Qamri Mahino Ka Zikr Hadees E Rasool Me


Qamri Mahino Ka Zikr Hadees E Rasool Me

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah.
Islamic Dawah Center Taif Saudi Arabia
Qamri Mahine Allaah Ki Taraf Se Zameen Aur Aasmaan Ki Takhleeq Se Hi Muqarrar Hain. Jin Ki Tadad 12 Hai. In Mahino Ka Talluq Sun & Moon Aur Unki Aamad O Rafat Se, Raat Aur Din Aur Gardish E Din Se Ibaadat Aur Mamlaat Se Aur Hisaab Aur Kitaab Se Le Kar Alag Alag Uloom Aur Ma'arif Se Mutalliq Hai. Yahi Wajah Hai Ke Allaah Ne Shuru Se Hi Unhe Muqarrar Kar Rakha Hai. Quraan Me Allaah Ne Zikr Farmaya Hai Ke Kaainaat Ki Takhleeq Se Hi 12 Mahine Muqarrar Hain. Farmaan E Ilaahi Hai.
اِنَّ عِدَّۃَ الشُّہُوۡرِ عِنۡدَ اللّٰہِ اثۡنَا عَشَرَ شَہۡرًا فِیۡ کِتٰبِ اللّٰہِ یَوۡمَ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ مِنۡہَاۤ اَرۡبَعَۃٌ حُرُمٌ ؕ ذٰلِکَ الدِّیۡنُ الۡقَیِّمُ ۬ ۙ فَلَا تَظۡلِمُوۡا فِیۡہِنَّ اَنۡفُسَکُمۡ وَ قَاتِلُوا الۡمُشۡرِکِیۡنَ کَآفَّۃً کَمَا یُقَاتِلُوۡنَکُمۡ کَآفَّۃً ؕ وَ اعۡلَمُوۡۤا اَنَّ اللّٰہَ مَعَ الۡمُتَّقِیۡنَ۔​
Tarjumah: Mahino Ki Ginti Allaah Ke Nazdeek Kitabullaah Me 12 Ki Hai Usi Din Se Jab Se Aasmaan Aur Zameen Ko Usne Paida Kiya Hai, Unme Se 4 Hurmat Aur Adab Ke Hain Yahi Sahih Deen Hai Tum Un Mahino Me Apni Jano Par Zulm Na Karo Aur Tum Tamam Mushrikon Se Jihaad Karo Jaise Ke Woh Tum Sab Se Ladte Hain Aur Jaan Rakho Ke Allaah Muttaqiyon Ke Sath Hai.
(Surah At-Taubah: 36)

Is Aayat Se Hame Yah Maloom Ho Gaya Ke Mahino Ki Tadaad Allaah Ke Nazdeek 12 Hai. In 12 Mahino Me 4 Mahine Hurmat Ke Hain. Aadam Alyhis Salaam Se Le Kar Ab Tak Jitne Waqi’aat Aur Haadisaat Huwe Hain Woh Sab Inhi 12 Mahino Ke Andar Huwe Hain. Yaha Unka Dirasa Maqsood Nahi Hai Balke Qamri Mahino Ka Zikar Hadees E Rasool Me Aaya Hai Unki Ek Ek Daleel Zikr Karna Maqsood Hai. Qamri Mahino Ke Naam Tarteeb Ke Sath Is Tarah Hain:
(1) Muharram (2) Safar (3) Rabiul Awwal (4) Rabiul Aakhar (5) Jamadil Ula (6) Jamaadil Aakhir (7) Rajab (8) Sha'baan (9) Ramazaan(10) Shawwal (11) Zul Qa'dah (12) Zul Hijjah.

HURMAT WALE MAHINE YAH HAIN:
(1) Zul Qa'dah (2) Zul Hijjah (3) Muharram (4) Rajab.

