Arshad Siddiqui
Member
NABI KA NAAM AANE PAR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KEHNE KI DALEEL
Sawaal: Jab nabi sallallahu alayhi wasallam ne durood e ibrahimi ki taleem toh aaj hum nabi ka naam lete hai toh sallallahu alayhi wasallam kehte hai toh kya yeh bhi durood hai? Agar haan toh iski kya daleel hai? Ahad e nabuwat nabi ka naam aane par sahaba konsa durood padhte thay?
Jawaab: Bila shubah nabi sallallahu alayhi wasallam keliye afzal o akmal durood,durood e ibrahimi hai. Ibn Abi Layla se rivayat hai unhone kaha mujhse kaab bin ajrah ki mulaqaat ki aur kaha kya main tumhe hadiya na karun: Rasool Allah Sallallahu alayhi wasallam humare paas aaye toh humne kaha sallam kesa kare humein maalum hogaya agar aap par durood kese bhejenge toh aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya toh tum kaho
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ
(Sahih Bukhari Hadees No.3370)
Is durood ke ilawa bhi ba'az durood ke seegey waarid hai inmein yeh sab se afzal o akmal hai jahan tak sawaal "sallallahu alayhi wasallam" ke matalliq hai toh yeh bhi daleel se sabit hai
Allah ka farman
إِنَّ اللَّهَ وَمَلٰئِكَتَهُ يُصَلّونَ عَلَى النَّبِىِّ ۚ يٰأَيُّهَا الَّذينَ ءامَنوا صَلّوا عَلَيهِ وَسَلِّموا تَسليمًا
Tarjumah: Beshak main (Allah) aur farishte durood o salaam nabi par bhejte hai aye imaan waalon tum nabi karim sallallahu alayhi wasallam durood o salaam bhejo
(Surah Al Ahzaab Surah 33 Ayat 56)
Is ayat mein allah ne nabi par salat o salaam dono bhejne ka hukm diya hai aur sallallahu alayhi wasallam mein dono jama hai. Sahaba ikram nabi sallallahu alayhi wasallam ka naam aane par sallallahu alayhi wasallam kaha karte thay jo sekdon ahadees se sabit hai bataur e misal chand ahadees dekhen
Irbaaz Bin Sariyah razi allahu anho kehte hai
وعظَنا رسولُ اللَّهِ صلَّى اللَّهُ عليْهِ وسلَّمَ يومًا بعدَ صلاةِ الغداةِ موعِظةً بليغةً ذرِفَت منْها العيونُ ووجِلَت منْها القلوبُ
Tarjumah: Rasool Allah Sallallahu alayhi wasallam ne ek baar namaz e fajr ke baad eo muassar naseehat farmayi jissey se logon ki aankhein aasun se bheeg gayi aur dil laraz gaye.
(Jami At Tirmizi Hadees No.2676)
Abu Saeed Khudri Raziallahu anho bayaan karte hai
خَطَبَنا رسولُ اللهِ صلَّى اللهُ عليهِ وسلَّم يومًا فقرأ ص، فلما مَرَّ بالسجدةِ، نزل فسجد، وسَجَدْنا
Tarjuma: Ek din Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wasallam ne vaaz farmaya aur Surah Al Suad ki tilawat farmayi jab aap par sajde par pohchey toh aap neeche utrey aur sajdah kiya aur humne bhi sajdah kiya
(Sahih khuzaymah Lil Albani Hadees No.1795)
Anas Bin Malik Raziallahu anho kehte hai
صلَّى بنا النبيُّ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم ؟صلاةً، ثم رَقِيَ المِنبرَ، فقال في الصلاةِ وفي الركوعِ : إني لأَراكم من ورائي كما أراكم
Tarjumah: Nabi Karim Sallallahu Alayhi Wasallam ne ek martaba humein namaz padhayi phir aap minbar par chadey aur namaz ke baab aur ruku ke baab mein farmaya mein tumhein peeche se bhi isi tarah dekhta rehta hoon jese abhi saamne se dekh raha hoon
(Sahih Bukhari Hadees No.419)
Inkey ilawa sekdon sekdon ahadees mein hai قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم yaani Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya jin se bilkul wazeh hai ke sahaba ikram nabi sallallahu alayhi wasallam ka naam aane par sallallahu alayhi wasallam kaha karte thay
Answer By: Shaykh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah