RAJAB KE MANINE KI BI'AAT


RAJAB KE MAHINE KI BID'AAT
TAHREER : HAFIZ SALAHUDDIN YOUSUF rahimahullah
makhoz az kitaab: Mas'alah Royete Hilaal aur 12 Islami Mahine
Roman Script : Abu Umaimah Owais / Qazi Muhammed Fazl-ul-Haq
Al-Hamdulillah wassalato wassalamo ala Rasool Allah wa ala aali-hi wa Ashabihi Ajmein.

Rajab islami saal ka satwa mahina hai.


Rajab ka lafz "tarjiyet" se hai jis ke mane tazeem ke hain, is mahine ki tazeem aur hurmat ki wajah se is ka naam "rajab" rakha gea kion ke arab is mahine me jung aur ladai se pori tarah door rahte the.
(Al-Qamoos al-Muheet:1/74. Lisan-ul-Arab: 1/411-412)


Kuch mahine Mubarak hain jin ki khas fazilat ahadis-e-sahih me bean ki gai hai aur in mahinon me kuch khair ke kaamon ki aur amaal ki taraf targeeb aur talqeen ki gai hai, jaise "Shabaan", "Ramaza", aur "Zilhajjah" wagairah. likin rajab ka mahina aisa hai jis ki koi imtiyazi fazilat kisi Sahih Hadis me nahi aei hai. Rajab ke mahine ki sirf itni fazilat hai ke ye chaar(4) ehteram wale mahine me se ek hai. Rajab ke elawa "Ziqadah", "Zilhijjah", aur "Muharram" ek sath ane wale teen mahine ehteram wale hain. In chaar mahinon me islam se pahle bhi ahl-e-arab jung aur ladai ko naa pasand karte the, jaisa ke quran kareem me is ka zikar ea hai aur jis waqt ye dunya wajood me aei uss waqt hi se ye chaar mahine qabil-e-ehteram hain aur uss waqt hi se arab me in mahinon me jung aur ladai haram aur mamnoo hai. Is etebaar se islam me mahe rajab ki sirf ye fazilat sabit hai ke ye chaar ehteraam wale mahinon me se ek ehteraam wala mahina hai.

RAJAB KE MAHINE ME SUNNAT SE SABIT KAAM
Ahadis-e-Sahiha me is mahine se mutaleq kisi nek amal ko fazilat ke sath khaas nahi kiya gea. Jin baaz amaal ko fazilat ke sath badha chadha kar bean kiya jata hai, wo sirf qisse kahaniyan aur manghadat aur jhooti riweat aur dastanain hain, lihaza jo kaam Quran wo Hadis se sabit hain, unpar amal kiya jai.


Aam muslaman Rajab ke mahine me kai aise kaam karte hain jo galat aur bid'aat ke kaam hain aur ye bid'aat in aam musalmanon ke dilon me is tarah baith chuki hain ke in bid'at ko faraz se bhi ziyada zuroori samajh liya gea hai. Aur is ki wajah wo manghadat fazilaten hain jo ahl-e-bid'at hazraat bean karte hai, jaise Rajab ke mahine me "Jumerat", "Juma" aur "Hafte" ke teen din roze rakhna, aur Juma ki raat mugrib se isha tak makhsoos andaaz me 12 rak'at namaz padhna, Rajab ke mahine ke pahle juma ki raat ko "Salat-ul-Ragaib" padhna. Is mahine me bahut ziyada nafil roze rakhna aur ajar wa sawab ki niyet se isee mahine me zakaat dena. Rabjab ki 22 tarikh ko "KONDON" ki rasam ada karna. 27 Rajab ki raat ko "SHAB-E-MERAJ" ki wajah se khusoosi ibaadat karna, masajid ko lighton se sajana, is din ka rooza rakhna, jalse juloos ka ehtemam karna, aur in jaise khurafaat par amal karna. (in me se koi bhi cheez ahadis-e-sahiha se sabit nahi hai)

RAJAB KE MAHINE KI TEEN BADI BID'AAT
1) Kondon(kheer pooriyon)ki rasam
2) Salat-ul-Ragaib
3) Shab-e-Meraj


Rajab ki bid'aat me ek kondon ki rasam bhi hai jise bahut sawab samajh kar kiya jata hai.

EK MAN-GHADAT AUR AJEEB KAHANI
Is kahani ki bunyaad quran ke kisi hukom yaa Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ke kisi farman yaa fiqah ke kisi mas'ale par nahi hai balke ek man-ghadat kahani par hai jise "DAASTAAN-E-AJEEB" kaha jata hai. jis ki koi sanad(autheticity) nahi hai, aur naa hi kisi mustanad(authentic) kitab me maujood hai. Ye kahani is tarah se bean ki jati hai:
Ek lakkad-haara(lakdiyan kaatne wala) madine me bahut hi greeb zindagi guzaar raha tha, phir wo kaam ki talash me madine se nikal gea aur baarah saal idhar udhar thookarain khata raha likin wo daulat aur paisa jama nahi karpea.

Is dauraan lakkad-hare ki biwi madine mian ek wazeer ke ghar par naukri kar rahi thi, ek din Hazrat Jafar Sadiq rahmatullahi alaih apne sathion ke sath udhar se guzre, Hazrat Jafar Sadiq uss wazir ke mahel ke samne khade hookar apne sathion se poochte hain: aaj konsi tarikh hai? sathion ne jawab diya: aaj rajab ki 22 tarikh hai. Hazrat Jafar Sadiq ne farmea: aaj ke din joo shakhs nai konde lekar, un me pooriyan bhar kar fatiha dega aur mere wasile se dua karega, uss ki har dua qubool hoogi aur uss ki har mushkil door hoojaigi, agar aisa naa howa too wo qiyamat ke din mera daaman pakad sakta hai.
Ye sunkar lakkad-hare ki biwi ne Hazrat Jafar Sadiq ki nazar aur mannat ke kunde bhare, jis ke natije me is ki khawahish ke mutabiq 12 saal baad uska shohar maal aur daulat ke saath wapis aagea, Aane ke baad uss ne wazir ke mahel ke sam'ne ek shandar mahel banea, wazir ki biwi ne poocha ke ye mahel kis ka hai? too batlea gea ke ye usee naukrani ka mahel joo jo aap ke mahel me jhaado diya karti thee.

Wazeer ki biwi ne lakkad-hare ki biwi ko bula kar uski maal-daari ka raaz poocha to usne usne kondon ki rasam ka zikar kiya, likin wazir ki biwi ko ye yaqeen nahi aea aur uss ne kondon ki is rasam ki karaamat ka inkaar kardiya. Karaamat ki inkaar ki wajah se wazir ki biwi aur wazir ko bahut be-izzat hoona pada yahan tak-ke badesha ne wazir ko mazool(restricted) kardiya balke mulk se baahar nikaal diya. wazir apni biwi ko lekar madine se nikal gea.

Raaste me uss ne ek kharbooza kharida aur usko roomal me bandhlie take take is qarboze ko safar me khasakain. Ittefaq se usee rooz badshah ka beta shikaar khelne ke liye gea too waqt par wapis naa aeaa, badshah ke darbarion ne badshah se kaha ke kahin uss wazir ne jis ko aap ne nikaal diya hai usee ne aap ke shahzade ko qatal naa kardiya hoo. Badshah ne apne aadmi bejhkar uss wazir ko mangwaliya aur uss se poocha ke shazada kahan hai to uss wazir ne kaha ke wo kuch nahi jaanta. Badshah ne poocha: iss roomal me kiya hai? uss ne kaha iss me kharbooza hai, likin jab uss roomal ko khola gea too usme se shazade ka sar niklaa, phir badshah ne wazir ko aur uski biwi ko jail bejhne ka aur unko qatal karne ka hukom jari kardiya. Raat ko jail me wazir ki biwi ne apne shohar se kaha: jab se wo 22 rajab ke kondon ki rasam ka inkaar kiya hai uss waqt hi se ye sab pareshanian aarahi hain. usee waqt wazir ki biwi aur wazir ne kondon ki rasam ki mannat karli aur thaan liya ke jab unko jail se rihai mil jaigi to wo konde bharainge.

