Muslim Khawaatin Ke Sar Ke Baal Ke Ahkaam


Muslim Khawaatin Ke Sar Ke Baal Ke Ahkaam

Tehreer : Fazilatus Shaikh Maqbool AhmadSalafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arabia
Romanised : Khadija Muhammadi

Allaah Rabbul Izzat Ne Aurat Ko Paidah Kar Ke Kaainat Ka Husan Do Bala Kar Diya Hai,Hai To Yah Sinfe Nazuk Magar Kainaat Ki Badi Haseen Chiz Hai. Jab Ek Mard Nikaah Ke Zariya Aurat Ke Sath Apni Zindagi Shuru Karta Hai To Fir Allaah Ki Meharbani Ke Sath Biwi Ki Rifaqat Uski Zindagi Ke Masail Ke Liye Kaafi Ho Jaati Hai. Dono Mil Kar Achcha Ghar,Achcha Samaaj Aur Achchi Duniya Bana Lete Hai. Na Sirf Mardo Ko Aurat Ki Zaroorat Hai Balke Aurto Ko Bhi Mardo Ki Shadeed Zaroorat Hai Taham Aurto Ki Ba Nisbat Mardo Me Ishtiyaq Ziyadah Paya Jata Hai. Uski Wajah Yah Hai Ke Allaah Ne Aurat Ko Haseen Paidaish Aur Purkashish Wasaf Se Nawaza Hai. Islaam Ne Apne Tamam Usolo me Paakizgi Ikhtiyaar Karta Hai,Aurat Jo Apne Aap Me Sinfe Mukhalif Ke Liye Purkashish Hai Use Maharim Ke Alawah Tamam Ajnabi Mardo Se Pardah Ikhtiyar Karne Ka Hukam Diya Hai Hatta Ke Sar Ke Baal Bhi Chupane Ka Hukam Deta Hai,Uski Namaaz Bhi Nange Sar Jaaiz Nahi Hai. Aurat Mukammal Wajood Pardah Hai. Us Wajah Se Sar Se Le Kar Pair Tak Dabeez(Mote)Kapde Se Apne Aaza E Badan Chupane Ka Hukam Diya Gaya Hai. Zair E Nazar Mazmoon Me Aurat Ke Sar Ke Baal Ke Ahkaam Bataae Jaaen Ge Taaki Musalim Aurto Ko Un Baato Ki Sharai Haisiyat Ma'loom Ho Sake.

Sar Ke Baal Ki Hifazat Karna,Usme Comb Karna Aur Oil Lagana:
(1) Yaha Ma'loom Hona Chahiye Ke Mardo Ke Liye Rozana Comb Karna Ma'na Hai Lekin Aurto Ke Baal Ghane Aur Lambe Hote Hai Is Liye Aurto Ke Liye Hasbe Zaroorat Comb Karne Me Koi Muzaeqa Nahi Hai Balke Shadi Shuda Aurto Ko Apne Shohar Ke Liye Baalo Ko Sanwarna Chahiye,Oil,Comb Aur Zeenat Ki Chize Istimaal Karna Chaahiye. Haa Itna Zaroor Dhiyaan De Ke Baalo Ko Sajaane Sanwaarne Aur Oil Comb Karne Me Ziyadah Waqt Barbaad Na Kare Aur Na Hi Maal Me Israaf Kare Jaisa Ke Bahut Sari Aurto Ko Dekha Jata Hai Ke Baal Dhone Me Mubalga,Dhoop Me Sukhane Me Mubalga Aur Usko Sajaane Sanwaarne Me Mubalga Aaraai Se Kaam Leti Hai Goya Din Ka Balke Raat Ka Bhi Aksar Hissa Baalo Ki Zeenat Aur Hifazat Par Sarf Kiya Jata Hai. Isi Tarah Baalo Me Khushboo Ya Khushbu Daar Oil Laga Kar Bahar Na Nikle,Khushboo Ka Istimaal Ghar Tak Hi Mehdood Rakhkhe.
