Rabi ul Awwal Ke Mauqe par Jhandiya Lagana Kaisa


Abdul Adil

Member
Rabi ul Awwal Ke Mauqe par Jhandiya Lagana Kaisa

Rabi Ul Awwal ka Maheena shuru ho gya hai aur dikh bhi rha hai hamare barelvi bhai jhanda laga rhe hai , apne gharo ko saza rhe hai , apne village mein jhanda laga rahe hai , bike wagairah mein choti choti jhandiya laga rhe hai . Darasal hamare barelvi bhai ek riwayat pesh karte hai jhanda lagane ke silsile mein aayiye wo riwayat dekh lete hai

Hamare ek barelvi Aalim Sayyed Sajid Pasha Qadri Sahab Ek riwayat bayan karte hai ๐Ÿ‘‡


Mashoor Barelvi Alim Sayyad Aminul Qadri Sahab bhi yahi riwayat bayan karte hai ๐Ÿ‘‡


Ab ayiye us riwayat ki haqiqat dekhte hai jo qadri sahab ne bayan ki hai ๐Ÿ‘‡

Hazrat Amina Farmati hai

"ูˆูŽุฑูŽุฃูŽูŠู’ุชู ุซูŽู„ูŽุงุซูŽ ุฃูŽุนู’ู„ูŽุงู…ู ู…ูŽุถู’ุฑููˆุจูŽุงุชู: ุนูŽู„ูŽู…ูŒ ูููŠ ุงู„ู’ู…ูŽุดู’ุฑูู‚ู , ูˆูŽุนูŽู„ูŽู…ูŒ ูููŠ ุงู„ู’ู…ูŽุบู’ุฑูุจู , ูˆูŽุนูŽู„ูŽู…ูŒ ุนูŽู„ูŽู‰ ุธูŽู‡ู’ุฑู ุงู„ู’ูƒูŽุนู’ุจูŽุฉู"

Maine dekha teen jhande lagaye gye ek mashrik (east) mein doosra magrib (west) mein teesra kaabe ki chat par aur Rasoolullah ๏ทบ ki wiladat huyi.

[Dalail Ul Nubuwa Libne Nayeem Al-Asbahani Jild : 1 , Safa : 410 , Raqam Number : 555 ,khashaish Al Kubra Jild : 1 , Safa : 121 ]

Tahqeeq :- Ye riwayat shakht Zaeef hai kyunki

1) Iska raawi Yahya Bin Abdullah Al-Babalti Zaeef hai

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne ise zaeef karar diya hai

[Takreeb ut Tahzeeb : 7585 , Tazeeb ut Tahzeeb jild : 11 Safa Number : 240 Raqam Number : 393]

2) Yahya bin Abdullah Ke Ustaaz Abu Bakar Bin Abi Mariyam Zaeef Raawi hai

Ise Imam Ahmad Bin Hambal , Imam Abu Dawd , Imam Abu Hatim , Imam Abu Zarah Ar Raazi , Yahya Bin Mayeen , Imam Daraqutni , Imam Nasai Rahimahullah Alaihim Azmayeen aur iske alawa bhi Deegar Muhaddiseen ne zaeef wa mazrooh karar diya hai

dekhiye ๐Ÿ‘‡

[Takreeb ut Tazheeb : 7974 ,Tazeeb ut Tahzeeb jild : 12 Safa : 28 , Raqam Number : 139]

Mazeed Jankari ke liye is video ko dekhe

Meelad Un Nabi par Jandhay Lagane ki Riwayat ki Tahqeeq! Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah link ๐Ÿ‘‡

 

Amaat ullah

New member
Barelvi Sahih hadith hone k bawajood unko nazar andaz karte or amal puri tarh se farz jese zaeef manghadat pr karte astagfirullah Allah hidayat de unlogo ne ko.
 
Top