Jaise hi wazir aur wazir ki biwi ne ye mannat ki usee waqt raat ko shahzada ghar wapis aagea. Badshah apne shahzade ko dekh'kar khoosh bhi howa aur hairan bhi. Uss ne wazir aur uski biwi ko bulakar poocha ke kiya qissa hai? unn donon ne batea ke hum ne kondon ki karaamat ka inkaar kardiya tha iss liye is museebat me padhgai the, aur jab hum ne uss karaamat ko maanliya to hamari museebat tal gai aur shahzada ghar wapis aagea, is waqiye ko sun kar badshah ne ye hukom jari kiya ke tamam loog konde bharain ge aur konde ki rasam ko poora karainge.(Malkhas) [yani ke ye kahani ka me hissa hai]

Kondon ki rasam ye hai ke rajab ki 21 tarikh ki raat ko ek khaas qisam ki meethi cheez banakar mitti ke kondon mian bhari jati hai, aur is par Hazrat Jafar Sadiq ke naam khatam padha jata hai. iss ke alfaaz ka hame ilm nahi, aur phir ye konde apne doost ahbaab, rashtedaron kesath khaas aadaab ke sath khai aur khilai jate hain. Iss bid'at ke jaiz hoone ke liye kaha jata hai ke 22 rajab ko Hazrat Jafar Sadiq ka inteqaal howa tha:
 Pahli Baat: too Hazrat Jafar Sadiq ki inteqaal ki tarikh 22 rajab nahi hai balke 15 Shawal 148 Hijri hai, tamam tarikh likhne walon ne 15 Shawal 148 Hijri hi likhi hai kisi bhi tarikh likhne wale ne is me ikhtilaf nahi kiya, lihaza 15 Shawal 148 Hijri hi ek mazoot "Daleel" hai.
"Joo shakh-e-nazuk pe aashiyana banega napaidar hooga"
 Doosri Baat: agar Hazrat Jafar Sadiq ki inteqaal ki tarikh 22 rajab hi maan lijai tab bhi iss tarikh se kondon ka kiya taluq. Aur inteqaal ka waqiya gam ka hoota hai, kondon me mithai bhar kar khane aur khilane ka ye mauqa too hargiz nahi hoota.
 Teesri Baat: 22 rajab Hazrat Jafar Sadiq ki paideish ki tarikh bhi nahi hai, balke tarikh paidaish 17 Rabi-ul-Awal 83 Hijri hai.
 Chohti Baat: Hazrat Jafar Sadiq jaise sekdon buzurg hamari tarikh me guzre hain, in ke inteqaal ke din aisaa kion nahi kiya jata? Hazrat Jafar Sadiq ke inteqaal ke din hi aisa kion kiya jata hai? aisa karne ki bunyad aur dalil kiya hai?
 Panchwi Baat: Deen ki takmeel too Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ke zariye se hoochuki hai(jaisa ke quran me hai):
{الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا}
Tarjuma: "Aaj mee tumhare liye tumhara deen mukammil kardiya aur tum par apni nemat poori kardi aur tumhare liye islam ko deen ki haisiyet se pasand karliya".(Sura al-Maida:3)
Ab deen ke mukammil hoone ke baad kisi ko deen me izafa karne ki ijazat kaise hasil hoosakti hai?

Bahar haal jis angle se bhi kondon ki rasam ki tahqeeq ki jai, in kondon ki jaiz hoone ki koi gunjaish nahi, isee liye tamam ulama aur tahqeeq karne walon ne kondon ki rasam ko zaher kardiya hai.

Agar ye kaha jai ke ye konde dar'asal isee tarah Hazrat Jafar Sadiq rahmatullahi alaih ke naam ki niyaaz hain, jis tarah doosre kai buzurgon ke namon ki niyaz di jati hai. Tab bhi ye bahut bada gunaah balke shirk hai kion ke nazar wo niyaz bhi ibaadat hi ki ek qisam hai aur ibaadat sirf Allah hi ka haq hai, Allah ke siwa kisi aur ki ibadat jaiz nahi balke agar koi shkhs Allah ke siwa kisi aur ki ibaadat karega(kisi aur ke naam ki nazar aur niyaz dega) too wo mushrik kahlaiga jaisa ke fiqah hanafi ki mash'hoor kitab "Durr-e-Mukhtar" me isee tarah hai:
وَاعْلَمْ أَنَّ النَّذْرَ الَّذِي يَقَعُ لِلْأَمْوَاتِ مِنْ أَكْثَرِ الْعَوَّامِ وَمَا يُؤْخَذُ مِنْ الدَّرَاهِمِ وَالشَّمْعِ وَالزَّيْتِ وَنَحْوِهَا إلَى ضَرَائِحِ الْأَوْلِيَاءِ الْكِرَامِ تَقَرُّبًا إلَيْهِمْ فَهُوَ بِالْإِجْمَاعِ بَاطِلٌ وَحَرَامٌ
(Durr-ul-Mukhtar, Akhir Kitab-us-Saum, page:134, Published:bMirath, UP, India)[Radd-ul-Muhtar ala Durr-ul-Mukhtar:2/439 Published: Dar-ul-Fikar, Bairut]

