Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye Lafz e Aaqa Ka Istemaal


Ibnatu Ali

Member
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye Lafz e Aaqa Ka Istemaal

Tehreer: Shiekh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Lafz e Aaqa Farsi Sey Aaya Hua Hai, Urdu Lughat (Dictionary) Key Hisaab Sey Iskey Kai Meaning Hain:
Malik, Khudawand, Sahab, Khawind (Husband), Hakim, Afsar
(Firoz al Lughat)

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye “Sayyad” Ka Lafz Hadees Mein Aaya Hai:
عن أبي هريرة رضي الله عنه قال : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أَنَا سَيِّدُ وَلَدِ آدَمَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ​
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu sey Riwayat Hai Unho Ne Kaha Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Mein Qayamat Key Din Bani Aadam Ka Sayyad (Sardar) Hun.
(Sahih Muslim: 2278)

Lafz e Sayyad Urdu Mein Sardar or Aaqa Key Maayne (Meaning) Aata Hai. Saath Hi Jab Lafz e Aaqa Ki Tareekh Dekhtey Hain To Pata Chalta Hai Ke Aaqa Asal Mein Turki Lafz Hai. Turki Sey Farsi or Fir Farsi Sey Urdu Mein Dakhil Hua. Uthmaaniyon Key Zamaney Mein Ye Lafz Aam Taur Sey Un Logon Key Darmiyan Istemaal Hua Karta Tha Jo Hakim, Hukumat or Fauj Sey Juda Hau Tha Ya’ani Aam Bol Chal Mein Nahi Tha

Urdu Mein Is Lafz Ki Aamad (Arrival) Bhi Aisey Hi Ma’ano Mein Lagti Hai. Ye Lafz Sab Sey Pahley Urdu Mein Mirza Mohammad Rafee' Sauda Ki Kulliyat Mein 1780 Mein Milta Hai. Or Sauda Darbari Shayar (Poet) Tha. Pahley Nawab Bankash Key Darbar Sey Fir Nawab Suja' ud Dawla Key Darbar Sey or Aakhir Mein Nawab Asif ud Daula Key Darbar Sey Wabasta (Aligned) Raha. Nawab Asif ud Dawla Ney Unhen Malikush Shoraa (Shayron Ka Baadshah) Ka Khitab Diya Tha.

Is Sey Pata Chala Ki Urdu Mein Is Lafz Ki Aamad (Arrival) Bhi Khushamdi (Blandishments) Pas Manzar (Background) or Hukumati Nisbat Sey Hae. Wesey Iskey Istemal Mein Badi Qabahat (Kharabi) Nazar Nahi Aati Lekin Iskey Bajaye Sayyad Ka Istemaal Zada Behtar Haj Kiunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Farman Mein Maujood Hai.
والله اعلم بالصواب
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top