RAMAZAAN MEIN IBAADAT MEIN MASHGHOOL HONE KI WAJAH SE KAMAAYI CHHORD DENA


RAMAZAAN MEIN IBAADAT MEIN MASHGHOOL HONE KI WAJAH SE KAMAAYI CHHORD DENA

بسم الله الرحمن الرحيم

• Jumhoor Fuqahaa' ka maz'hab ye hai ke zarooratmand aadmi ke liye baqadar zaroorat kamaana Farz hai, aur Fuqahaa' ka ikhtilaaf hai ke in dono mein kaun afzal hai, Kamaane mein mashghool rehna afzal hai Ya Ibaadat ke liye faarigh rehna?

• Chunaanche ba'd Hazraat ka maz'hab ye hai ke Kamaane mein mashghool rehna afzal hai, isliye ke Kamaane ki munfa'at (faayedah) aam hai, pas maslan jo shakhs Ziraa'at (kheyti baadhi, agriculture) mein mashghool hai uske amal ka nafa' Musalmaanon ki jamaa'at ke liye aam hai aur jo shakhs Ibaadat mein mashghool hai woh sirf apne aap ko nafa' (faayedah) pohncha raha hai.

• Aur Kamaayi ke zariye Insaan tarah tarah ki Taa'aton (Farmaabardaari) ke adaa karne par qaadir hota hai, maslan Jihaad, Hajj, Sadaqah, Waalidayn ke saath Ihsaan, Silah Rehmi aur Rishtedaaron aur Ghair Rishtedaaron ke saath Husn e Sulook aur Ibaadat mein mashghool rehne mein sirf ba'z aqsaam ki ibaadat ke adaa karne par qaadir hota hai, maslan Rozah aur Namaaz.

• Aur jin Hazraat ka maz'hab ye hai ke ibaadat mein mashghool rehna afzal hai, unki daleel ye hai ke Anbiyaa' wa Rusul (عليهم السلام) aam auqaat mein kamaane mein mashghool nahin hote the aur ibaadat mein unki mashghooliyat zyaadah thi, lihaaza ye daleel hai ke ibaadat mein mashghool hona afzal hai, isliye ke Anbiyaa' (عليهم السلام) apne liye a'laa darjey ko ikhtiyaar farmaate the.

• Aur is bina par jo shakhs itne maal ka maalik ho jo Ramazaan mein uski zaroorat ke liye kaafi hojaaye, uske haqq mein is maheeney ki fazeelat ko haasil karne ke liye ibaadat mein mashghool rehna afzal hoga, warnah kamaana uske haqq mein afzal hoga taake zaroori cheezon ko haasil karna us par Farz hai unko tark na karey.

Aur Imaam Ahmad ne apni Musnad mein Wahb Bin Jaabir Khaywaani se riwaayat naqal kee hai, woh farmaate hain ke main Bayt Al-Maqdis mein 'Abdullaah Bin 'Amr (Raziyallaahu 'Anhu) ke paas aaya, unke paas unka ek ghulaam aaya aur usne kaha ke main chaahta hoon ke is maheeney Ya'ni Ramazaan mein yahaan qiyaam karun toh Abdullaah (Raziyallaahu 'Anhu) ne us se kaha: Kya tum apne Ahl wa 'Ayaal ke liye kuch maal chhord aaye ho jis se unke khaane peene ki zaroorat poori ho? Toh usne kaha: Nahin, Abdullaah (Raziyallaahu 'Anhu) ne farmaaya: Phir toh nahin, tum waapas jaao aur unke liye itna maal chhord kar aao jis se unki Ghizaayi zaroorat poori ho, isliye ke maine Rasool Allaah (ﷺ) ko ye farmaate hue suna: "Insaan ke gunaahgaar hone ke liye ye kaafi hai ke woh un logon ko zaaye kardey jinki rozi uske zimmey ho." [1]

• Aur Khateeb ne apni kitaab [ Al-Jaami' Li-Akhlaaq Al-Raawaa wa Aadaab Al-Saami' ] mein is Hadees ka unwaan in alfaaz mein qaayem kiya hai: Hadees ke Taalib e Ilm par Ahl wa Ayaal ke liye peyshah ikhtiyaar karne aur Halaal kamaane ke wujoob ka bayaan. [2]

[Source: Al-Mawsoo'ah Al-Fiqhiyyah]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_________

References:

[1] Musnad Ahmad aur Al-Khateeb Al-Baghdaadi ne Al-Jaami' mein aur yahaan Khateeb ke alfaaz naqal kiye gaye hain, aur Zahabi ne Al-Meezaan mein zikr kiya hai ke Abdullaah Bin 'Amr se jo iski riwaayat karne waale hai, un mein jahaalat hai lekin Hadees is lafz ke saath Saheeh hai:

كَفَى بِالْمَرْءِ إِثْمًا أَنْ يَحْبِسَ عَمَّنْ يَمْلِكُ قُوتَهُ

"Insaan ke gunaahgaar hone ke liye ye kaafi hai ke woh un logon par kharch na karey jinki rozi uske zimmey hai." Is Hadees ko Imaam Muslim ne riwaayat kiya hai: 2312.

[2] Al-Jaami' Lil-Khateeb Al-Baghdaadi: 1/97; Al-Kasb Lil-Shaybaani, Pg: 44, 48.
 

Similar threads


Top