Firangi Mahel (Lakhno) ke Ulama ka Muttafiqah Fatwa
Chunanche Ahl-e-Hadis ke ulama aur Dioband ke farangi mahel(lakhnow) ke ulama ne bhi rajab ke kondon ko be-asal, bid'at hoone ka muttafiqah fatwa diya hai jo aaj se 75 saal pahle shai howa tha, Ulama se sawal kiya gea:
SAWAAL: "Is ilaqe me shion ke tariqe par rajab ke konde manane ka riwaj badh gea hai, yani 22 rajab ko fajar ki namaz ke baad poorion ko kondon me rakh kar fateha dijati hai, aur is fateha ke tariqe me "Lakkad-Hare" ki kahani bhi padhi jati hai. Is me likha hai ke shion ke imam jafar sadiq rahmatullahi alaih ne farmea hai: "22 rajab ko konde karo aur mere wasile se jo chahe mango aur agar murad poori naa howi to qiyamat me tumhara haath mera daman hooga".
kiya aisee fateha dilana aur iss me shareek hoona jaiz hai yaa nahi? ummeed hai ke shariat ke hisab se is ki asliat yaa is ki tashreeh hamare samne rakkhi jaigi aur Allah ke yahan ajar painge.
1)JAWAAB: Isaal-e-sawab bahtarin amal hai likin kondon me poorion ko daal kar yaa is jaisa doosra kaam karna, balke aisa sawal karna hi galat hai. Rajab ke kondon ko isaal-e-sawab samajhna sarasar galati hai. Kondon ke rasam wo riwaj me Hazrat Jafar Sadiq rahmatullahi alaih ki jo riwat pesh ki jati hai wo kisi bhi mutabar(authentic) kitab me nahi hai. Kondon jaisi rasam wo riwaj ko ikhtiyar karna islam ke khilaf hai, balke gair islami rasam wo riwaj ko taraqqi dene ke barabar hai, lihaza kondon ki bid'at ko mitane ki koshish karna har musalman par faraz hai aur ye gunahon ko rookne ka ek tariqa hai.
(Harrah al-Raji Inda rabbihil Waheed Abu Hamid Mohammed Abdul Waheed)
2)JAWAAB: In kaamon ka aur is sawaal ki koi asliyet nahi, rajab ke kondon jaise kaam bekaar aur lagoo hain. Ek musalman ki shaan aise kamon se bahut buland hai, musalman aise bekaar kamon me mubtela nahi hoota. Hazrat Jafar Sadiq rahmatullahi alaih ki taraf bahut si jhooti batain lagai gai hain, 22 rajab ke mutaleq islam me koi hukom nahi hai. 22 rajab ko khaas amal karne ki baat bhi islami shariat me nahi hai, ye jahil logon ki taraf se kahi gai batain hain. Har musalman par farz hai ke in kaamon aur in baton se door rahain, in tariqon se muraad hasil karna jaiz nahi. Aur agar kisi ko iss se murad hasil hoo bhi jai to ye islam me dalil nahi kahlaigi. Musrikin bhi boton se apni muradain mangte hain aur unki muradain poori bhi hooti hain. Bahar haal aise kamon me apna rupya paisa nahi laga chahiye. Wallahu-alam.(malkhas)
([Fatwa]Statmetn by: Mohammed Shafi Hajjatullah Ansari, Ferangi Mahli Lakhnow)
ISS FAWE KO SUPPORT KARNE WALE ULAMA:
 Mohammed Ineatullah Ferangi Mahli, Rajab:1346 hijri. Ferangi Mehal Lakhnow
 Mohammed Eob Ferangi Mehal Lakhnow
 Abul Qasim Mohammed Ateeq Bin Mai al-allam Ferangi Mehal Lakhnow, 5 Rajab 1346 hijri
 "Al-Jawab Sahih wa al-rai najeeh" – Abu Tahir Ahmed al-Bahari, Mudarris Awal Madrasa Aliya Qadimah, baroz-e-shanbah, 9/Rajab 1346 hijri
 "Al-Jawab Sahih" Hakim Abdul Sattar Khan Mudarris: Madrasa Aliya Qadimah Baqalam Khood
 Sah al-Jawab wallahu-alam bis-sa-wab, Harrarho Abdullah
 Al-Jawab-us-Sahih wallahu-alam bis-sa-wab, Mohammed Fazal Khan Madarsa Aliya Qadimah


HAZRAT MOLANA ABDUL SHAKOOR LAKHNAWI RAHMATULLAHI ALAIH NE IS FATWE KI TEEED(SUPPORT) KI:
Rajab ke konde Rafzion ki bad'tarin bid'at hai aur ye rafzion ke mazhab ko phailane ka zariya hai. Musalmanon par faraz hai ke wo apne bhaion ko aise bid'aat se bachane ki koshish karain. wallaho tala alam.
(Katabah, Ahqar-ul-Ibaad Mohammed Abdul Shakoor, Lakhnow,16/Rajab 1346 hijri)

22 RAJA ASAL ME SAHABAH KE DUSHMANON KI KHUSHI KA DIN HAI:
Asal haqiqat ye hai ke 22 rajab syidina Ameer Muawiya raziallahu'an ki wafat ka din hai aur Sahaba ke dusman(shia rafzi) dar'asal syidina Ameer Muawiya raziallahu'an ki wafat ki khushi me is din ko kheer poorion, kondon ke zariye se khushi ka izhaar karte hain, jaisa ke shia calendar me "Marg-e-Muawia" ki heading se 22 rajab ko khushi ka din batlea gea hai.

Ye calendar "Jamia al-Muntazir" Model Town Lahore se har saal published hoota hai, "Jamia al-Muntazir" shion ka bada madarsa hai.

Hamari nazar se joo calendar guzra hai, shia ki ek dokaan Brothers Shah Alam Market Lahore aka address bhi is calendar par likha howa hai. Ye calendar double colored hai. khushi ke dinon ko red color diya gea hai aur doosre dinon ko black color se print kiya gea hai take donon ek doosre se alag alag nazar aain, chunanche 22 Rajab ko "Marg-e-Muawia" likh kar usse red color se print kiya gea hai take iss din ki khusoosiyet alag nazar aajai.


Salat-ul-Ragaib is mahine ki mash-hoor rasam hai likin ye rasam ziyadatar soofion aur mashekhin ke socity me ada kijati jati hai. "Salat-ul-Ragaib" rajab ke pahle juma ki raat ko padhi jati hai aur is raat ko "Lailat-ul-Ragaib" kahajata hai, ye bid'at kaafi purani hai, kai bade ulama ne "Salat-ul-Ragaib" ke jhoote hoone par kitabain likkhin hain. Baaz soofi mullah aur khaanqahi muzaaj rakhne wale buzrug bhi "Salat-ul-Ragaib" ke sahih hoone ke wahem me mubtila rahe hain, jaise Imam Gazali, Shekh Abdul Haq Dahlawi wagairah. "Salat-ul-Ragaib" ka ek khaas tariqa bhi zikar kiya gea hai, joo is tarah hai:
 Rajab ki pahli jumerat ke din roza rakkhe
 Juma ki raat, magrib wo isha ke beech 12 rak'aat namaz padhe
 Har do do rak'at ke baad salaam phere
 Har rak'at me Sura al-Qadr 3 martaba aur Sura al-Ikhlas 12 martaba padhe
 Namaz se farigh hookar 70 martaba ye durood padhe
"Allahumma salli ala Mohammadin nabiyil ummi wa ala aalihi wasallim"
 Iss ke baad sajde me jaakar 70 martaba "subbohun quddosun rabbu malekati wa-rrooh" padhe
 Sajde se sar uthakar ye dua padhe "Rabbigfir war-ham wa tajawaz amma talamo fa'innaka an'tal'azizul'azam – wa an'ta a'azzul akram"
 Phir doosre sajde me isee tarah kare, phir joo chahe Allah se mange, Allah uski zuroorat poori karega.
(Ihyaa al-uloom lil-Gazali:1/302. Guniyat-ut-Talibeen, page:433, Published:1309-hijri)

Salat-ul-ragaib namaaz ki sufiya aur mashekh ne bahut see manghadat fazilatain bean kar rakkhi hain likin is namaaz ki Quran O Hadis me koi asal nahi, is liye is par amal karna sarasar gunaah aur haraam hai.

 "Salat-ul-Ragaib" ki fazilat me bean ki jane wali tamaam riweaat manghadat aur jhooti hain.

Imam Ibn Taimiyah rahimahullah farmate hain: salat-ul-ragaib naa Quran se sabit hai aur naa hi hadis se sabit hai balke ye ek nai cheez hai yani ye ek bid'at hai, lihaza ye namaaz naa akele padhi jasakti hai aur naa hi jamat ke sath padhi jaskti hai, kion ke NABIYE KAREEM ka mubarak irshaad hai ke aap ne juma ki raat ko qiyaam se aur juma ke din ke rooze se khaas manaa farmea hai:
لاَ تَخْتَصُّوا لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ بِقِيَامٍ مِنْ بَيْنِ اللَّيَالِي وَلاَ تَخُصُّوا يَوْمَ الْجُمُعَةِ بِصِيَامٍ مِنْ بَيْنِ الأَيَّامِ إِلاَّ أَنْ يَكُونَ فِي صَوْمٍ يَصُومُهُ أَحَدُكُمْ ‏
(Sahih al-Muslim, kitab-us-siyam, baab:sirf juma ke din rooza rakhna naa pasandidaa hai, hadis N.:1144[2684])
Tarjuma: Syidina Abu Hurairah raziallahu'an bean karte hain ke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmea: "Tum loog tamam raton me se juma ki raat ko qiyaam ke liye khaas naa karoo aur dinon me se juma ke din ko rooze ke liye khaas naa karoo, siwai is ke ke wo aise rooz ki tarikh me hoo jab tum me se koi apne mamool ke mutabiq rooza rakhta hoo."

