Umar Asari

Administrator
Staff member
Quran o Hadees Mein Tehreef Jaayez Nahi Chaahe Tableegh Ki Khatir Ho!!!

Tehreer: Mohtarma Umme Noor ul Ain Hafizahallah

Kuch logon mein tableegh ka jazba hota hai lekin zaroori ilm na hone ki wajah se un ko dalail maloom nahi hote. Bajaye husool e ilm ki sabr aazma mashaqqat ke woh asaan rasta muntakhab karte hain. Tableegh ke naik maqsad ki khatir jhoot bolne, tahreef karne ka rasta. Aap ko aise bahut se mazhabi afraad (log) milenge jo yeh maloom hone ke baad bhi ke un ki bayan ki gayi riwayat jhooti hai usay phailaane se baaz nahi aaate (yani rukte nahi). Un ka khayaal hota hai ke chahe jhooti riwayat hai lekin logon par asar bahut karti hai. Yeh tableeghi tijarat (business) hai jo cheez awam (logon) mein hathon haath bikegi woh us ko zaroor bechenge.
Tableegh ke isi naa-pukhta tasawwur ki wajah se naubat yahan tak aa gayi ke log qurani ayaat aur ahadees ki ma’nwi tahreef (meaning mein badlaav karne) se bhi baaz nahi aa rahe. Woh chahte hain ke tableegh mein anokhi baatein karen jo awam (logon) ne un se pehle kisi muballigh (tableegh karne waale) se na suni hon. Isi daud mein aayaat o ahadees ka mann marzi (apni marzi) ka tarjumah ho raha hai. Kisi hadees ka durust maana (meaning) kya hai is se un ko koi gharz (matlab) nahi.
Sunan Abi Dawood ki aik hadees hai:
لاَ يَقْبَلُ اللَّهُ صَلاَةَ حَائِضٍ إِلاَّ بِخِمَارٍ​
Tarjumah: Allah taala baaligh ladki ki namaz sir ki chadar ke baghair qabool nahi farmate.
(Abu Dawood: 641)

Is hadees ka mafhoom yeh hai ke jab ladki baaligh ho jaye to namaz ke libaas mein sir ki chadar shaamil hona zaroori hai. Is ka yeh matlab bhi hai ke sir dhake baghair agar koi baaligh ladki namaz padhegi to woh qabool nahi hogi kiunki is mein namaz ki bunyadi sharait ka khayaal nahi rakha gaya.
Afsoos social media par kuch log is Hadees e mubarak ka yeh tarjumah phaila rahe hain ke: “Allah us aurat ki namaz qabool nahi karta jo baaligh hone ke baad parda nahi karti.” Yeh Hadees mein ma'nwi tahreef hai (yani Hadees ke meaning ko badalna hai). Deen ke ahkaam mein tahreef woh jurm hai jis ki saza mein pehli qaumen barbaad huin. Hum un ki mazammat mein utri ayaat roz tilawat karte hain aur deen ki dawat ke naam par wahi kaam karne chale hain?
Un logon ko samjhaya gaya ke yeh durust tarjumah nahi to batane lage ke is tarjume se kon se tableeghi fawaid mil sakte hain. Pasti ki intehaa hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke alfaaz unhein dawati maqasid ke liye kaafi nahi lagte. العیاذ باللہ. Woh yeh sochna nahi chahte ke usay padhne wali aik be-parda ladki yeh bhi soch sakti hai ke chunki main parda nahi karti is liye mujhe namaz bhi chor deni chahiye ke woh qabool nahi hogi. Yeh Allah ke bandon ko us ke deen e rehmat (rehmat waale deen) se door le janey wali soch hai.
Emaan aur amanat-daari ka taqaza yeh hai ke hum deen mein sirf woh kahen jo Allah Taala aur us ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaha hai. Insanon ke dil mom karna, un par asar daalna us zaat ka kaam hai jo dil badalne par qadir hai. Makhlooq ka dil badalne ki khatir hamein Allah ka deen badlne ki zaroorat nahi. Kya hum yeh saada si baat nahi samajh sakte ke sach baat phailane ke liye jhoot bolne ki kya zaroorat hai? Hamein tableegh karne se pehle tableegh ka ilm haasil karne ki bhi zaroorat hai, taaki maloom ho kaisi tableegh durust hai aur kya cheez tableegh nahi balki shaitan ki chaal hai. Yeh baat kisi da’ee (deen ki taraf bulane waala) ya muballigh (tableegh karne waala) ki hausla-shikni ke liye nahi, un ka rasta durust hai lekin simt ghalat ho rahi hai. Insaan aik baar ghalat simt rukh kar le to seedhe raaste se door nikal sakta hai. Aik musalman ki khair khwahi hamara farz hai.

Allah hamein apni sachchi mohabbat ataa kare. Hamein shohrat ki hawas se pehle ilm ki piyaas naseeb ho. Hamare dilon mein awaami maqboliyat (logon mein maqboliyat) se pehle bargaah e ilahi mein maqbool ban-ne ki khwahish bedaar ho jaye to yeh saari mushkil asaan ho jaye.
 
Top