Quran o Hadees ki roshni mein ilm ke mutabiq amal karna zaroori hai


Ibnatu Ali

Member
Quran o Hadees ki roshni mein ilm ke mutabiq amal karna zaroori hai

Written by: Dr. Abdul Mannaan Muhammad Shafeeque

Ek musalman mard o aurat dono ke liye Shariyat ki roshni mein sirf ilm haasil karna hi zaroori nahi hai balki un ke liye us ilm ke mutabiq amal karna bhi zaroori hai. Kiunki:
1- Amal hi ilm ka faida aur us ka nateeja aur maqsad hai.

2- Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aur Aslaaf hamesha ilm ke mutabiq amal karte they. Jaisa ki hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki seerat mein aaya hai ke jab bhi koi hukm nazil hota to sab se pehle us hukm ki pairwi karne wale aap hote they aur jab bhi kisi cheez se roka jaata to sab se pehle us se door rehne waale aap hote they.

3- Ilm baghair amal ke aisa hi hai jis tarah insani jism baghair rooh ke hota hai. Yani jis tarah jism aur badan baghair rooh ke murda, be-faida aur bina kisi qeemat ke hote hain usi tarah woh ilm bhi be-jaan, be-faida aur nakaara hota hai jis par amal na kiya jaye.

4- Ilm ke mutabiq amal na karne wala sahib e ilm us gadhe ki tarah hai jo apni peeth par kitaabein laade huwe ho lekin woh us ke liye bekar hai kiunki woh us se kuch nahi samjhta hai. Allah Rabbul Aalameen ka farmaan hai:
مَثَلُ الَّذِينَ حُمِّلُوا التَّوْرَاةَ ثُمَّ لَمْ يَحْمِلُوهَا كَمَثَلِ الْحِمَارِ يَحْمِلُ أَسْفَارًا​
Tarjumah: Jin logon ko toraat par amal karne ka hukm diya gaya phir unhon ne us par amal nahi kiya un ki misal us gadhe ki si hai jo bahut si kitabein laade ho.
(Surah No: 62 Ayat No: 5)

5- Aur aisa ilm hamare liye qayamat ke din rehmat ke bajaye zehmat aur wabaal hoga. Jab Allah Taala hum se sawal karega ke tum ne ilm ke mutabiq kya amal kiya? Aur yeh sawal zaroor kiya jayega jaisa ke Hadees hai:
عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " لَا تَزُولُ قَدَمَا عَبْدٍ يَوْمَ الْقِيَامَةِ حَتَّى يُسْأَلَ عَنْ أَرْبَعِ خِصَالٍ : عَنْ عُمُرِهِ ، فِيمَ أَفْنَاهُ ؟ وعَنْ شَبَابِهِ ، فِيمَ أَبْلَاهُ ؟ وَعَنْ مَالِهِ ، مِنْ أَيْنَ اكْتَسَبَهُ ؟ وَفِيمَ أَنْفَقَهُ ؟ وَعَنْ عِلْمِهِ ، مَاذَا عَمِلَ فِيهِ ؟​
Tarjumah: Hazrat Mu'aaz bin Jabal Radhiallahu Anhu se riwaayat hai, wo kehte hain ke Rasoolullaah Sallallaahu alaihi wasallam ne farmaya: Kisi bhi bande ka pair qiyamat ke din us waqt tak apni jagah se nahi hatenge, yahaan tak ke us se 4 cheezon k baare mein sawaal na kar liya jaaye:
1. Uski umr k baare mein ke usko kahaan khatm kiya?
2. Uski jawani k baare mein ke usko kahaan lagaya aur isti'maal kiya?
3. Uske maal aur daulat ke baare mein ke kahaan se kamaaya aur kahaan kharch kiya?
4. Uske ilm ke baare mein ke uske mutaabiq kitna amal kiya?
Bazzaar aur Tabraani ne isko saheeh sanad se riwaayat kiya hai. Aur Allaama Albaani Rahimahullah ne is hadees ko Saheeh Targheeb Wat-tarheeb me saheeh li-ghairihi qaraar diya hai. Dekkhen: Hadees no.3593

Lehaza aaiye hum yeh ahed karte hain ke hum apne ilm ke mutabiq zaroor amal karenge taaki qayamat ke din yeh ilm hamare liye wabaal e jaan na ho aur hum Allah ke saamne ruswa aur zaleel na hon. Balki amal kar ke dono jahanon mein kaamyaab hon.
 

Similar threads


Top