NABI KAREEM sallallahu alaihi wasllam KA MASLAK KYAT HA?


NABI KAREEM sallallahu alaihi wasllam KA MASLAK KYAT HA?
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Aaj kal hum be-shumaar firqe dekhte hain jin ka daawa hai ke NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ke tareeqe par hain baraahe karam rahnumai farmayen ke NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka maslak kya tha?

JAWAAB:
RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam Deen-E-Islam ki dawat pesh karne waale sachche NABI o RASOOL the. AAP sallallahu alaihi wasallam har qisam ki firqa bandi se mana karte the. Quran Hakeem mein kayi ek ayaat aur NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki kayi aik sahih ahadees firqa bandi ki momaniat par nass qatyee hain. Islam ittehaad o ittafaq ki dawat deta hai. iftiraq o Tashtat se mana karta hai. Shia , deobandi, barelwi aur wahabi jaise tamaam firqe RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke baad ki paidawaar hain. ALLAH ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam ke barey mein aisa sawal karna naadani o himaqat hai. Yeh bilkul isi tarha ki baat hai jaisay yahood o nasara ne Syedina ibrahim alaihissalam ke barey mein daawa kar diya. Yahood kehte thay ibrahim alaihissalam yahodi the isaai kehte thay ke woh isaai thay. ALLAH TABARAK O TAALA ne Quran Hakeem mein farmaya :

"Aye ahal-e-kitaab! tum IBRAHIM ke baray mein kyun jhagadhte ho halaank Torat aur Injeel to un ke baad nazil ki gayi hai? kya tum samajte nahi. “ phir agay farmaya:

''IBRAHIM(alaihissalam) nah to yahodi the, nah nasrani the balkay Muahhid Musalman the aur woh mushrikeen mein se nahi the."(Surah Aal Imran:65-67)

Imam Mohammad Bin Is'haq , Imam Ibn Jarir aur imam Baihaqi (rahmatullahi alaihim)ne "Dalaayil-un-Nabowah" mein Syedna Ibn Abbas raziallahu-anhuma se riwayat ki hai ke najran ke nasara aur ulmaa-e-yahood RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke paas akhatte ho gaye aur jhagdne lage. Ulmaa-e-yahood ne kaha :IBRAHIM alaihissalam yahodi the. “ nasari ne kaha :woh to nasrani the. “To ALLAH TA'ALA ne yeh aayat nazil farmai aur un ki takzeeb ki ke Torat IBRAHIM alaihissalam ke taqreeban ek hazaar saal baad nazil howi aur Injeel taqreeban do hazaar saal ke baad to IBRAHIM alaihissalam yahodi ya nasrani kaisay ho gaye? is ke baad ALLAH TA'ALA ne farmaya ke IBRAHIM KHALILULLAH ki taraf nisbat ke ziyada haq daar woh log hain jinhon ne un ke deen mein un ki itebaa ki, MOHAMMAD sallallahu alaihi wasallam aur un ke muhajreen o Ansar sahaba razillahu-anhum ajmayeen aur deegar Musalman.(Taiseer-ur-Rahmaan li-Byaan-ul-Quran, page:1851)

Is tozeeh se maloom hota hai ke yahodi aur isaai to IBRAHIM alaihissalam ke baad wujood mein aaye to un ka yeh daawa mardood hai ke IBRAHIM alaihissalam yahodi ya isaai the. kionke IBRAHIM alaihissalam un ke wujood mein anay se pehle hi is daar faani se rukhsat ho chuke the. bilkul isi tarha yeh baat bhi fuzool aur baatil hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam mojooda firqoun mein se kisi ek mazhab par the kionke yeh firqay RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke senkdon saal baad mein paida howe. Un firqoun mein se ALLAH ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam ke ziyada qareeb woh ho ga jo ALLAH ke NABI ke laaye howe deen ki itebaa o itaat karta ho ga. ALLAH ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne is duniya se jatay howe apni ummat ke liye kitaab o sunnat do cheezen chodin hain, jis ne un dono par amal kar liya woh raah raast par hai aur haq par qaayim hai, jis ne Quran O Hadees se a'araaz kya aur ALLAH aur is ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam ki pairwi nahi ki woh gumraah hai aur siraatِ-e-mustaqeem se hata howa hai. Lihaza hamein chahiye ke hum har tarha ki firqa bandi se kinara kashi ikhtiyar karte howe Kitaab O Sunnat par amal paira ho jayen aur gumraahi se bach jayen.(AAMEEEN)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Manhaj 0
Umar Asari Manhaj 0

Similar threads


Top