Din Aur Raat Ke Kisi Hisse Me Rozana Aurat Balo Me Comb Kar Sakti Hai Yaha Tak Ke Haiz Aur Nifaas Aur Janabat Ki Halat Me Bhi Albatta Eidul Azha Ki Munasibat Se Jo Qurbani Ka Iradah Rakhkhe Woh Un Dino Aaraam Se Aur Narmi Ke Saath Comb Kare. Halat E Ahraam Me Comb Karne Ki Mumaniat Nahi Aai Hai Lekin Chunke Baal Katna Ya Todna Ahraam Ki Halat Me Mana Hai Is Wajah Se Comb Nahi Karni Chaahiye Aur Jise Comb Karne Se Baal Tutne Ka Yaqeen Ho To Uski Har Haal Me Comb Nahi Karna Chaahiye. Iddat Me Zeenat Ikhtiyaar Karna Ma'na Hai Is Wajah Se Aurat Iddat Me Comb Na Kare Aur Na Hi Zeenat Ki
Koi Chiz Baal Me Istimaal Kare.

Aurto Ke Liye Baal Rakhne Aur Maang Nikalne Ka Tariqah:
Rasool SAV Ki Maang Darmiyaan Sar Me Hoti Thi Ummul Moamineen Aaisha RA Bayan Karti Hai:
كنت اذا اردت ان افرق رأس رسول الله صلى الله عليه وسلم صدعت الفرق من يافوخه وارسل ناصيته بين عينيه.
(Abu Dawood:4189)
Tarjumah: Me Jab Rasool SAV Ke Balo Me Maang Nikaalne Lagti To Aap Ke Sar Ke Bicho Bich Se Nikaalti Aur Aap SAV Ki Paishaani Ke Baalo Ko Aap Ki Aankho Ke Smane Latkati Yani Fir Unhe Aadho Aadh Kar Deti.
Maang Ke Mamle Me Aurat Aur Mars Dono Barabar Hai Yani Rasool Allaah Ka Uswa Apnate Hue Darmiyaan Sar Se Maang Nikaale Tedi Maang Nikalna Uswae Rasool SAV Ke Khilaaf Aur Kuffar Aur Mushrikeen Ki Mushabihat Hai Is Liye Koi Musalmaan Aurat Tedi Maang Na Nikale Na Right Janib Se Na Hi Left Janib Se. Haa Bagair Maang Nikaale Baalo Ko Right Ya Left Jaanib Jhuka Le To Isme Koi Harj Nahi Hai. Isi Tarah Kandhe Par Baal Latkaane Ya Chotiya Bana Kar Ya Bagair Chotiyo Ke Pith Par Latkane Me Bhi Koi Harj Nahi Hai. Isme Bhi Koi Harj Nahi Hai Ke Sar Ke Piche Balo Ko Jama Kar Ke Upri Hisse Par Ribbin Bandh Le Aur Baalo Ke Nichle Hisse Ko Pith Piche Ki Taraf Chod De.

BALO KI CHOTI AUR WAZU AUR GUSAL:
Aurto Ke Liye Balo Ki Choti Banane Me Koi Harj Nahi Hai Rasool SAV Ke Zamane Me Aurte Balo Me Chotiya Banaya Karti Thi,Umme Salmah RA Se Rivayat Hai Unhone Bayan Kiya:
قلت يا رسول الله،اني امرأة أشد رأسى فانقضه لغسل الجنابة؟ قال: لا. انما يكفيك أن تحثي على رأسك ثلاث حثيات ثم تفيضين عليك الماء فتطهرين.
