NAMAAZ-E-JANAZA PADHNA MARDON KELIYE MAKHSOOS NAHI


NAMAAZ-E-JANAZA PADHNA MARDON KELIYE MAKHSOOS NAHI
Fatwaa : SHAIKH IBN BAAZ rahimahullah

Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Aam mushahida hai ke aurtein namaz-e-janaza mein shirkat nahi kartin, kya aurton ke liye namaz-e-janaza padhna mamnoo hai ?

JAWAB:
Namaz-e-janaza mardon aur aurton dono ke liye mashro hai, kionke NABI sallallahu alaihi wasallam ka irshad hai:
من صلى على الجنازة فله قيراط، ومن تبعها حتى تدفن فله قيراطان، قيل يا رسول الله ! وما القيراطان ؟ قال : مثل جبلين عظيمين، يعني من الأجر [صحيح البخاري و صحيح مسلم]
"Jis shakhs ne namaz-e-janaza padhi usay ek qeraat sawab hai ga aur jo dafan tak is ke sath raha usay do qeraat sawab miley ga, poocha gaya, ya RASOOLULLAH(sallallahu alaihi wasallam)! qeraat kya hain? is par AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: do bade pahadon ki tarha yani sawab mein."(Bukhari wa Muslim)

Lekin aurton ka maiyat ke sath qabrustan jana najaaiz hai kyunkay inhen is se mana kya gaya hai. Bukhari o Muslim mein umm atiyah raziallahu-anha se saabit hai ke unhon ne kaha:
نهينا عن اتباع الجنائز ولم يعزم علينا
"Hum aurton ko janazay ke sath jane se rok diya gaya, aur is ki takeed nahi ki gyi"(Sunan Abi Dawod:3167)

Jahan tak namaz-e-janaza padhne ka talluq hai to is se inhen nahi roka gaya, janaza masjid mein ho, ghar mein ho ya janaza gaah mein, aurtein NABI sallallahu alaihi wasallam ke sath masjid mein janaza padha karti theen.

Baqi raha masla ziyarat-e-qbor ka to yeh janaze ke sath jane ki tarh mardon ke sath khaas hai. Is liye ke ya RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne qabron ki ziyarat karne wali aurton par laanat farmai hai aur is ki hikmat yeh hai ke un ka maiyat ke sath qabrustan tak jana aur qabron ki ziyarat karna baais fitnah hai. WALLAHU- A'ALAM

Neez isliye bh ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka irshaad hai:
ما تركت بعدى فتنة أضر على الرجال من النساء
"Maine mardon keliye aurton se badh kar koi fitnah nahi chorra."(Rawaho Tirmizi fi Kitab-ul-Adab)

WABILLAHI-TTOFEEQ
 

Similar threads


Top