Haqiqat ye hai ke is namaaz ko naa NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne padhi aur naa sahaba kiraam raziallahu'anhum ne padhi naa tabain ne padhi aur naa hi kisi imam ne padhi aur naa hi is namaz ko padhne ka hukom diya.
(Majmoo al-Fatawa li-Ibn Taimiyah:23/132-135)

Imam Navawi rahimahullah ne bhi "salat-ul-ragaib" aur "salat-ul-nisf al-shaban" yani shab-e-baraat ki namaz ke barain me farmea: "in namazon ko naa NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne padha aur naa sahaba kiraam raziallahu'anhum ne padha aur nahi chaar imamon me se kisi ne padha aur nahi kisi ne is namaz ki fazilat bean ki lihaza ye bahut hi buri bid'at hai, aur is bid'at se bachna bahut hi zuroori hai.
(Fatawa Navawiyah, page:40)

Aur Imam Ibn Qaiyim rahimahullah farmate hain: "Rajab ke pahle juma ki raat "salat-ul-ragaib" ke mutaleq jitni hadisain bean ki jati hain sab ki sab jhooti hai.
(Al-Manaar-ul-Muneeb, page:95, riweet No.:167)



Rajab ki satais-win(27) raat ko "Shab-e-Meraj" ke naam se manea jata hai halanke:
1) Ye baat haq hai ke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam meraj ke liye tashreef legai the likin MERAJ ki tarikhon me bahut ziyada ikhtilaf hai.(aksar murrikhin ne MERAJ ke waqiye ko RAMAZAN me batea hai)
2) Agar Rajab ki 27 hi ko MERAJ maan liya jai tab bhi ise riweati rasam wo riwaj ke taur par mana'na islam ki talimat ke khilaf hai, kiya kisi SAHABI ne shab-e-meraj manea? kiya aatish bazi ki? kiya is par rupya paisa kharch kiya? NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki wafat ke kai sau saalon tak hame is ka koi saboot nahi milta too hum is tarah ke kamon ko jaiz samajh lain?

MERAJ KO UMMAT NE QISSA KAHANI BANADIYA HAI:
Shab-e-Meraj ki raat ko aaj ke ulama jis devomalai andaaz me kahanion ki tarah bean karte hain aur jis tarah NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki shaan me had se guzar jate hain, ye ek gumraah-kon baat hai, baat yahan tak pahuch jati hai ke ALLAH ki zaat ko NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki zaat-e-mubark se miladiya jata hai aur aise sher wo shairi bhi padh'di jati hai:(farsi ke ash'aar)
---Man too shudam too man shudi, man tan shudan too jaan shudi
Taakas naa goyed baad azeen man deegaram too deegari---
Tarjuma: "me too hoo gea aur too me hoogea, teri rooh mere tan-badan me aagai
Phir is ke baad koi ye nahi kahsakta ke me koi aur hoon aur too koi aur

Isee tarah ka ek aur sher ek shia ne weekly magazine me "RAZA KAAR" me published ki. Jis me Syidina Ali raziallahu'an ki shaan me ye kaha gea ke Allah aur Ali ek hee zaat hai.(nauzobillah)
---Asraa ki raat jab gai arsh-e-azeem par
dekha Rasool ne pas-e-manzar Ali
parde ke piche dast-e-yadullah ko dekh kar
boole Rasool khliq-e-akbar Ali Ali---
([weekly magazine]"Razaa Kaar" page:1, Date:24/Februari/1985)
"NAUZOBILLAH MIN HAZIHIL KHURAFAT WAL-AKAZIB WAL-HAFWAT"

Halanke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne too apne barain me bhi had se badhne se bhi rook die thaa, halanke Ali raziallahu'an too Sahabi hain, Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmea:
لاَ تُطْرُونِي كَمَا أَطْرَتِ النَّصَارَى ابْنَ مَرْيَمَ، فَإِنَّمَا أَنَا عَبْدُهُ، فَقُولُوا عَبْدُ اللَّهِ وَرَسُولُهُ
(Sahih al-Bukhari, kitab-ul-Anbiya, Chapter:48, Hadis:3445)
Tarjuma: "Mujhe iss tarah had se naa badhana jis tarah nasara(christians) ne ISAA alaihissalam ko had se badha diya, balke me too Allah ka banda hoon aur mujhe sirf Allah ka banda aur uska rasool hi kahoo".

"ASRA" aur "MERAJ" ko quran me bean kiya gea hai isee raat NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ko maqaam-e-buland aur ezaaz-e-bartar se nawaza gea Bait-ul-Muqaddas ke aasmanon se NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka safar howa aur ek ek aasmaan ki sair karaigai aur NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam "Sidrat-ul-Muntaha" tak tashreef legai, iss se aage jane ka saboot naa quran me hai aur naa hadis me, lihaza NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki Arsh-e-Mualla tak jane ki baat durust kaise hoosakti hai?(Ma'az-Allah)

NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka Allah Tala se gale milana, raaz wo niyaaz ki batain karna, is jaise doosre qisse kahaniyan sab jhoot hain, ek hanafi aalim molana Abdul Hai Lakhnowi likhte hai:

Tarjuma: "Arsh ki bulandi tak NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka pahunch'na kisi "Sahih" yaa "Hasan" hadis se sabit nahi. Sirf Sidrat-ul-Muntaha tak NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka pahunch'na sabit hai iss se aage nahi".
Isee tarah baaz manghadat qisse likh kar Molana Abdul Hai likhte hai:

Tarjuma: "Aur jin chizon ka suboot naa hoo, in'he bean karne ki himmat nahi karni chahiye balke in ke zikar se doori ikhtiyaar karna chahiye".
(Maj'mooa Samaniyah Rasail, page:150, published: Lakhnow)

Imam Ibn Qaiyim rahimahullah kahte hain ke Imam Ibn Taimiyah rahimahullah ne farmea: "Musalmanon me se kisi ke yahan bhi Shab-e-Meraj ko kisi doosri raat ke muqabile me koi fazilat hasil nahi hai, jaisa ke Lailat-ul-Qadar hai, Sahaba aur tabain me se kisi ke yahan bhi Shab-e-Meraj ke saath kisi khaas amal aur ibaadat ka koi zikar nahi milta, iss liye ke Shab-e-Meraj ki raat konsi hai kisi ko bhi maloom nahi, agarche "Meraj" aur "Asra" NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ke azeem fazail me se hai, likin is ke bawajood kisi ibaadat ke sath iss ke waqt yaa jagah ko khaas karnaa jaiz nahi hai, balke Gaar-e-Hira jis me Quran ke Wahi ki shuroo'aat howi aur jahan nabowat se pahle bhi NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam Allah ki ibaadat kiya karte the, iss jagah ko bhi NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam aur Sahaba ne nabowat ke baad Makki daur me aur naa is ke baad kisi sharai ibaadat ke liye khaas kiya, aur nahi jis din Wahi shuroo howi uss din me kisi khaas ibaadat ka ehtemaam kiya.