(MUSLIM SHARIF:330)
Tarjumah:Mene Arz Ki:Ay Allaah Ke Rasool ! Me Ek Aysi Aurat Hu Ke Kas Kar Sar Ke Balo Ki Choti Banati Hu To Kya Gusal E Janabat Ke Liye Is Ko Kholu?Aap Ne Farmaya:Nahi,Tumhe Bas Itna Hi Kaafi Hai Ke Apne Sar Par 3 Chilloo Paani Dalo,Fir Apne Aap Par Paani Baha Lo Tum Paak Ho Jaao Gi.
Is Hadees Se Ma'loom Hua Ke Aurto Ke Liye Choti Banane Me Koi Harj Nahh Hai Aurat Choti Ki Halat Me Namaaz Ki Adaaegi Bhi Kar Sakti Hai. Namaaz Ke Liye Wazu Karte Waqt Choti Kholne Ki Bhi Zaroorat Nahi Hai Baal Ke Upar Se Masah Kar Le Aur Gusal E Janabat Me Bhi Choti Kholne Ki Zaroorat Nahi Hai Jaisa Ke Isi Hadees Se Wazeh Hai,Gusal E Janabat Me Sar Par 3 Lap Paani Daal Le Yah Kaafi Hai. Haiz Aur Nifaas Ke Gusal Me Choti Kholne Ke Muta'liq Ikhtilaaf Paya Hai Kuch Ne Kholna Wajib Qaraar Diya Hai. Unki Daleel Woh Hadees Hai Jis Me Dauraan E Hajj Haiz Se Paak Hone Pat Aaisha RA Ko Nabi SAV Ne Hukam Diya Tha:
انقضي شعرك واغتسلي قال علي في حديثه انقضي رأسك.
(IBNE MAJAH:530)
TARJUMAH: Apne Baal Khol Do Aur Gusal Karo. Ali Bin Muhammad Ki Rivayat Me Hai"Apna Sar Khol Do" Jinhone Gair Wajib Kaha Hai Woh Is Ka Yah Jawab Dete Hai Ke Yah Haj Ke Saath Khaas Hai Aur Kuch Dusri Rivayat Maslan Tabrani Me Sarahat Ke Saath Mazkur Hai Ke Haiz Sar Par Paani Bahana Hai Choti Nahi Kholna Hai,Is Rivayat Ko Shaikh Albani RH Ne Zaeef Kaha Hai. (As Silsilatus Zaeefa:937)
Is Masale Me Dalaail Ki Roshani Me Qawi Maslak Yah Hai Ke Gusal E Janabat,Gusal E Haiz Aur Gusal E Nifaas Me Choti Kholna Zaroori Nahi Hai,3 Lap Paani Dalna Hi Kaafi Hai Taham Sar Par Pani Undelte Waqt Is Baat Ka Khayaal Rakha Jaae Ke Baalo Ki Jado Me Paani Pohnch Jaae.
Yaha Ek Masala Aurat Ke Gusal E Janazah Se Mutalliq Bhi Jaan Liya Jaae Ke Agar Aurat Ki Wafaat Ho Jaae Aur Use Gusal Diya Jaae To Uske Baalo Ki 3 Chotiya Bana Kar Piche Daal Di Jaae. Umme Atiyah RA Nabi SAV Ki Ek Sahab Zaadi Ki Wafaat Par Unke Gusal Se Mutalliq Ek Hadees Bayan Karti Hai Is Hadees Ke Aakhri Alfaaz Hai:
فضفرنا شعرها ثلاثة قرون والقيناها خلفها.
(Bukhari Sharif:1276)
Tarjumah: Ham Ne Unke Baal Gundh Kar 3 Chotiya Banai Aur Unhe Pith Ke Piche Daal Diya.

WAZU ME AURAT KE SAR KA MASAH:
Aurat Aur Mars Ke Masah Me Koi Faraq Nahi Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
وامسحوا برءوسكم.
Tarjumah:Apne Saro Ka Masah Karo.
