" rahimahullah ka 'Siqqah' honaa saabit hochuka hai.

Sahih Ibn Khuzaimah:2/51, Hadis No.892 men bhi SAHIH sanad ke saath Anas raziallahu anhu se rawayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne faramaya:
((حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّيَ وَظِلَّكُمْ))
"Yahan tak ke maine apna aur tumhara saayah dekha."

Ise Imam Hakim aur Imam Zahbi rahimahullahi-alaihima dono ne SAHIH kaha hai.(Al-Mustadrak lil-Hakim:4/456)

Kisi SAHIH yaa HASAN riwayat se ye qat'an sabit nahi hai ke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka saayah nahi taha 'Siyooti' rahimahullah ne "Khasayes al-Kubra" me jo riwaayat naqal ki hai wo usol e hadis ki ro se baatil hai.



 

Similar threads


Top