QURAN MAJEED KI QASAM UTHANA


QURAN MAJEED KI QASAM UTHANA
Tahree : GHULAAM MUSTAFA ZAHEER AMAN PORI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Kya Quran Majeed ki qasam uthana jaayez hai?

JAWAAB:
Quran Majeed ki qisam uthana jaaiz hai, kionke makhlooq ki qasam naajayez aur haraam hai, jabkay quran Majeed ALLAH-RABULIZZAT ki haqeeqi kalaam aur is ki sift hai, makhlooq nahi. Jo shakhs quran Majeed ki qasam uthane ke baad usey todey, is par kaffara bhi wajib ho ga.

Jis tarha ALLAH TA'ALA ki zaat ki qasam uthana jaayez hai, isi terha is ke Asma o sifaat ki qasam bhi jaayez hai. Is par Ummat-e-Musalmah ka ijma o ittafaq hai, jaisa ke:

Imam-e-Undlos Hafiz Ibn Abdul Barr rahimahullah farmate hain:

فالذي أجمع عليه العلماء فى هذا الباب؛ هو أنه من حلف بالله، أو باسم من أسماء الله، أو بصفة من صفاته، أو بالقرآن، أو بشىء منه، فحنث، فعليه كفارة يمين على ما وصف الله فى كتابه من حكم الكفارة، وهذا ما لا خلاف فيه عند اهل الفروع
"Is silsilay mein jis baat par ahal-e-ilm ka ijma hai woh yeh hai ke jo shakhs ALLAH TA'ALA ki zaat, is ke kisi ism graami, is ki kisi sift, Quran Kareem ya is ki kisi aayat ya surat ki qasam uthata hai aur phir usey tod deta hai, is par qasam ka hi kaffara wajib ho ga, jo ALLAH TA'ALA ne apni kitaab mein bayan farmaya hai. ahal-e-furo ke haan is bare mein koi bhi ikhtilaaf nahi hai."( Al-Tamhid lima fi al-Muwatta' min al-Ma'ani wa al-Asanid:14/369)

Allama Ibn Hubairah rahimahullah likhte hain:

أجمعوا على أن اليمين منعقدة بالله، وبجميع أسمائه الحسنى، وبجميع صفات ذاته؛ كعزته، و جلاله، و علمه، وقوته، وقدرته، واستثني أبوحنيفة علم الله، فلم يره يمينا، وكذا حتى الله .
"Is baat par Ummat-e-Musalmah ka ijma hai ke ALLAH TA'ALA ki zaat, is ke Asma-e-Hasna , is ki tamam zaati sifaat maslan, Izzat, Jalal, Ilm, Qowat aur Qudrat ki qasam munaqqid ho jati hai. Albata imam abohnifh se ALLAH TA'ALA ke ilm aur ALLAH TA'ALA ke haq ki qasam ko mustasna kya hai ke is ki qasam nahi hoti."(Kitab al-Ijma, Kama Fi Fathul Bari li-Ibn Hajar:11/535)

Ijmaa-e-Ummat hi mutebar hai, Abu Hanifa ki inferaadi Raye, Ijma-e-Ummat ke muqabile mein qaabile qubol nahi.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Manhaj 0

Similar threads


Top