QUR'AAN AUR AHAADEES e SAHEEHAH MEIN SHIRK e AKBAR WA AŚGHAR KO PEHCHAANNE KA AASAAN TAREEQAH


QUR'AAN AUR AHAADEES e SAHEEHAH MEIN SHIRK e AKBAR WA AŚGHAR KO PEHCHAANNE KA AASAAN TAREEQAH

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

• Aur wohi tareeqah Kufr e Akbar wa Aśghar ko pehchaane ka bhi hai.

• Shirk wa Kufr e Akbar ka murtakib Deen e Islaam se khaarij hokar Mushrik wa Kaafir aur Murtadd hojaata hai.

• Lekin Shirk wa Kufr e Aśghar ka murtakib Islaam se khaarij nahin hota balke Haraam wa Kabeerah Gunaah ka murtakib hota hai.

• Shirk Doona Shirk aur Kufr Doona Kufr ka murtakib bhi Deen e Islaam se khaarij nahin hota.

• Shirk Doona Shirk: Ye Shirk toh hai lekin kamtar darjey ka Shirk hai.

• Kufr Doona Kufr: Ye Kufr toh hai lekin kamtar darjey ka Kufr hai.

'Ulamaa ne ek usool bayaan kiya hai ke Shirk wa Kufr e Akbar ko kaise pehchaana jaaye jis ka murtakib Murtadd hojaata hai aur agar usi haal mein marjaaye toh Jahannam mein jaayega jahaan woh hameshah rahega.

☆ Qaa'idah kuch is tarah hai ☆

الكفر إذا عُرِّف بالألف واللام سواء كان هذا في كتاب الله أو كلام رسوله (ﷺ) فالمقصود به الأكبر، ولا يصح حمل ذلك على الأصغر إلا بنص صريح في ذلك

"Al-Kufr jab ma'rifah Alif aur Laam ke saath aaye chaahe woh Allaah ki kitaab mein ho ya Rasool Allaah (ﷺ) ke kalaam mein us se muraad Akbar hi hota hai aur usey Aśghar samajhna saheeh nahin hai jab tak ke uske Aśghar hone ki saaf nass na mil jaaye."

☆ Misaal ke taur par ☆

Al-Shirk (الشرك), Al-Kufr (الكفر), Al-Mushrikoon (المشركون), Al-Kaafiroon (الكافرون), Al-Mushrikeen (المشركين), Al-Kaafireen (الكافرين).

• In sab se muraad Akbar liya jaayega siwaaye uske jo Qur'aan aur Ahaadees e Saheehah se Aśghar saabit hojaaye.

Qur'aan se SHIRK e AKBAR wa KUFR e AKBAR ke kuch misaalen ☆

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

وَ مَنۡ لَّمۡ یَحۡکُمۡ بِمَاۤ اَنۡزَلَ اللهُ فَاُولٰٓئِكَ هُمُ الۡکٰفِرُوۡنَ

"Aur jo log Allaah ki utaari hui Wahee se Faislah na karein woh (poore aur pukhtah) Kaafir hai." (1)

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡۤا اٰبَآءَکُمۡ وَ اِخۡوَانَکُمۡ اَوۡلِیَآءَ اِنِ اسۡتَحَبُّوا الۡکُفۡرَ عَلَی الۡاِیۡمَانِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّهُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاُولٰٓئِكَ هُمُ الظّٰلِمُوۡنَ

"Aye Eemaan waalo ! Apne Baapon aur apne Bhaaiyon ko dost na banaao agar woh Kufr ko Eemaan se zyaadah azeez rakhein. Tum mein se jo bhi unse Muhabbat rakhega woh poora gunahgaar Zaalim hai."
(2)

وَ اَقِیۡمُوا الصَّلٰوۃَ وَ لَا تَکُوۡنُوۡا مِنَ الۡمُشۡرِکِیۡنَ

"Aur Namaaz qaayem rakho aur Mushrikeen mein se na hojaao."
(3)

اِنَّ الشِّرۡكَ لَظُلۡمٌ عَظِیۡمٌ

"Yaqeenan Shirk bohat bada Zulm hai." (4)

Hadees se Shirk e Akbar aur Kufr e Akbar ki misaal ☆

Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

بين الرجل وبين الشرك والكفر ترك الصلاة

"Aadmi ke aur Shirk wa Kufr ke darmiyaan namaaz ka chhordna hai" (ya'ni jisne namaaz ko tark kiya woh Mushrik, Kaafir hai, millat se khaarij hai)." (5)

• Ye sab misaalen Shirk wa Kufr e Akbar par dalaalat karti hain jiske sabab aadmi Mushrik, Kaafir hojaata hai, Deen e Islaam se khaarij hojaata hai.

KUFR e AŚGHAR wa KUFR DOONA KUFR ke kuch mislaaen

• Riyaakaari (dikhlaawe ka amal) Shirk Doona Shirk hai:

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

فَقَالَ:‏‏‏‏ الشِّرْكُ الْخَفِيُّ،‏‏‏‏ أَنْ يَقُومَ الرَّجُلُ يُصَلِّي فَيُزَيِّنُ صَلَاتَهُ لِمَا يَرَى مِنْ نَظَرِ رَجُلٍ

"Woh posheedah Shirk hai jo ye hai ke Aadmi Namaaz pardhne khada hota hai, toh apni namaaz ko sirf is wajah se khoobsoorti se adaa karta hai ke koi Aadmi usey dekh raha hai." (6)

• Musalmaan se Qitaal karna Kufr Doona Kufr hai:

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

سِبَابُ الْمُسْلِمِ فُسُوقٌ ، وَقِتَالُهُ كُفْرٌ.