Hurmat Wale In 4 Mahino Ke Naam Bhi Hadees Se Saabit Hain Jin Ka Zikr Aage Aayega.
(1) MUHARRAM HADEES ME: Yah Hurmat Wale Mahino Me Se Ek Hai Ahaadees Me Is Month Ki Badi Azmat Bayan Hui Hai Isi Me Aashurah Ka Roza Hai Aur Nabi SAV Ne Is Month Me Rozo Ki Fazilat Bayan Karte Hue Farmaya:
افضل الصيام بعد شهر رمضان صيام شهر الله المحرم.(صحيح مسلم:1163)
Tarjumah: Ramazaan Ke Baad Sab Se Afzal Roze Muharram Ke Month Ke Roze Hai.
(2) SAFAR HADEES ME: Kuffar Aur Mushrikeen Safar Ke Mahine Se Nahusat Liya Karte The Jab Ke Nahusat Jahilana Aur Mushrikana Taswwur Hai Islaam Me Nahusat Ka Koi Taswwur Nahi Hai Rasool SAV Ne Farmaya:
لا عدوى ولا طيرة ولا هامة ولا صفر.(صحيح البخاري:5707)
Tajumah: Marz Ka Mutaddi Hona Nahi(Yani Allaah Ke Hukam Ke Bagair Koi Marz Kisi Dusre Ko Nahi Lagta)Aur Na Badfaali Lena Sahih Hai Aur Na Hi Safar Ka Mahina Manhoos Hai.
(3) RABIUL AWWAL HADEES ME: Yahi Woh Mahina Hai Jis Me Rasool E Rehmat Ki Wilaadat Hai Aur Isi Maah Me Aap Ki Wafaat Bhi Hui Is Tarah Islaami Taarikh Aur Seerat Aap Ke Zikar Masood Se Muattar Aur Mashkbaar Nazar Aati Hai Is Month Me Makka Se Madinah Ki Hijrat Bhi Hui Sahih Bukhari Me Ek Lambi Si Hadees Hai Iska Ek Tukda Yah Hai.
فلم يملك اليهودي ان قال بأعلى صوته يا معاشر العرب هذا جدكم الذي تنتظرون فثار المسلمون إلى السلاح فتلقوا رسول الله بظهر الحرة فعدل بهم ذات اليمين حتى نزل بهم في بني عمرو بن عوف وذلك يوم الاثنين من شهر ربيع الأول.(صحيح البخاري:3906)
Tarjumah: Yahudi Be Ikhtiyaar Chilla Utha Me Ay Arab Ke Logo Tumhare Yah Buzurg Sardaar Aa Gae Jin Ka Tumhe Shiddat Se Intizaar Tha Yah Sunte Hu Musalmaan Hathiyaar Le Kar Aap Ke Istiqbaal Ko Dode Chunacha Woh Rasool SAV Ko Muqaame Harrah Ke Piche Mile Unhe Sath Liye Right Mude Fir Unhone Banu Amar Bin Aauf Ke Yaha Padhaao Kiya Yah Waaqia Rabiul Awwal Monday Ke Din Ka Hai.
(4) RABIUS SAANI HADEES ME: Jab Rabiul Awwal Ka Zikar Hadees Se Maloom Ho Gaya To Yah Month Khood Batlata Hai Ke Rabius Saani Bhi Hoga Kuy Ke Awwal Ke Zikar Se Saani Ka Zikar Ab Khood Samne Aata Hai Ahaadees Me Khususiyat Ke Sath Is Month Ka Zikar Bahut Ziyada Nahi Aaya(Tawaarikh Aur Sair Me Tamaam Mahino Ka Gair Ma'mooli Zikar Hai)Ek Jagah Ali RA Ka Madinah Se Safar Par Nikalne Ka Zikar Hai Jise Haafiz Ibne Hajar Ne Zikar Kiya Hai.
خرج علي في آخر شهر ربيع الآخر سنة ست وثلاثين.(فتح الباري لابن حجر:13/59)
Tarjumah: Ali RA 36 Hijri Me Rabiul Aakhirah Me Nikle.
Sahih Bukhari(6973) Me Umar RA Ka Shaam Ki Taraf Nikalne Ka Zikar Hai Waha Mahine Ka Zikar Nahi Hai Magar Islaami Taarikh Se Rabius Saani Ka Mahina Maloom Hota Hai
(5) JAMAADIL ULA HADEES ME: Sahihain Me Jang E Mauta Ka Zikar Hai Jis Me Musalmaano Ke Kai Sippa Saalaar Shaheed Hue Aakhir Me Khaalid Bin Waleed Ne Kamaan Sanbhaali Unka Bayan Hai Ke Jang E Mauta Me Mere Hath Se 9 Talwaare Tut Gai Ek Yamani Taiyga Mere Hath Me Baaqi Reh Gaya Sahihain Me Mahina Ka Zikar Nahi Hai Magar Majmuz Zawaaid Me Mahine Ki Sarahat Hai Iska Ek Tukda Dekh:
ثم اصطلح المسلمون بعد أمراء رسول الله صلى الله عليه وسلم على خالد بن وليد فهزم الله العدو واظهر المسلمين وبعثهم رسول الله صلى الله عليه وسلم في جمادى الأولى.(مجمع الزوائد:6/163،رجال ثقات)
Tarjumah:Fir Musalmaano Ne Rasoolullaah Ke Sippa Saalaaro Ke Baad Khaalid Bin Waleed Par Ittifaaq Kiya Pas Allaah Ne Dushman Ko Naakaam Bana Diya Aur Musalmano Ko Jamadil Ula Me Bheja Tha.