Yah Farmaan Mard Aur Aurat Dono Ko Shaamil Hai Nabi SAV Ne Hame Masah Ka Tariqah Yah Baylaya Ke Tar Hatho Ko Sar Ke Agle Hisse Par Phairte Hue Guddi Tak Le Jaae Aur Fir Waapas Aage Ki Taraf Le Aae Aur Shahadat Ki Ungli Se Kaan Ka Andruni Hissa Aur Anguthe Se Beruni Hissa Masah Kare.
Aurat Ko Apna Baal Nanga Karne Ki Zaroorat Nahi Hai Aur Na Hi Choti Ho To Kholne Ki Zaroorat Hai. Dupatta Ke Andar Se Balo Par Haath Phair Le Aur Ajnabi Mard Aas Paas Na Ho To Sar Nanga Hone Aur Baal Bikherne Me Koi Harj Nahi Hai.
Aurat Wazu Karte Hue Apne Dupatte Par Masah Kar Sakti Hai Jab Thandak Ki Wajah Se Ya Bagair Thandak Ke Sar Ko Dupatte Se Mazbuti Ke Saath Bandh Rakhi Ho Kuy Ke Uske Utarne Me Mashaqqat Aur Pareshani Hai Isi Tarah Agar Sar Par Mehndi Ka Laip Lagaai Ho To Us Par Bhi Masah Kar Sakti Hai.

JODE BANANA AUR JODE ME NAMAAZ PADHNA:
Sahih Muslim(2128) Me Jahnnami Aurto Ki Ek Sifat Batlaai Gai Hai:
رؤوسهن كأسنمة البخت المائلة.
Yani Unke Sar Bukhti Oont Ki Kohaan Ki Tarah Ek Taraf Jhuke Hue Hon Ge. Muhaddisin Ne Iske Kai Ma'ni Bayan Kiye Hai Un Me Ek Ma'ni Imaam Nawwi Ne Qaazi Ki Taraf Mansoob Kar Ke Yah Bhi Bayan Kiya Hai Ke Baal Ikhatta Kar Ke Darmiyani Sar Ke Upar Jama Kar Lena Jo Bukhti Oont Ki Kohaan Ki Tarah Malum Hota Hai Is Tarah Musalmaan Aurat Ke Baalo Ka Joda Banana Jaaiz Nahi Hai.
Agar Kisi Aurat Ne Lailmi Me Is Haalat Me Namaaz Padh Li Bashart Yah Ke Baal Dhake Hue The To Uski Namaaz Sahih Hai Dohraane Ki Zaroorat Nahi Hai Taham Yah Amal Na Namaaz Me Sahih Hai Aur Na Hi Namaaz Ke Bahar Lihaza Hamesha Ke Liye Is Amal Se Baaz Rahe.

AURAT KA APNE MEHRAMO KE SAMNE KHULE SAR AANA KAISA HAI?
Aurat Apne Mehram Ke Samne Jis Tarah Face Khol Sakti Hai Usi Tarah Apne Baal Bhi Zaahir Kar Sakti Hai Is Liye Apne Mehramo Ke Samne Khule Sar Aane Me Koi Harj Nahi Hai.
Allaah Ka Farmaan Hai:
ولا يبدين زينتهن إلا لبعولتهن اؤ آبائهن اؤ آباء بعولتهن اؤ ابنائهن اؤ أبناء بعولتهن اؤ اخوانهن اؤ بني اخوانهن اؤ بني اخواتهن.
(NOOR:31)
TARJUMAH:Aur Apni Aaraisho Ko Kisi Ke Samne Zaahir Na Kare Siwaae Apne Shoharo Ke Ya Apne Waalid Ke Ya Apne Sasur Ke Ya Apne Ladko Ke Ya Apne Shohar Ke Ladko Ke Ya Apne Bhaiyo Ke Ya Apne Bhatijo Ke Ya Apne Bhanjo Ke.
