Namaaz e Taraaweeh


Namaaz e Taraaweeh

أَجْمَعَ الْمُسْلِمُونَ عَلَى سُنِّيَّةِ قِيَامِ لَيَالِيِ رَمَضَانَ، وَقَدْ ذَكَرَ النَّوَوِيُّ أَنَّ الْمُرَادَ بِقِيَامِ رَمَضَانَ صَلاَةُ التَّرَاوِيحِ يَعْنِي أَنَّهُ يَحْصُل الْمَقْصُودُ مِنَ الْقِيَامِ بِصَلاَةِ التَّرَاوِيحِ
Ramazaan ki raaton mein qiyaam Sunnat hai, is par Musalmaanon ka Ijmaa' hai aur Nawawi ne zikr kiya hai ke Ramazaan ki raaton mein qiyaam se muraad Taraaweeh ki namaaz hai, Ya'ni Taraaweeh ki namaaz se qiyaam ka maqsood haasil hojaata hai. [1]

وَقَدْ جَاءَ فِي فَضْل قِيَامِ لَيَالِيِ رَمَضَانَ قَوْلُهُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ

Aur Ramazaan ki raaton mein qiyaam ki fazeelat mein Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ki ye Hadees aayi hai: "Jo shakhs Ramazaan (ki raaton) mein Eemaan aur Sawaab ki ummeed ke saath qiyaam karey toh uske tamaam pichle gunaah mu'aaf kardiye jaayenge." [2]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill (عَبْدُ المُذِلّ)

_____________

References:

[1] Fat'hul-Baari: 4/251.

[2] Saheeh Al-Bukhaari: 37.
 

Similar threads


Top