QURBANI KA JANWAR ZABAH KARNE KA TAREEQA


Umar Asari

Administrator
Staff member
QURBANI KA JANWAR ZABAH KARNE KA TAREEQA

Bhed, bakri aur dumba zabah karne ka tareeqa yeh hai ke janwar ko baayen (left) pehlu ke bal lita kar uski gardan par ek paaon rakh kar baayen haath se uska sir pakar kar daayen haath se
بسم اللہ اللہ اکبر​
padh kar zibah kiya jaye.
📘(Sahih Bukhari: 5558 Sahih Muslim: 1966)

Oont ko zabah karne ka tareeqa yeh hai ke Usko khada kar ke baayaan paon bandh diya jaye aur teen paaon par khada rehne diya jaye phir
بسم اللہ اللہ اکبر​
padh kar chhuree ya nezah ya kisi tez dhaar aala ko uske halaq mein pewast kar diya jaye, is tarah khade khade hi uska sara khoon nikal jayega aur woh pehlu ke bal gir jayega.
📕(Tafseel ke liye dekhye: Surah hajj: 36 Sahih Bukhari: 1713 Sahih Muslim: 1320 Sunan Abu Dawud: 1764 )

Qurbani ke janwar ko qibla rukh kar ke zabah karna mustahab hai.
📘(Mu’atta Imam Malik: 1/379)

Qurbani ka janwar zabah karte waqt "بسم اللہ اللہ اکبر" ke baad "اللهم هذا منك ولك" aur "اللهم تقبل مني" kehna bhi mustahab hai.
(Tafseel ke liye dekhye: Sahih Muslim: 1967, Irwa ul Ghaleel: 1138, 1152)

Agar qurbani karne wala ghar ka sarparast ho to usko chahiye ke qurbani mein apne sath apne tamam ghar walon ko bhi shaamil kar le, chunancha zabah karte waqt apna naam le aur apne ahl e khanah (ghar waalon) ka bhi zikr kare, misaal ke taur par agar uska naam yasir hai to zabah karte waqt yeh kahe:
بسم اللہ اللہ اکبر اللهم هذا منك ولك اللهم تقبل من یاسر وآل یاسر​
(Sahih Muslim: 1967)

Kisi dusre ki taraf se janwar qurbaan karne wala zabah karte waqt uska naam le, misaal ke taur par agar uska naam Aamir hai to yeh kahe
بسم اللہ اللہ اکبر اللهم هذا منك ولك اللهم تقبل من عامر​
aur agar woh (yani Aamir) apne ghar ka sarparast ho to uske naam ke sath uske ahl e khanah ka bhi zikr kare aur kahe:
بسم اللہ اللہ اکبر اللهم هذا منك ولك اللهم تقبل من عامر وآل عامر​

Baaz ahl e ilm ne qurbani ka janwar zabah karte waqt is dua ke padhney ko bhi mustahab qarar diya hai:
إني وجهت وجهي للذي فطر السماوات والأرض على ملة إبراهيم حنيفا وما أنا من المشركين، إن صلاتي ونسكي ومحياي ومماتي لله رب العالمين لا شريك له وبذلك أمرت وأنا أول المسلمين​
📘(Musnad Ahmed : 15022, Sunan Abi Dawud: 2795)

Ahl e ilm ne zabah karne ke aadaab mein yeh bhi zikr kiya hai ke janwar ka halqoom, khane peene ki nali, aur do ragein jo un dono ke paas hoti hain kaat di jayen.
📒(Dekhiye: Salata ul Momin: 2/925)

Janwar zabah karte waqt Allah ka naam lena zaroori hai, jis par Allah ka naam na liya gaya ho uska khana halal nahi hai.
📗(Dekhiye: Surah An’aam: 118, 121)

Ghairullah ke liye janwar zabah karna ya uspar ghairullah ka naam lena shirk aur bid'at hai aur us ka khana haraam hai.
📗(Dekhiye: Surah Al-Baqarah: 173)

Janwar zabah karne ka sharai tareeqa yeh hai ke kisi dhaar daar aala se zabah kiya jaye jis se uski shah e rag kat jaye aur khoon ka aksar hissa uske jism se nikal jaye.
📕(Dekhiye: Sahih Bukhari: 2543, Sahih Muslim: 1968)

Is liye gala daba kar ya bijli se jhatka de kar zabah kiya hua janwar halal nahi hoga, balke woh murdaar ke hukm mein hoga jo ke Shariat mein haraam hai.
📗(Surah Al-Maida: 3)

Chunke is mein janwar ke jism se khoon nahi nikal paata hai is liye uska gosht tibbi aitbaar se sehat ke liye nuqsandeh bhi ho sakta hai.

Zabah karne se pehle qurbani ke janwar ko ya uske baaz aaza ko dhona ya uspar pani chhidakna durust nahi hai kyunki Shariat mein is ki koi asal nahi hai.

Aapka Bhai:
Iftikhar Alam Madani
Islamic Guidance Center
 

Top