Dar-Haqiqat joo is tarah muqamat aur auqaat ko ibaadat ke sath khaas karta hai wo isaion(christian) ki pairwi aur unki mushabihat karta hai, kion ke christians ne hi ISAA alaihissalam ke milad wagaira ko manane ka ehtemaam kiya, jabke hamare guzre howe loongon ka haal ye tha ke Syidina Omer raziallahu'an ne baaz loogon ko ek jagah namaz padhte howe dekha jahan par ek hujoom jama tha Aap raziallahu'an ne poocha ye kya hai? loogon ne kaha: ye wo jagah hai jahan NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne namaz padhi thi too Omer raziallahu'an ne farmea: kiya tum Anbiya ke aasaar ko masjidain banana chahte hoo? isee wajah se tum se pahli ki qaume hilaak kardi gai, jisi is jagah namaz ka waqt mile wo namaz padhle warna yahan namaz padhe bagair guzar jai.
(Musannaf Ibn Abi Shibah:2/376-377, is ki sanad sahih hai)

Imam Ibn Taimiyah rahimahullah aage farmate hain: ibaadat ke muqarrarah sharai awqaat ke ilawa koi waqt muqarrar karna, bid'at hai, jaise rabi-ul-awal ki raton me eid milad manana aur rajab ki baaz raton ko khaas karna yaa 18 zilhijjah yaa rajab ka pahla juma yaa 8/shawal eid-ul-abrar manana wagairah. Ye sab bid'aat hain joo hamare aslaaf(sahaba, tabain, tab-e-tabain) ke yahan jaiz nahi theen.
(Majmoo al-Fatawa li-Ibn Taimiyah:2/298)

Shekh Mohammed Bin Ibrahim Aal-e-Shekh rahimahullah ne shab-e-meraj ki mahafil ko bid'at kaha hai aur inka radd karte howe faramea: ye mahafil Quran wo Hadis ki roshni me too bid'aat hain hee, fiqah, qiyas, aur ijtihaad ke zariye se bhi ye shab-e-meraj ki mahafil jaiz nahi hai aur daur-e-hazir ke madd-e-nazar bhi ye faidamand nahi hain balke nuqsaande hain kion ke aqaeed aur ibaadaat ka taluq jahan NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki zaat-e-mubarak se hai aur ye sabit hai ke jahan Aap sallallahu alaihi wasallam ne iss ki ijaazat nahi dee hai, aur naa hi sahaba aur tabain, tab-e-tabain ne in kamon ko jaiz kaha hoo.

Shekh Mohammed Bin Ibrahim Aal-e-Shekh rahimahullah ne aage farmea: ye rusoom wo riwaj aqali taur par bhi jaiz nahi hoosakte, kion ke agar ye jaiz hoote too sab se pah RASOOL ALLAH sallallahu alaihi wasallam is par amal karte, phir Abu Bakar, Omer, Usman aur Ali raziallahu'anhum bhi is par amal karte, phir doosre sahaba, tabain, tab-e-tabain, eimai(imam) deen bhi is par amal karte likin in me se kisi ke haan bhi shab-e-meraj ki ibaadaat, mahfilon ki bid'at ka zikar nahi milta lihaza joo chizain unsab ki kamiyabi keliye kaafi theen wahi hamari kamiyabi keliye bhi kaafi hain.
(Fatawa wo Rasail lil-Shekh Mohammed Bin Ibrahim:3/97-100)

Uper bean kiyegai imamon aur fuqha ke aqwal(batain) aur Quran wo Ahadis ke dalail se ye sabit hoota hai ke maujooda daur me "Shab-e-Mera" me riwaj pai howi ibaadaat, mahfilain aur khood ke banai howi ibaadatain aur unke fazail sab ki sab bid'aat hain jin ka deen-e-islam se koi taluq nahi, iss liye Meraj ke waqiye ki joo tafseel Sahih Ahadis me milti hai sirf usee ko bean karna chahiye. Shab-e-Meraj ek bahut bada mujiza hai joo badi hi ahmiyet ka haamil hai aur NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam khaas muqaam wo martabe ko bean karta hai. hame is me apne khodi se nai nai izafe karke gunahgaar nahi ban'na chahiye. Allah Tala hame bid'aat se mahfooz rakhe aur kahlis bgair milawati aur sachche aur saadah islam par chalne ki tofeeq ata farmai. Aameen.
Meraj ke waqiye ki poori tafseel ke liye hamari kitaab "Waqiai Meraj aur uske Mushahidaat" zuroor padhain.


Rajab ke mahine aur iss me paijane wali rusoomat wo bid'aat ke jhoote fazail joo sidhe saadhe loogon ke samne bean kiyejate hain hum inhain bataur-e-saboot padhne walon ke liye pesh karte hain, taake loog un hazraat ki jasaarat dekhlain ke ye NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki taraf jhooti batain mansoob karte hain.
Ye chaar(4) Topics hain inhain serial-wise padhain:
1) Rajab ki manghadat(jhooti) Fazilat
2) Ek aur Mazmoon(topic) aur iss ki Haqiqat


Rajab taobah ka mahina hai, shaban riyazat ka mahina hai aur ramazan qreeb hoone ka mahina hai. Rajab ibaadaat ka, shaban parhezgari ka aur ramazan ziyarat ka mahina hai. Rajab me Allah Tala nekiyan doogni farmadeta hai, shaban me buraiyan mitadeta hai aur ramazan me achaiyon ka intezam kiya jata hai. Rajab nekion me aage badhne ka mahina hai, shaban beech wale mominon ka mahina hai aur ramazan gunahgaron ka mahina hai.

Rajab ka mahina bahut fazilat ka mahina hai, is ke kuch aur (manghadat)mane ye hain:
 Al-Aseeb(sab se tez bahao): is maah me taubah badi jaldi qubool hooti hai aur gunaah ke sahra aur darya rahmat aur maghfirat ke tez bahao se apni pyas bujhate hain. Ibaadat karne wale is mahine me qubooliyet ka darja pate hain.
 Al-Asm(sab se ziyada bahra): Islam se pahle hi is mahine me jang aur ladai ki awazain sunai nahi deti theen is liye is mahine ko al-asm bhi kha jata hai. Jang is mahine me haram hai.
 Rajab jannat ki ek naher ka naam hai jo is mahine me roza rakhe ga usko ye jannat milegi.
 Mutahhar(Paak karne wala): Rajab ke mahine ko paak karne wala isliye kahte hain ke ye mahina roza rakhne walon ke gunahon aur tamam buraiyon ko paak wo saaf kardeta hai. Rajab me duain qubool hooti hain.

27 RAJAB ME SHAB-E-MERAJ KA WAQIE:
Rajab ke mahine ki fazilat is liye bhi hai ke isee mahine me pehli baar Hazrat Jebreel alaihissalam wahi lekar NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam par nazil huwe the. Iss tarikhe islam me isee mahi ki 27 ko meraj ka waqia pesh eaa jo bahut ahmiyet wala hai. Iss mahi me bandon ki bandagi poori howi thi. Meraj jaisa mujiza kisi aur nabi ko nahi mila.