Is Aayat Ki Roshani Me Aurat Apne Maharim Ke Samne Apne Haath,Pair Sar,Baal Aur Gardan Khula Rakh Sakti Hai. Is Liye Apne Maharim Ke Samne Khule Sar Ya Khule Baal Aa Sakti Hai.
Muslim Aurat Ka Kaafir Ke Samne Nange Sar Aur Nange Face Aane ke Silsile Me Ikhtilaaf Hai. Shaikh Ibne Usaimeen RH Kehte Hai Ke Mera Meelan Is Jaanib Hai Ke Agar Fitna Na Ho To Aurat Aurat Ke Darmiyan Farq Nahi Hai Chaahe Muslimah Ho Ya Kaafirah Lekin Agar Fitne Ka Khauf Ho Maslan Woh Aurat Rishte Daar Mardo Ke Paas Aurat Ka Wasaf Bayaan Kare To Is Waqt Fitna Se Bachna Zaroori Hai Aur Us Surat Me Dusri Aurat Ke Samne Apne Badan Ka Kuch Hissa Bhi Zaahir Na Kare Gi Na Pair,Na Baal Chaahe Aurat Muslimah Ho Ya Gair Muslimah.
(FATAWAH AL MAR'AA PAGE:172)

Nange Sar Ya Bareek Dupatta Me Namaaz:
Hame Pehle Is Baat Ko Jaan Leni Chaahiye Ke Namaaz Aham Tareen Ibaadat Hai Jo Rab Ke Samne Ada Ki Jaati Hai Is Liye Namaaz Me Aurto Ko Chaahiye Ke Satar Ka Mukammal Khayal Kare. Ibne Abi Shaibah Ki Rivayat Hai Jise Shaikh Albani RH Ne Sahih Qaraar Diya Hai.
قال ابن عمر اذا صلت المرأة فلتصل في ثيابها كلها: الدرع والخمار والملحفة.
(Tamaamul Minnah:162)
Tarjumah: Ibne Umar RA Ne Farmaya:Jab Aurat Namaaz Padhe To Mukammal Libaas Me Namaaz Padhe Yani Qamees,Dupatta Aur Qamees Ke Upar Chaadar.
Aurat Ka Yah Libaas Salaf Ke Yaha Ma'roof Hai Is Liye Bahalat E Namaaz Jaha Aurat Ko Haath,Pair Aur Mukammal Jisam Chupana Hai(Siwae Face Aur Haath kr Lekin Ajnabi Ho To Face Ko Bhu Chupana Wajib Hai)Wahi Sar Ke Balo Ko Bhi Dupatte Se Achchi Tarah Dhankna Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
لا يقبل الله صلاة حائض إلا بخمار.
(ABU DAWOOD:641)
TARJUMAH: Allaah Haaiza Yani(Baalig Aurat) Ki Namaaz Dupatta Ke Bagair Qabool Nahi Farmata.
Is Hadees Ko Imaam Abu Dawood Ne"المرأة لا تصلي بغير خمار Ke Aurat Bagair Dupatta Namaaz Nahi Padhe Is Baab Ke Tahat Zikar Kiya Hai.
Ma'loom Yah Hua Ke Namaaz Me Aurat Ko Apne Saro Ko Dhanpna Hai Aur Libaas Bhi Aurat Ka Aysa Mota Ho Ke Aaza Ki Mukammal Satar Poshi Ho Rahi Ho,Is Liye Namaaz Ho Ya Gair Namaaz Aurat Ka Bareek Libaas Lagana Jis Se Aazaa E Badan Ke Khaddo Khaal Numaya Ho Jaaiz Nahi Hai. Namaaz Me Bhi Aysa Koi Libaas Na Lagaae Jis Se Haath,Qadam,Pindli Jisam Ka Koi Hissa Ya Sar Ka Baal Nazar Aa Raha Ho.
