Umar Asari

Administrator
Staff member
Qabr Ki Ziyarat, Walidain Ki Dua Aur Hadees Ki Tableegh Wala Messege

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanized By: Umar Asari

Neechey Diya Hua Messege Urdu Mein Kam Magar Roman Mein Tabdeel Karkay Bohat Gardish Mein Hai (Social Media Par Bahot Share Kiya Jaata Hai). Message Dekhen:
( ( ( (
Hazrat Isa Alaihissalam Apni Walidah (Mother) Ki Wafaat Ke Baad Un Ki Qabr e Mubarak Par Tashreef Le Gaye Aur Apni Walida Majida Hazrat Maryam Alaihassalam Se Mukhatab Hue Aur Farmaya:
"Pyari Ammi Jaan Mein Allah Ke Hukm Se Murdon Ko Zindah Karta Hun. Agar Aap Hukm Den To Mein Allah Taala Se Aap Ki Zindagi Mangun".
Hazrat BiBi Maryam Alaihassalam Ne Farmaya:
"Aye Allah Ke Nabi! Duniya Ki Zindagi Agarchey Bohat Khubsoorat Hai Magar Mein Mout Ki Takleef Dobarah Nahi Dekh Sakti".
Allahu Akbar! Yeh Aik Nabi Ki Maa Ka Kehna Hai. Aur Hum Jaisay Gunahgaron Ki Mout Kitni Takleefdah (Takleef Wali) Hogi ! ! !
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Badnaseeb Hai Woh Shakhs Jo Apney Walidain Ki Khidmat Kar Ke Duayen Nahi Layta Aur Logon Se Kehta Hai Ke Mere Liye Dua Karo.
Badnaseeb Hai Woh Shakhs Jo Esha Ki Namaz Nahi Padhta Aur Duaon Mein Pursukoon Neend Talaash Karta Hai.
Badnaseeb Hai Woh Shakhs Jo Fajar Ki Namaz Ke Waqt Soya Rehta Hai Aur Logon Se Tangi Rizq (Rizq Key Tang Honey) Ki Shikayat Karta Hai.
Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke "Jis Ne Meri Aik Hadees Suni Aur Dosron Tak Pohncha Di To Qayamat Ke Din Us Ki Shafaat Mujh Par Wajib Ho Gayi.
وما علینا الی البلاغ​
Allah Taala Hum Sab Ko Aamaal e Saleh Ki Taufeeq Day. Aur Duaon Ko Qubool Farmaye. Aameeen.) ) ) )

👆🏿(Ab Aaye Is Message Ki Haqeeqat Dekh Len) Is Message Mein Teen Baatein Hain:

Pehli Baat: Isa Alaihissalam Ka Apni Walida Ki Qabr Ki Ziyarat Aur Dobarah Zindah Karney Se Mutalliq Waqea.
Darasal (Actually) Aisa Waqea Islami Kutub (Books) Mein Maujood Nahi Hai Magar Isa Website Par Doosri Shakal Mein Maujood Hai. Us Mein Likha Hua Hai Ke Isa Alaihissalam Aik Qabrastan Se Guzray To Aik Aurat Ko Rotey Hue Dekha, Aap Ne Wajah Poochi To Us Ne Kaha Ke Meri Aik Beti Thi Woh Mar Gyi. Mein Ne Ehad Kiya Hai Ke Is Qabr Se Usi Waqt Uthungi Jab Tak Apni Beti Ko Dekh Na Lun Ya Mein Mar Na Jaoon.... Qissa Mukhtasir Isa Alaihissalam Ne Dua Ki To Woh Ladki Zindah Ho Gayi. Us (Ladki) Ne Jab Apni Maa Ko Dekha To Kaha Tum Kyun Mere Liye Mout Ki Takleef Dobarah Lautana Chahti Ho.,,,,,

Doosri Baat: Hadees "Badnaseeb Hai Woh Shakhs Jo Apne Walidain Ki Khidmat Kar Ke Duayen Nahi Leyta Aur Logon Se Kehta Hai Ke Mere Liye Dua Karo."
Mujhe Aisi Koi Hadees Nahi Mili.

Teesri Baat: Hadees "Jis Ne Meri Aik Hadees Suni Aur Dosron Tak Pohncha Di To Qayamat Ke Din Us Ki Shafaat Mujh Par Wajib Ho Gayi."
❗Hadees Is Tarah Se Nahi Balkey yeh is Tarah Se Aayi Hai.
عَنْ زَيْدِ بْنِ ثَابِتٍ، قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ نَضَّرَ اللَّهُ امْرَأً سَمِعَ مِنَّا حَدِيثًا فَحَفِظَهُ حَتَّى يُبَلِّغَهُ​
Tarjuma: Zaid Bin Saabit Se Rivayet Hai Ke Mein Ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Yeh Farmatey Hue Suna Ke Allah Taala Us Shakhs Ko Tar o Tazah Rakhey Jis Ne Hum Se Hadees Suni Aur Usay Yaad Kiya Yahan Tak Ke Usay Agay Dosron Tak Pohnchaya.
(Abu Dawood: 3660)

Or Ek Riwayat Hai:
نَضَّرَ اللَّهُ امْرَأً سَمِعَ مِنَّا شَيْئًا فَبَلَّغَهُ كَمَا سَمِعَ فَرُبَّ مُبَلَّغٍ أَوْعَى مِنْ سَامِعٍ​
Tarjuma: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Allah Us Shakhs Ko Tar o Tazah (Aur Khush) Rakhay Jis Ne Hum Se Koi Baat Suni Phir Us Ne Usay Jaisa Kuch Hum Se Suna Tha Hubahu (As It Is) Doosron Tak Pohancha Diya To Basa Awqaat Bohat Se Log Jinhein Baat (Hadees) Pohanchai Jaye Pohanchaney Walay Se Kahin Ziyada Baat Ko Tawajjuh Se Sunney Aur Mehfooz Rakhney Waley Hotey Hain.
(Tirmidhi: 2657)
 
Top