RAQS-O-SIMA AUR KHIRQAH POSHI


RAQS O SIMA AUR KHIRQAH POSHI
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.74, page:13)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Shaikh Abu Muhammed Mahmod Bin Abil-Qasim Bin Badran al-Dashti Hanafi rahimahullah(Mutawaffa:665 Hijri) ne farmaaya:

ٲلافٳن الرقص استمع الغناءوالشبابات واللعب بالشطرنج ولبس الخرقة من المشایخ وتقلیدالجھال من العبّاد ٲمرتبیّن زیغه عندٲھل الٳسلام والسنة
"Logo sonlo! beshak raqs karna, gaane son'na, baansri bajana, shatranj khelna, mashayekh(peeron) se khirqah poshi karna, jaahil ibaadat gozaaron ki taqleed(unki muqarrar kardah alaamaat ko bataure nishaan pahen'na ya ihtiyaar karna) isee baaten hain jin ki Ahl-e-Islam aur Ahl-e-Sunnat ke nazdeek waazeh gumraahi hai."(Kitaab al-Nahiya Anil-Raqs wal-Istimaa:2/676)
 
Top