"Musalmaan ko gaali dena Fisq hai, aur us se Lardna Kufr hai." (7)

• Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

فَمَنْ عُفِيَ لَهُ مِنْ أَخِيهِ شَيْءٌ فَاتِّبَاعٌ بِالْمَعْرُوفِ وَأَدَاءٌ إِلَيْهِ بِإِحْسَانٍ


"Phir agar Qaatil ko uske Bhaai (maqtool ke waarison) ki taraf se mu'aaf kardiya jaaye toh Wurasaa munaasib tareeqey se diyat ka taqaazah rakhein aur woh (Qaatil) behtar andaaz mein adaayegi kardey." (8)

• Doosri jagah farmaaya:

وَ اِنۡ طَآئِفَتٰنِ مِنَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ اقۡتَتَلُوۡا فَاَصۡلِحُوۡا بَیۡنَہُمَا ۚ فَاِنۡۢ بَغَتۡ اِحۡدٰىہُمَا عَلَی الۡاُخۡرٰی فَقَاتِلُوا الَّتِیۡ تَبۡغِیۡ حَتّٰی تَفِیۡٓءَ اِلٰۤی اَمۡرِ اللّٰہِ ۚ فَاِنۡ فَآءَتۡ فَاَصۡلِحُوۡا بَیۡنَہُمَا بِالۡعَدۡلِ وَ اَقۡسِطُوۡا ؕ اِنَّ اللّٰہَ یُحِبُّ الۡمُقۡسِطِیۡنَ. اِنَّمَا الۡمُؤۡمِنُوۡنَ اِخۡوَۃٌ فَاَصۡلِحُوۡا بَیۡنَ اَخَوَیۡکُمۡ وَ اتَّقُوا اللّٰہَ لَعَلَّکُمۡ تُرۡحَمُوۡنَ


"Aur agar Musalmaano ki do jamaa'atein aapas mein Lard padhein toh un mein Meyl Milaap karaadiya karo. Phir agar un dono mein se ek doosri jamaa'at par zyaadati karey toh tum sab us giroh se jo zyaadati karta hai lardo, yahaan tak ke woh Allaah ke Hukm ki taraf laut aaye. Agar laut aaye toh Insaaf ke saath Sulah karaado aur 'Adl karo. Allaah (تعالى) Insaaf karne waalo se Muhabbat karta hai." (Yaad rakho) Mumineen aapas mein ek doosre ke Bhaai hai, pas apne Bhaaiyon mein Sulah karaadiya karo aur Allaah ke darte raha karo taake tum par Raham kiya jaaye."
(9)

• Khaawind ki naa shukri karna bhi Kufr Doona Kufr hai

قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أُرِيتُ النَّارَ فَإِذَا أَكْثَرُ أَهْلِهَا النِّسَاءُ يَكْفُرْنَ ، قِيلَ : أَيَكْفُرْنَ بِاللَّهِ ، قَالَ : يَكْفُرْنَ الْعَشِيرَ ، وَيَكْفُرْنَ الْإِحْسَانَ لَوْ أَحْسَنْتَ إِلَى إِحْدَاهُنَّ الدَّهْرَ ، ثُمَّ رَأَتْ مِنْكَ شَيْئًا ، قَالَتْ : مَا رَأَيْتُ مِنْكَ خَيْرًا قَطُّ.

Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya: "Mujhe Jahannam dikhlaayi gayi toh us mein zyaadahtar Auratein theen jo Kufr karti hai. Kaha gaya Ya Rasool Allaah ! Kya woh Allaah ke saath Kufr karti hain ? Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: Khaawind ki naashukri karti hain aur Ihsaan ki naashukri karti hain. Phir tumhaari taraf se kabhi koo unke khayaal mein naagawaari ki baat hojaaye toh fauran keh uthegi ke maine kabhi bhi tujhse koi bhalaai nahin dekhi." (10)

Qur'aan aur Ahaadees e Saheehah mein is tarah ke bohat se misaalen milenge jis se ye jaanne mein aasaani hogi ke Akbar kya hai aur Aśghar.

ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Muharrir : Abd Al Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_________

References:

(1) Soorah No. 5, Al-Maa'idah, Aayah: 44.

(2) Soorah No. 9, Al-Tawbah, Aayah: 23.

(3) Soorah No. 30, Al-Room, Aayah: 31.

(4) Soorah No. 31, Luqmaan, Aayah: 13.

(5) Saheeh Muslim, Kitaab Al-Eemaan, Hadees No. 247.

(6) Sunan Ibn Maajah, Hadees No. 4204, Shawaahid ki bina par Hasan hai.

(7) Saheeh Al-Bukhaari, Kitaab Al-Eemaan, Hadees No. 48.

(8) Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 178.

(9) Soorah No. 49, Al-Hujuraat, Aayaat: 10, 11.

(10) Saheeh Al-Bukhaari, Kitaab Al-Eemaan, Hadees No. 29
 

Similar threads


Top