Raha Masala Zaeef Aur Bimaar Aurat Ka To Unhe Bhi Namaaz me Saro Ko Ayse Dupatte Se Chupaae Gi Jis Se Baal Na Zaahir Ho,Yahi Hukam Nawjawan Aurat Mareeza,Zaeefa,Aur Budhi Ka Bhi Hai Albatta Namaaz Ke Bahar Aurat Apne Saro Ko Tanhaai Me Ya Apne Mahaarim Ke Samne Khula Rakh Sakti Hai. Agar Mareez Ya Zoaf Is Qadar Shadeed Ho Ke Namaaz Me Hijaab Ki Mukammal Pabandi Karna Na Mumkin Ho Aur Koi Madad Karne Wala Bhi Na Ho To Jis Qadar Ho Sake Pabandi Kare,Allaah Kisi Ko Taqat Se Ziyadah Mukallaf Nahi Banata.

AURTO KE LIYE SAR MUNDWANE AUR BAAL KATWANE KA HUKAM:
Muslamaan Aurto Ke Liye Sar Ke Baal Mukammal Rakhna Wajib Hai Aur Bila Zaroorat Use Mundwana Haraam Hai. Is Tarah Aurto Ke Liye Sar Ke Baal Bila Zaroorat Katwana Bhi Jaaiz Nahi Hai Chahe Shohar Hi Ka Hukam Kuy Na Ho,Rasool SAV Ke Zamane Me Aurto Ke Baal Pure Hote The Aur Chote Balo Wali Aurte Wasal Se Kaam Leti Thi To Rasool SAV Ne Un Par La'anat Bheji.
لهم النبي صلى الله عليه وسلم الواصلة والمستوصلة،والواشمة والمستوشمة.
(Bukhari Sharif:5940)
Tarjumah: Nabi SAV Ne Sar Ke Qudrati Baalo Me Masnui Baal Lagaane Waliyo Par Aur Lagwaane Waliyo Par Aur Gudne Waliyo Par Aur Gudwane Waliyo Par La'nat Bheji Hai.
To Aurto Ke Liye Baal Rakhna Aur Na Katana Rasool SAV Ke Farmaan Se Saabit Hai.
Lihaza Aurto Ka Bila Zaroorat Sar Mundwana,Ya Baal Katwana Jaaiz Nahi Hai. Haj Aur Umrah Me Aurat Ka Ungli Ke Por Ke Barabar Baal Kataane Ka Hukam Hai,Aur Agar Aurat Ko Kisi Bimari Wagairah Ki Wajah Se Baal Katane Ki Zaroorat Padh Jaae To Us Surat Me Jaaiz Hoga.
Nabi SAV Ki Azwaje Mutahhiraat Ke Mutalliq Muslim Sharif Me Hai,Aaisha RA Bayan Karti Hai:
وكان أزواج النبي صلى الله عليه وسلم يأخذن من رؤوسهن حتى تكون كالوفرة.
(MUSLIM SHARIF:320)
TARJUMAH: Beshak Nabi SAV Ki Biviya Apne Saro Ke Baal Kaat Leti Thi Yaha Tak Ke Kaano Tak Lambe Ho Jaate.
Is Hadees Ki Bina Par Baaz Ulma Ne Aurto Ko Baal Katane Ki Rukhsat Di Hai Halanke Yah Hadees Azwaaje Mutahhiraat Ke Saath Hi Khaas Hai Unhone Nabi SAV Ki Wafaat Ke Baad Zeenat Ko Chodne Taur Par Aysa Kiya Tha. Agar Koi Aurat Zarooratan Katana Chaahe To Uski Ijaazat Hai Magar Fashion Ke Taur Par Ya Magribi Tehzeeb Ki Naqqali Ki Khaatir Ya Mardo Se Mushabihat Ikhtiyaar Karne Ki Garaz Se Aurat Ka Sar Ke Baal Katwana Surto Me Haraam Tehre Ga.
