NIKAH KELIYE MUNASIB RISHTON MEIN DERI NAHI KARNI CHAHIYE


NIKAH KELIYE MUNASIB RISHTON MEIN DERI NAHI KARNI CHAHIYE
Fatwaa : SHAIKH IBN BAAZ rahimaullah(Formar Grand Mufti of KSA)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Ek rivaaj sa ban gaya hai ke ladki ya is ka baap ladke walon ki taraf se mangni ka pegham is uzr ki binaa par radd kar dete hain ke abhi ladki ko saanwi ya university ki level tak taleem mukammal karni hai ya usay mazeed chand saal zair-e-taleem rehna hai, is tarha baaz ladkiyan tees baras ya is se bhi zaayed umar tak pahonch jati hain. Is baray mein sharayi hukum kya hai, aap inhen kya kehna chahain ge?

JAWAB:
Tamam nojawan ladkon aur ladkiyon ko hamari naseehat hai ke asbaab-e-zawaaj muyassar anay par foran shadi kar leni chahiye, is liye ke NABI sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
يامعشر الشباب من استطاع منكم الباءة فليتزوج، فإنه أغض للبصر وأحصن للفرج، ومن لم يستطع فعليه بالصوم فإنه له وجاء [متفق عليه ]
"Aye nojawano! tum mein se jo shadi ki taaqat rakhta ho woh shadi zaroor kere, is liye ke shadi baais-e-sharam o haya aur baais-e-ismat hai, aur jo koi shadi ki taaqat nah rakhta ho to woh rozay rakhay ke woh jawani ke jazbaat ko control karne ka baais hain."(Muttafiqon alaih - Bukhari / Muslim)

Dosri Hadis main hai:
إذا خطب إليكم من ترضون دينه وخلقه فزوجوه، إلأ تفعلوا تكن فتنة فى الأرض و فساد كبير [ سنن ترمذي بسند حسن ]
"jab tumhe aisa shakhs nikah ka pegham day jis ke deen aur akhalq ko tum pasand karte ho to usay rishta day do, agar tum aisa nahi karo ge to zameen mein fitnah aur bohat bada fasaad barpaa ho ga."(Sunan Al-Timizi, is ki sanad Hasan hai)

AAP sallallahu alaihi wasallam ka ek aur irshaad hai:
تزوجوا الولود الودؤد، فإني مكاثر بكم الأمم يوم القيامة [ مسند آحمد و صحيح ابن حبان ]
"zyadah bachon ko janam dainay wali aur mohabbat karne wali aurton se shadi karo tehqeeq mein tumhari wajah se qayamat ke din fakhr karoon ga."(Musnad Ahmed / wa Sahih Ibn Hibban)

Shadi is liye bhi jaldi karni chahiye ke is mein be shumaar maslihaten hain jin se NABI sallallahu alaihi wasallam ne aagah farmaya hai. Maslan yeh ke is se nigah jhuk jati hai, izzat o aabaroo mehfooz rehti hai aur afraad millat-e-islamia ki kasrat hoti hai aur badi kharabion aur un ke bhayanak nataij se tahaffuz o salamti ki zamanat fraham hoti hai waghera waghera. ALLAH TA'ALA tamaam musalmanoon ko is baat ki tofeq ataa farmaiye jis mein un ke deeni aur dunyawi umoor ki durusti ho.


BESHAK ALLAH SON'NE WAALA AUR DUAON KO QOBOOL KARNE WALA HA.
 

Similar threads


Top