Muhammed Ali Owais
Member
QYAAMAT KE DIN SOOD KHOR KA ANJAAM
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.80, page:49)
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.80, page:49)
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
Irshaad BAARI TA'ALA hai:
الَّذِينَ يَأْكُلُونَ الرِّبَا لَا يَقُومُونَ إِلَّا كَمَا يَقُومُ الَّذِي يَتَخَبَّطُهُ الشَّيْطَانُ مِنَ الْمَسِّ
"Jo log sood khaate hain wo (qyaamat ke din) us shakhs ki tarha khade honge jise shaitan(jin) ne choker makhbot-ul-hawaas banaadya."(Surah al-Baqarah:275)FIQHUL-QURAN:
(1)
Sood khana sood lena haraam hai, neez is silsile mein kisi qisam ka ta'awon karna bhi mamno hai, balke qyaamat ke din azaab aur ruswaayi ka sabab hai.(2)
Baaz logon ko jin shayaateen chimat sakte hai.(Dekhiye: Tafseer Qurtobi:3/355)Shaikh-ul-Islam Ibn Taimiyyah rahimahullah ne farmaya:
وکذلک دخول الجنبي في بدن الٳنسان ثابت باتفاق ٲئمة اھل السںة
"Aur isee tarah insaan ke jisam mein jin ka dakhil hojana ayimah Ahl-e-Sunnat ke ittifaq se saabit hai."(Mukhtasar al-Fatawa al-Misriyyah, page:584)(3)
" يَتَخَبَّطُهُ " ki tashreeh mein Mufassir-e-Quran Imam Qatadah rahimahullah (Tabayee) ne farmaya:"Yeh shaitan ka pagal kardena hai."(Tafseer Abdul Razzaq:356, aur is ki sanad SAHIH hai. /wa Tafseer Ibn al-Tabari:3/7, Hadis No.2638)
(4)
Syidina Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhu ne aayat-e-mazkorah ki tafseer mein farmaaya:"Yeh us waqt hoga jab usey(sood khor ko) is ki qabar se othaayaa jayega."(Tafseer Ibn al-Munzar, page:50, Hadis No.25, aur is ki sanad SAHIH hai)
(5)
Imam Ismayeel Bin Abdulrahmaan al-Suddi(Suddi Kabeer) ne " مِنَ الْمَسِّ" ki tashreeh mein farmaaya:"مِنَ الجُنُون".(Tafseer Ibn Jareer:3/7, Hadis No.6241, aur is ki sanad HASAN hai, Nuskhah Muhaqaqah Matbua Dar-ul-Hadis, al-Qahirah, Misr)
(6)
Sood khor par azaab keliye dekhiye:Sahih Bukhari:7047.(7)
ALLAH TA'ALA se dua hai ke hamein sood aur tamaam gunaahon se mahfoz rakhe, qabar aur qyaamat ke azaab se bachaaye aur dunya o aakhirat ko khair hi khair banade.(AAMEEN)