Ibnatu Ali

Member
Quran o Hadees Ka Baahmi Rabt

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Quran aur Hadees Dono Aik Hi Sikkey Ke Do Rukh Hain, Quran Ko Hadees Se Alag Nahi Kiya Ja Sakta Is Liye To Quran Ko Baghair Hadees Ke Samjha Hi Nahi Ja Sakta Hai. Isi Bina Par Allah Ta’ala Ne Apni Itaat Ke Sath Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bhi Itaat Ka Hukm Diya Hai. Allah Ta’ala Ka Farmaan Hai:
قُلْ أَطِيعُواْ اللّهَ وَالرَّسُولَ فإِن تَوَلَّوْاْ فَإِنَّ اللّهَ لاَ يُحِبُّ الْكَافِرِينَ​
Tarjuma: Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aap Keh Den Ki Allah or Rasool Ki Itaat Karo Phir Agar Woh Rogardani Karen To Allah Ta’ala Kafiroon Ko Pasand Nahi Karta.
(Surah Aal e Imran: Surah No: 3 Ayat No: 32)

Is Aayat Se Saabit Hota Hai Ke Jis Tarah Allah Ki Itaat Quran Ki Soorat Mein Zaroori Hai, Usi Tarah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Itaat Hadees (Qaul, Feal, Taqreer Aur Sifat) Ki Soorat Mein Zaroori Hai Balkay Yeh Dono Itaatein Darasal Aik Hi Hain. Jaisa Ki Allah Ta’ala Ka Farman Hai:
مَنْ يُّطِعِ الرَّسُوْلَ فَقَدْ اَطَاعَ اللهَ​
Tarjuma: Jo Shakhs Rasool Ki Itaat Karta Hai, Woh Giya Allah Ta’ala Ki Itaat Karta Hai.
(Surah An-Nisa: Surah No: 4 Ayat No: 80)

Quran o Hadees Ka Baahmi Rabt Is Baat Se Aur Bhi Wazeh Ho Jata Hai Ke Allah Taala Ne Quran Ki Tashreeh o Bayan Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zimma Lagai Hai.
وَأَنزَلْنَا إِلَيْكَ الذِّكْرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيْهِمْ وَلَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ​
Tarjuma: Aur Hum Ne Aap Ki Taraf Zikar (Quran) Nazil Farmaya Hai Taakay Aap Logon Ke Liye (Quran Ka Paigham) Khoob Wazeh Kar Den Jo In Ki Taraf Utaarey Gaye Hain Aur Taakay Woh Ghaur o Fikr Karen.
(Surah An-Nahl: Surah No: 16 Ayat No: 44)

Aur Phir allah Taala Ne Quran Majeed Mein Kayi Maqamat Pay Quran Ko Hadees Keh Kar Aur Bhi Wazeh Kardiya Ke Quran Hadees Hai.

Chunancha Aik Jagah Allah Ta'ala Farmata hai :
فَبِأَىِّ حَدِيثٍۭ بَعْدَ ٱللَّهِ وَءَايَٰتِهِۦ يُؤْمِنُونَ​
Tarjuma: Pas Allah Ta’ala or Uski Aayaton Key Baad Kis Hadees (Quran) Par Emaan Layengey.
(Surah Al-Jasiyah: Surah No: 45 Ayat No: 6)

Mazeed Farmaya:
فَبِأَىِّ حَدِيثٍۭ بَعْدَهُۥ يُؤْمِنُونَ​
Tarjuma: Ab Is Quran Key Baad Kis Baat Par Emaan Laayengey.
(Surah Al-Mursalaat: Surah No: 77 Ayat No: 50)

Iskey Alawah or Bhi Kai Aayatein Hain Jin Mein Hadees Sey Murad Quran Hai, Isi Tarah Ek Mashhoor Hadees Mein Hai:
وَخَيْرُ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ​
Tarjuma: Behtareen Baat (Hadees) Allah Ki Kitaab Hai.
(Sahih Muslim: 867)

Or Ek Hadees Mein Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Aqwaal, Af’aal or Taqareer Ko Hadees Kaha Gaya Hai.
(Mishkaat: Page:3)

Upar Zikr Kiye Gaye Dalail Se Yeh Baat Bilkul Wazih Ho Jati Hai Ke Quran Majeed Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Aqwaal o Af’aal Aur Taqreer Hadees Hain. Aur Isi Tarah Ye Baat Bhi Maloom Ho Jaati Hai Key Quran Ka Hadees Se Kitna Gehra Rabt Hai Kiunki Yeh Bohat Aam Si Baat Hai Jis Ka Inkaar Koi Ziddi Hi Kar Sakta Hai.

In Baton Se Aik Aur Baat Ka Ilm Hota Hai Ke Ahl e Hadith Ka Matlab Quran Aur Hadees Waley.

Allah Taala Hamein Sahih Samajh Ataa Farmaye.
Ameeen.
 

Top