Imam Gazali ne apni mash'hor kitab "Mukashifat-ul-Quloob" me likha hai: NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmea: "Rajab Allah ka mahina hai, shaban mera mahina hai, aur ramazan meri ummat ka mahina hai.
(Mukashifat-ul-Quloob, page:678-680, ye riweet "Mauzo" yani ke jhooti hai. Ibn Jahzam(Ali Bin Abdullah Bin Jahzam [doosre nuskhe me ye naam is tarh hai: Ali Bin Abdullah Bin Juhaim al-Sufi – al-Mauzooat li-Ibn al-Jauzi:2/124, Published: Mohammed Bin Adul Mohsin Sahib-ul-Maktab Al-Salafiyah, Bil-Madinat-ul-Munawarah]) ek "Kazzab" yani jhota rawi hai aur isee ne is riweet ko "Waza" kiya tha yani ke banea tha. dekhiye: Al-Mauzooat li-Ibn al-Jauzi:2/125. Iss jhooti riweet ko Hanafi Imam Mullah Ali Qari ne bhi jhooti riweet qarar diya hai. Dekhiye: Al-Mauzooat al-Kubra Lil-Qari:459-460.[doosra nuskha: Asrar-ul-Marfoa fi Akhbar al-Mauzooa almarof Bil-Mauzooat-ul-Kubra Lil-Qari, page:438, Published: al-Maktab al-Islami, Bairut, Libnan, First Published Date: 1391-Hijri / 1981])

مَنْ صَامَ يَوْمَ سَبْعَةٍ وَعِشْرِينَ مِنْ رَجَبٍ كَتَبَ اللَّهُ لَهُ صِيَامَ سِتِّينَ شَهْرًا
Tarjuma: "Jis ne satais(27) rajab ko roza rakha, uss ke liye 60 mahinon ke rozon ka sawab likha jaiga."
(Fazail Shahr Rajab lil-Khallaal, riweet No: 18. Tabain-ul-Ajab li-Ibn Hajar:119-120, Published: Idart-ul-Uloom al-Asariye, Montgumri Bazar, Faisal Abad. Ye mauqoof riweet, Marfoo hadis nahi. Imam Ibn Jauzi rahimahullah ne is riweet ko zaif kaha hai aur Molana Irshad-ul-Haq Asri hafizahullah ne apni tahqiq me is ko ziaf kaha hai. Dekhiye: Tahqiq Fazail Shar Rajab:59)

رجب شهراللہ الاصم، الذی افردہ اللہ تعالی لنفسه.فمن صام یوما منه ایمانا واحتسابا، استوجب رضوان اللہ الاکبر.
Tarjuma: "Rajab Allah ka mahina hai jisne rajab me ek din roza rakha, iman ke sath aur muhasiba karte howe to uss ke liye Allah ki riswan-e-akabar(sab se badi rizamandi) lazim hoogai.
(Tabain-ul-Ajab li-Ibn Hajar:94, Ibn Hajar rahimahullah farmate hain ke is riweet ki koi asal nahi koi haqiqat nahi, Abul Barkat al-Saqti ne is riweet ko ghda(banea) hai.)

(Izafa)[Tabain-ul-Ajab Bima Warada fi Fazli Rajab:26, al-hadis al-aashir, Abu Asma Ibrahim Bin Ismail Aal Asr hafizahullah farmate hain ke: Abul Barkat al-Saqti ne is riweet ko waza(fabricate) kiya hai.
Imam Ibn al-Jauzi rahimahullah ne Abul Barkaat al-Saqti ka zikar "Al-Muntazam"(17/144, Published: Dar-ul-Kutob al-Ilmiya, Bairut) me kiya hai aur iss rawi ko "kazzab" yani jhoota likha hai aur iss rawi ka mukammil naam iss tarah zikar kiya hai: "Hibbatullah Bin Mubark Bin Mosa Bin Ali, Abul Barkaat al-Saqti"

Imam Shokani rahimahullah ne iss riweet ko "Al-Fawaid-ul-Majmoa fi Ahadis-ul-Maozua" mian zikar kie hai aur farmea hai ke iss riweet me ek se ziyada rawi "Matrook" hain, Matrook yani ke wo rawi jin se Muhaddisin riweet nahi karte. Dekhiye: "Al-Fawaid-ul-Majmoa fi Ahadis-ul-Maozua":439, Muhaqiq: Abdul Rahman Bin Yahya Ma'alami Yamani, published: Dar-ul-Kutob al-Ilmiya, Bairut]

900 SAAL IBAADAT KA SAWAB
Rajab ki pahli jumerat ka aakhri hissa baqi rahjata hai to har farishta rajab ke roze rakhne wale keliye mugfirat ki dua karta hai.
مَنْ صَامَ ثَلاثَةَ أَيَّامٍ مِنْ شَهْرٍ حَرَامٍ الْخَمِيسَ وَالْجُمُعَةَ وَالسَّبْتَ كتب الله له عبادة تسع مائة عَامٍ.
Tarjuma: "Jis ne hurmat wale mahine me teen roze rakhe, uss keliye 900 saal ki ibaadat ka sawab likha jata hai.
(Al-ilal-ul-Mutanahiya fi Ahadis-ul-Wahiyah Li-Ibn al-Jauzi:2/63-64 riweet No:911, Muhaqiq: al-Shekh Irshad-ul-Haq Asri hafizahullah, Published: Idara Uloom-ul-Asriyah, Faisalabad, 1981.
Iss ki snad bhi Zaif hai kion ke "Muslima Bin Rashid" 'Muztarib-ul-Hadis' hai
[yani aisa rawi jis ke bare me aisa ikhtilaf ho jo hal hi na hoosake] aur "Rashid Abu Mohammed" 'Maj'hool' hai [yani Maj'hool Rawi wo hota hai jiska koi ata pata naa ho yani uss ko koi nahi janta]
Imam Ibn Jauzi rahimahullah ke elawa(Imam Abu Hatim al-Razi rahimahullah) bhi kai muhaddisin ne ise zaif kaha hai, aur is riweet ke alfaz me bhi ikhtilaf hai ke 900 bars ke gunah hote hain yaa 700 baras yaa is se kam ke. Iss tafseel keliye dekhiye: Thaqiq Fazail Shahr Rajab lil-Khallal, Az Molana Irshad-ul-Haq Asri, page:52-54)

PAANCH(5) RATON ME DUA RADD NAHI HOTI
خمس ليال لا تر فيهن الدعوة أول ليلة من رجب وليلة النصف من شعبان وليلة الجمعة وليلة الفطر وليلة النحر.
Tarjuma: "Paanch(5) raton me dua radd nahi hoti, rajab ki pahli raat, Shaban ki pandrawi(15th) raat, Juma ki raat, Eid-ul-Fitr ki raat aur Qurbani ki raat."
(Tarikh Dimashq Li-Ibn Asakar:10/408, Published: Dar-ul-Fikr, 1995. "Ibrahim Bin Yahya" aur "Bundar Bin Omer" (ye dono) kazzab rawi hain, lihaza ye riweet jhooti hai manghdat hai. Muhaddis Al-Bani rahimahullah ne bhi is riweet ko "Maozo"(manghadat) kaha hai, dekhiye: Silsilat-ul-Zaifa:3/649, riweet No:1452)

RAJAB KE MAHI ME ZAKAT KI FAZILAT
عن عثمان بن عفان -رضي الله عنه- أنه لما استهل رجب رقي المنبر يوم الجمعة وخطب ثم قال: ألا إن هذا شهر الله الأصم، وهو شهر زكاتكم، فمن كان عليه دين فليؤد دينه، ثم ليزك ما بقي.
(Al-Ghaniat Litalby Tariq Al-haqi:1/320, Dar-ul-Kutob al-Ilmiya, Bairut, 1997)
Hazrat Shekh Abdul Qadir Jilani rahimahullah apni kitab "Ghunyat al-Talibeen" me farmate hain ke ek baar rajab hilal(pahli tarikh ke chaand ko hilal kaha jata hai) ka chand dekh kar Hazrat Usman raziallahu'an ne juma ke din member par chadh kar farmea: "kaan khool kar sun loo! ye Allah ka mahina hai aur zakat ka mahina hai. Agar kisi par qarz hoto apna qarz ada karde aur jo kuch maal baqi hai, uski zakat ada karde."
(Ghunyat al-Talibeen:1/175. Muatta Malik ki riweet me kisi bhi mahine ka zikar nahi hai, dekhiye: Al-Muatta:2/423, Hadis No:645, aur is ki sanad mauqof hai aur Sahih hai. "Kitab-ul-Amwal Li-Ibn Zanjawiyah, page:450, hadis No:1372 me "Ibrahim Bin Sa'ad" hadis bean karne wale rawi hain, ye kahte hain ke Syidina Usman raziallahu'an ka ye farman ramazan ke mahine keliye hai, lihaza "Ghunyat al-Talibeen" me rajab ke mahine ka zikar durost maloom nahi hoota)