Baaz Gair Shadi Shudah Navjawaan Ladkiyo Ko Dekha Jata Hai Ke Woh Sar Ke Agle Hisse Se Kuch Baal Kaat Kar Aur Uski Lat Bana Kar Face Par Gira Leti Hai. Is Miqdaar Me Baal Kaat Lene Me Koi Qabahat Nazar Nahi Aati Hai Bashart Yah Ke Fahisha Ki Mushabihat Na Ho Magar Gair Shadi Shuda Nawajavaan Ladki Ka Aysa Karna Fitne Ka Baais Hai,Aysi Ladkiya Umoman Pardah Bhi Nahi Karti Unke Sarparasto Ka Chaahiye Ke Is Qisam Ka Baal Rakhne Se Mana Kare,Us Waqt Woh Is Andaaz Me Kis Ke Liye Zeenat Kar Rahi Hai?Shadi Ho Jaae Aur Shohar Ke Wasate Kare To Alag Baat Hai.

NAVMAULUD BACHCHI KA SAR MUNDWANE KA HUKAM:
Is Masala Me Ahle Ilm Ke Darmiyan Ikhtilaaf Hai Ke Nawmaulud Bachchi Ka 7we Din Ladka Ki Tarah Baal Mundhwaya Jaae Ga Ya Nahi?Baaz Hanabila Bachchiyo Ke Haq Me Halaq(Mundana) Se Mana Karte Hai Jab Ke Imaam Maalik Aur Imaam Shafai Ke Yaha Ladko Ki Tarah Ladkiyo Ka Bhi Baal Mundwaya Jaae Ga. Mana Aur Adam Mana Apne Apne Andaaz Istidlaal Par Munhasir Hai. Jo Mana Karte Hai Unka Istidlaal Yah Hai Ke Ahaadis Me Khushusiyat Ke Saath Bachchiyo Ke Baal Mundhane Ka Zikar Nahi Hai Balke Galam Ka Zikar Hai Jo Ke Bachcha(Muzakkar) Par Dalalat Karta Hai Aur Bachchiyo(Muannas)Ke Mutalliq Baal Mundwane Ki Mumaniat Warid Hai. Adam Mana Wale Ka Istidlaal Hai Ke Nas Aam Hai Isme Jis Tarah Gulaam(Ladka)Daakhil Hai Isi Tarah Jariya(Ladki) Bhi Daakhil Hai Dalaail Ki Roshani Me Nawmaulud Bachchi Ka 7ve Din Jis Tarah Naam Rakhna Aur Aqeeqah Karna Masnoon Hai Isi Tarah Baal Mundwana Aur Uske Barabar Chandi Sadqah Karna Bhi Masnoon Hai. Is Se Yah Tafseeli Mazmoon"Nav Maulood Bachchi ka 7ve Din Baal Mundhana" Ke Unwaan Se Mere Blog Me Mutalia Kare.

WHITE BAALO KO UKHEDNE KI MIMANIAT AUR USE BADALNE KA HUKAM:
(1) Yah Baat Maloom Hona Chahiye Ke White Baalo Ko Ukhedne Se Mana Kiya Gaya Hai Aur Aurat Bhi Is Mumaniat Me Shamil Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai.
لا تنتفوا الشيب ما من يشيب شيبة في الإسلام إلا كانت له نورا يوم القيامة إلا كتب الله له بها حسنة وحط عنه بها خطيئة.
(ABU DAWOOD:4202)
TARJUMAH:White Baal Na Ukhedo,Is Liye Ke Jis Musalmaan Ka Koi Baal Halat E Islaam Me White Hua Ho To Woh Uske Liye Qayamat Ke Din Noor Hoga Aur Uske Badle Allaah Uske Liye Ek Neki Likhe Ga Aur Us Se Ek Gunaah Mita Dega.