(6) JAMAADIL AAKHIRAH HADEES ME: Ek Hadees Me Mazkoor Hai Ke Saal Ke Sare Mahine Hote Hai. Quraan Me Bhi Saal Ka Zikar :سنه" Aam Aur "حول" Ke Lafz Se Aaya Hai Hadees Ke Alfaaz Dekhe Jis Me Ashharul Hurum(Hurmat Wale Mahina)Ka Naam Aaya Hai.
السنة اثنا عشر شهرا منها أربعة حرم ثلاثة متواليات ذو القعدة ذو الحجة والمحرم ورحب مضر الذي بين جمادي وشعبان.(صحيح البخاري:4406)
Tarjumah: Saal 12 Month Ka Hai Is Me 4 Mahine Hurmat Wale Hai 3 To Musalsal Hai Zul Qadah,Zul Hijjah, Muharram,Aur Ek Rajab Hai Jo Jamadil Aakhirah Aur Shaban Ke Bich Hai.
Yaha Jamadi Se Muraad Jamaadil Aakhirah Hai Kuy Ke Iske Aur Shabaan Ke Darmiyaan Hu Rajab Aata Hai Majmuz Zawaaid Me Hai:
قتل الزبير بن العوام يوم الجمل في جمادي لا أدري الأولى أو الاخرة سنة ست وثلاثين.(مجمع الزوائد:9/155)
Tarjumah: Zubair Bin Awaam Jamal Ke Din Jamadi Ko Qatal Kiye Gae The Mujhe Nahi Maloom Jamadil Ula Ko Ya Jamaadil Aakhirah Ko 36 Hijri Me.
(7) RAJAB HADEES ME: Is Month Me Nabi SAV Ne Koi Umrah Nahi Kiya Hai Fir Bhi Bidati Is Month Me Kasrat Se Umrah Karte Hai Halanki Bataur E Khaas Is Month Me Umrah Karne Ka Hukam Nahi Aaya Hai Aur Na Hi Is Month Me Umrah Karne Ki Koi ALAG Fazilat Saabit Hai Umrah Kabhi Bhi Kar Sakte Hai Aur Ramazaan Me Umrah Karna Haj Ke Barabar Hai .
عن عروة بن الزبير قال سالت عائشة رضي الله عنها قالت مااعتمر رسول الله صلى الله عليه وسلم في رجب.(صحيح البخاري: 1777)
Tarjumah: Urwah Bin Zubair Se Rivayat Hai Unhone Kaha Ke Me Ne Aaisha RA Se Daryafat Kiya To Unhone Farmaya:Rasoolullaah SAV Ne Rajab Me Koi Umrah Nahi Kiya.
(8) SHABAAN HADEES ME: Tirmizi Sharif Me Umme Salamah RA Se Rivayat Hai.
ما رأيت النبي صلى الله عليه وسلم يصوم شهرين متتابعين إلا شعبان و رمضان.(صحيح والترمذي:736)
Tarjumah: Mene Nabi SAV Ko Lagataar 2 Mahino Ke Roze Rakhte Nahi Dekha Siwaae Shabaan Aur Ramazaan Ke.
(9) RAMAZAAN HADEES ME: Apni Fazilat Ke Baais Is Month E Mubaarak Ka Quraan Me Bhi Zikar Aaya Hai Aur Hadees Me Bahut Hi Ziyadah Mazkoor Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من صام رمضان ایمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه.(صحيح البخاري:2014)
Tarjumah: Jis Ne Imaan Ke Sath Aur Sawaab Ki Niyyat Se Ramazaan Ke Roze Rakhe Uske Pichle Gunaah Bakhash Diye Jate Hai.
(10) SHAWWAL HADEES ME: Nabi SAV Ne Farmaya:
من صام رمضان ثم اتبعه بست من شوال فكأنما صام الدهر.(صحيح ابى داؤد:2433)
Tarjumah: Jis Ne Ramazaan Ke Roze Rakhe Aur Uske Baad Shawwal Ke 6 Roze Rakhe To Goya Usne Pure Saal Ke Roze Rakhe.
(11) ZUL QADAH HADEES ME: Anas RA Ne Rivayat Karte Hai:
ان رسول الله صلى الله عليه وسلم اعتمر اربع عمر كلهن في ذي القعدة إلا التي مع حجته.(صحيح مسلم:3033)
Tarjumah:Allaah Ke Rasool SAV Ne(Total)4 Umrah Kiye Aur Apne Haj Wale Umrah Ke Siwa Tamam Umrah Zul Qadah Hi Me Kiye.
(12) ZUL HIJJAH HADEES ME: Yah Mahina Me Alag Alag Ibadato Ke Zikar Se Behad Maaroof Hai Un Ibaadato Me Ek Hajj Bhi Hai Jis Ki Adaegi Ke Liye Puri Duniya Ke Musalmaan Makka Me Jama Hote Hai Zul Hijjah Se Mutalliq Ek Hadees Dekhe. Abu Baqarah RA Se Rivayat Hai Woh Nabi SAV Se Bayan Karte Hai Ke Aap SAV Ne Farmaya:
شهران لا ينقصان شهرا عيد رمضان وذو الحجة.(صحيح البخاري:1912)
Tarjumah:Eid Ke Dono Mahine Yani RAMAZAAN Aur Zul HIJJAH Kam Nahi Hote.
Is Hadees Ka Matlab Yah Hai Ke Agarcha Tadad Ayyam Ke Atibaar Se Kam Ho Sakte Hai Lekin Kamaal E Ibaadat Me Dono Ka Hukam Ek Hai Agar Kisi Ne 29 Roze Rakhe To Use Sawaab 30 Rozo Hi Ka Milta Hai Uske Sawaab Ke Mutalliq Kisi Ko Shak Nahi Hona Chahiye Isi Tarah Wuqoof E Arfa Me Galati Ho Jaae To Uska Hajj Pura Hai Isme Koi Kami Nahi Hai.
(Fathul Baari:4/161)
 
Top