RAJAB KE ROZON KI FAZILAT
Agar koi rajab ke mahine me ek din ka roza rakhe aur us ki niyet Allah Tala se sawab ki ho aur saaf dil se Allah ki riza ka talabgaar ho to us ka ek din ka roza Allah Tala ke gusse ko bujhadega aur aag ka ek darwaza band kardega agar use tamam zamin bhar ka soona diyajai to us ek roze ka pora sawab no mil sakega aur dunya ki kisi chiz ki qimat se us ka ajar wo sawab pora na hoga. Agar ye ajar wo sawab pora hoga to qiyamat ke din hi Allah Tala pora farmaiga. Iss roze'daar ki sham ke waqt iftar se pahle das(10) duain qubool hongi. Agar wo dunya ki kisi chiz keliye dua mange'ga to Allah Tala use ata farmaiga.

لَمْ يُتِمَّ صَوْمَ شَهْرٍ بَعْدَ رَمَضَانَ إِلَّا رَجَبَ وَشَعْبَانَ
(Majma al-Zaweid Lil-Haisami:3/191, Riweet No:5154, Published: Maktaba al-Qudsi, Qahira, Misar, 1994)
Tarjuma: "(NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam) ramazan ke baad kisi maah ke aksar roze nahi rakhe sirf rajab aur shaban ke roze rakhe."
(Al-Mujim al-Awsat lil-Tibrani:10/192, riweet No:9418, is ki sanad me "Yosuf Bin Atiyah al-Saffar" rawi matrook hai. Imam Haisami rahimahuallh ne bhi is riweet ko zaif kaha hai. dekhiye: Majma al-Zaweid Lil-Haisami:3/191)

"Jo kisi hurmat hurmat wale mahine ke jumera, juma aur hafte ke teen roze rakhle, Allah Tala uskeliye 900 saal ki ibaadat likh lega."(is riweet ka hawala uper guzar chuka hai)

Saal ki misaal ek darakht ki hai. Rajab is darakht me patte photne ka zamana hai, shaban is me phal aane ka mausam aur ramazan phal pakne ka waqt hai.

"Jo rajab ka ek roza rakhlega, to usko ek hazar saal ibaadat karne ka sawab milega aur ek hazar gulam azad karne ka sawab milega aur jo shakhs rajab me ek dinar kharch karega to usko ek hazar dinar kharch karne ka sawab milega, aur Allah Tala uske badan ke dhar baal ke badle ek hazar nekiya likhta hai, ek hazar darje buland karta hai, aur ek hazar buraiyan mitadeta hai, aur uskeliye rajab ke har roze ke badle aur har sadqe ke badle ek hazar hajj aur ek hazar umre ka sawab likh leta hai."(iss riweet ka koi bhi hawala hame nahi mila)

"Jis ne sataiswin(27) rajab ka roza rakha, uss keliye ye roza tamam omer bhar keliye kaffarah hoojaiga aur agar wo shakhs jis ne roza rakha aur wo isee saal marjai to wo shaheed ka martaba paiga. ek aur riweet me hai: "jis ne rajab ke mahine me ek baar sura al-Ikhlas padhi, Allah is ke pachas(50) saal ke gunah bakhash dega.(in riweaat ka bhi koi hawala maujood nahi hai ye jhoot aur wahiyaat hai)

RAJAB KI KHUSOOSI NAMAZ
مَا مِنْ أَحَدٍ يَصُومُ يَوْم الْخَمِيس أول خَمِيسٍ فِي رَجَبٍ، ثُمَّ يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ الْعِشَاءِ وَالْعَتْمَةِ، يَعْنِي لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ، ثِنْتَيْ عَشْرَةَ رَكْعَةً، يَقْرَأُ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ فَاتِحَةَ الْكِتَابِ مَرَّةً، وَإِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَة الْقدر ثَلَاث مَرَّات، وَقل هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اثْنَتَيْ عَشْرَةَ مَرَّةً، يَفْصِلُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ بِتَسْلِيمَةٍ، فَإِذَا فَرَغَ مِنْ صَلاتِهِ صَلَّى عَلَيَّ سَبْعِينَ مَرَّةً،
Tarjuma: "Jo koi rajab ki jumera ka roza rakha, phir juma ki raat me magrib se lekar isha tak barah rak'at namaz padhi aur har rak'at me ek baar sura fatiha, teen baar sura qadar aur baara(12) baar sura ikhlas padhle aur har rak'at par salam phair de aur salam phair kar 70 bar ye durood padhle:
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ وَعَلَى آلِهِ
Phir sajda kare jis me 70 martaba
سُبُّوحٌ قُدُّوسٌ رَبُّ الْمَلائِكَةِ وَالرُّوحِ
kahe, Phir sajde se sar utha kar 70 bar ye dua padhe:
رَبِّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْ وَتَجَاوَزْ عَمَّا تَعْلَمُ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الأَعْظَمُ
Phir doosre sajde me jaakar pahle sajde wali duain padhe to muradain poori hoongi.
مَا مِنْ عَبْدٍ وَلا أَمَةٍ صَلَّى هَذهِ الصَّلاةَ إِلا غَفَرَ اللَّهُ تَعَالَى لَهُ جَمِيعَ ذُنُوبِهِ وَإِنْ كَانَتْ مِثْلَ زَبَدِ الْبَحْرِ وَعَدَدِ وَرَقِ الأَشْجَارِ، وَشَفَعَ يَوْمَ الْقِيَامَة فِي سَبْعمِائة مِنْ أَهْلِ بَيْتِهِ، فَإِذَا كَانَ فِي أَوَّلِ لَيْلَةٍ فِي قَبْرِهِ جَاءَهُ بواب هَذهِ الصَّلاةِ، فَيُجِيبُهُ بِوَجْهٍ طَلْقٍ وَلِسَانٍ ذَلْقٍ
Tarjuma: "Joo banda aur kaniz ye namaz padhlegi Allah Tala uske gunah bakhash dega agarche uske gunah samandar ki jhaag yaa ret ke barabar hon, pahadon ke wazan ke barabar hon, barish ke khatron ke barabar hon aur darkht ke patton ke barabar kion naa hon, aur qiyamat ke din uski shifat uske khandan ke saath aadmion ke haq me qubool karli jaigi aur qabar ki pahli raat me uske paas khule howe chare ke aur jaari zaban ke sath aaiga."

Rajab ki khusoosi namaz ke barain jo riweet bean ki gai hai is ke bare me Imam Ibn al-Jauzi rahimahullah farmate hain:
هَذَا حَدِيثٌ مَوْضُوعٌ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَقد اتهموا بِهِ ابْن جهيم ونسبوه إِلَى الْكَذِب
Tarjuma: "Ye riweet NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam par ek bahut bada buhtaan hai aur is jhoot ko "Ibn Juhaim" ne NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki taraf mansoob kiya hai jabke "Ibn Juhaim" ek kazzab jhoota rawi hai jo hadisain banea karta thaa.
(Al-Mauzooat Li-Ibn Jauzi:2/124-125, Published: (Mohammed Abdul Mohsin) Maktabah Salafiyeh Bil-Madina Munawar, first published:1968 - 1996)

"Rajab me ek raat aur ek din aisa aata hai ke agar koi is me roza rakhle aur uss raat ibaadat kare to use 100 saal ke rozon aur 100 ki raton ka sawab milta hai. Ye din raat rajab ki sataiswen 27th tarikh hai. Isee din NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ko risalat se nawaza gea."(Iss riweet ka koi bhi hawal hame nahi mila)

RAJAB KE MAHINE KI IBAADAT
Quran wo hadis ki roshni me rajab ke mahine ki fazilat bean ki gai hai. Rajab ke mahine ki fazilat wali ibadaat ye hain:(ye sarasar Quran wo Hadis par bahut bada jhoot hai)
 Rajab ki 27 tarikh ko Meraj hai is liye is din roza rakha jai
 Rajab ke mahine me teen(3) roze jumera, juma aur hafte ke din rakhna laazmi hai kion ke in teen rozon ka sawab 900 saal ki ibaadat ke barabar hai.
 Rajab ke mahine me zakat adakarna
 Rajab ke mahine me kisi ka qarz adakarna
(Roznama "Jung" lahore, 19/september/2003)
Rajab ki manghdat fazilat ka mazmoon ek ek lafz ke sath jhoota hai hadis-e-rasool ke naam se jitni hadisen aur jo fazilaten bean ki gai hai sab ki sab jhooti aur manghdat hai. NAUZOBILLAHI MIN ZALIK


Issee tarah ka ek aur mazmoon "Shab-e-Bara ke Fazail" ke naam se rooz'nama "Nawai Waqt" Lahore(25/July/2008) me chapa, likhne wale ka naam "Mohammed Ilyas Attar Qadri" hai is mazmoon me baaz hawale bhi hain likin ye hawale kaise hain aur in hawalon ki haisiyet kiya hai? is par hum baad me baat karainge pahle aap ye (manghadat)fazail padhlain:
Ahmed Raza Khan Barelvi kahte hai, "Fawaid-ul-Fawaid me Hazrat Anas se marwi hai, NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmea: satais rajab ko mujhe nabuwat ata howi jo is din roza rakhe aur iftar ke waqt dua kare das(10) baras ke gunahon ka kaffara hoo". Fatawa Rizwiya, page:658, published: Maktaba Rizwiyah Karachi.
"Fawaid Henad al-Nasfi" me ye riweet maujood hai. Hafiz Imam Ibn Hajar Asqalani rahimahullah ne isee kitab se iss riweet ko naqal kiya hai. Aur farmea hai ke: "Iss riweet ki sanad Munkar hai Zaif hai. Dekhiye: "Tabain-ul-Ajab li-Ibn Hajar:119. Iss riweet ke bare me Hafiz Ibn Iraq ne Hafiz Ibn Hajar ki mauafiqat ki hai. Dekhiye: "Tanziyah al-Shariyah li-Ibn Iraq:2/116, riweet No:41.

Syidina Abu Hurairah raziallahu'an ki taraf mansoob ek riweet is tarah bean ki jati hai ke: "Jo rajab ki sataiswe(27th) ka roza rakhega Allah uske liye 60 mahinon (5 saal) ke rozon ka sawab likhega aur ye wo din hai jis me Jebreel alaihissalam Mohammed Arabi sallallahu alaihi wasallam keliye pagambari lekar nazil howe.
("Fazail Shar Rajab lil-Khallal, riweet No:18. is ki sanad me "Shahar Bin Haushab" sachche rawi hain likin wo bahut wahem wale rawi hain. "Matar Bin Tahman" sachche rawi hain likin bahut ziyada "khata" karte hai. ye riweet "Ihea Uloom-ud-deen lil-Gazali:1/217 – aur is ki sharah "Athaf Al-Sadat-ul-Muttaqin lil-Murtaza Zubaidi:5/207 me marfo'an marwi hai. Allama Zubaidi, Hafiz Iraqi ke hawale se likhte hain: ye riweet "Abu Mosa al-Madani ne apni kitab "Fazail-ul-liyali wal-Aiyaam" me bean kiya hai. jab tak is riweet ki sanad samne nahi aajati tab tak ye faisla karna dushwar hai ke ise marfoo bean karna kisi rawi ki galati hai. Hafiz Ibn Hajar rahimahullah ne is riweet ko mauqoofan bean kiya hai. Dekhiye: Tabain-ul-Ajab:119. Phir Hafiz Iraqi ne Hafiz Ibn Hajar se isee tarah naqal kiya hai. Dekhiye: "Tanzeeh-ul-Shariyah:2/161. Bahar-haal agar ye riweet mauqoof bhi hoo tab bhi "Zaif" hi hai)

Syidina Salman Farsi razillahuan ki taraf mansoob ek riwayet me hai: Allah Tala ke mehboob, gaib ko jan'ne wale, tamam aibon se paak ka farman hai: "Rajab me ek din aur ek raat hai jo is din roza rakhe aur raat ko ibadat kare to aisa hai jaise uss ne 100 saal ke roze rakkhe, aur ye rajab ki 27 tarikh hai. Isee din Mohammed sallallahuahiawasalam ko nabuwat ata ki gai."(Shuab-ul-Imaan lil-Baihaqi:3/374, riwayet No:3811)
Iss riwayet me "Khalid Bin Hiyyaj" aur uska baap "Hiyyaj Bin Bustam" donon "Ziaf" rawi hain. Hiyyaj ko Imam Ahmed Bin Hanbal rahimahullah ne "Matrook-ul-Hadis" kaha hai aur Imam Abu Dawood rahimahullah ne is rawi ke bare me farmaya: "Muhaddisin is rawi se hadise nahi lete". Imam Baihaqi rahimahullah ne "Shuab-ul-Imaan" me is riwayet ko "Munkar" qarar diya hai. Hafiz Ibn Hajar rahimahullah ne bhi is riwayet ko "Munkar" kaha hai. Dekhiye: "Tabain-ul-Ajab" page:53. Hafiz Ibn Iraqi rahimahullah ne Hafiz Ibn Hajar ki tayeed(support) ki hai. Dekhiye: "Tanzih-ul-Sharia:2/1616, riwayet No:41.

Syidina Anas razilalalahuan ki taraf mansoob ek aur riwayet: "Rajab me ek raat hai, is me nek amal karne wale ko 100 saal ki nekion ka sawab milta hai aur wo rajab ki sataiswe (27th) raat hai. Jo is raat baara rak'aat padhe, har rak'at me sura fatiha aur ek zam sura aur har rak'at me "attahiyaat" aur aakhir me salaam pherne ke baad 100 baar: Allah ki badai aur 100 baar isteghfaar aur 100 baar durood padhe aur apni dunya aur aakhirat se jis chiz ki chahe, dua mange aur subah ko roza rakhe to Allah uss ki sab duain qubool karega, sirf wo dua qubool nahi hoogi jo gunaah ke liye mangi jai".( Shuab-ul-Imaan:3/374, riwayet No:3812)
Iss riwayet ki sanad me "Mohammed Bin Fazal Bin Atiyah" 'Kazzab'(jhoota) rawi hai. Imam Baihaqi rahimahullah ne iss riwayet ko "Munkar" kaha hai. Hafiz Ibn Hajar rahiamahullah ne farmaya ke is ke rawi naa maloom hai. Dekhiye: Tabain-ul-Ajab, page:118.

Fazilat-ush-Shaik Hafiz Salah-ud-Deen Yousuf Hafizahullah
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Bid’aat 0
Shona shaikh Bid’aat 0

Similar threads


Top