(2) Yah Maloom Hona Chahiye Ke Aurat Aur Mard Ke Liye Masnoon Hai Ke Jab Balo Me Safedi Aa Jaae To Use Kaale Rang Ke Alawah Dusre Kisi Bhi Rang Sr Badal De. Jabir Bin Abdullaah RA Se Rivayat Hai ke Fatah Makkah Ke Roz(Abu Baqar RA Ke Walid)Abu Quhafa Ko Laya Gaya To Unke Sar Aur Dadhi Ke Baal Sagama Buti Ki Manind White The To Rasool SAV Ne Farmaya:
غيروا هذا بشيء،واجتنبوا السواد.
(MUSLIM SHARIF:2102)
TARJUMAH: Unhe Kisi Rang Se Badal Do Aur Siyahi Se Bacho.
Bukhari Sharif Me Warid Hai:
إن اليهود والنصارى لا يصبغون، فخالفوهم.
(BUKHARI SHARIF:3642)
TAEJUMAH: Beshak Yahud Aur Nasarah Apne Baalo Ko Nahi Rangte Hai Tum Unki Mukhalifat Karo.
In Ahaadis Se Ma'loom Hua Ke Hame(Mard Aur Aurat) Apne Safed Balo Me Khizaab Lagana Chaahiye Aur Kaale Khizaab Se Mana Kiya Gaya Hai.
(3) Yah Maloom Hona Chaahiye ke Kaale Rang Ke Alawah Koi Bhi Maslan Mehndi,Zaafrani Yaha Tak Ke Kala Mix(Yani Kale Rang me Dusra Rang Mila Kar Alag Rang Taiyyar Karna) Rang Khizaab Ke Liye Istimaal Kar Sakte Hai Khizaab Me Sirf Khaalis Black Colour Mana Hai.
(4) Yah Tariqa Bbi Sahih Hai Ke Jitne Baal White Ho Utne Hi Clour Kiye Jaae Ya Fir Mukammal Sar H Rang Liya Jaae Yani Baaz Hisse Ko Rangne Aur Baaz Ko 6od Dene Me Harj Nahi Hai Taham Is Amal Me Fahisha Ki Naqqali Se Bachna Chaahiye.
(5) Aaj Kal Aurte Balo Ke Rangne me Gairo Ki Naqqali Karti Hai Unme Ek Yah Rivaaj Paya Gaya Hai Ke Ek Hi Waqt Me Sar Ke Baal Ko Mukhtalif Rango Se Ranga Jata Hai Dar Asal Yah Faishon Aur Fahisha Aurat Ki Mushabihat Ikhtiyaar Karna Hai. Is Se Muslim Aurto Ko Bachna Chaahiye Haa Agar Mukhtalif Rango Ke Kisi Tariqah Istimaal Me Fahisha Aurat Ki Mushabihat Na Paai Jaati Ho To Us Tariqah Me Koi Harj Nahi Hai Maslan Mukhtalif Rango Ko Mila Kar Ek Rang Taiyyar Kar Ke Lagana.
(6) Baaz Aurat Puchti Hai Ke Ham Ne La Ilmi Me Bahut Sari Namaaze Black Colour Me Padhi Hai Un Namazo Ka Kya Hoga? Uska Jawaab Yah Hai Ke Khizaab Apni Jagah Ek Dusra Amal Hai Black Colour Me Padhi Gai Namaaz Apni Jagah Sahih Bai Use Lautane Ki Zaroorat Nahi Hai Taham Kala Colour Lagane Wali Aurat Us Gunaah Se Aaindah Ke Liye Sachchi Taubah Kare.

BALO KO SIDHA KARNA YA GUNGHRANE WALA BANWANA:
Basa Awqaat Baaz Aurto Ke Baal Tabai Taur Par Ghungrane Wale Hote Hai Ayse Me Balo Ko Sidha Karna Ek Zaroorat Hai Usme Koi Harj Nahi Hai Albatta Bila Zaroorat Zeenat Ke Maqsad Se Sidhe Baal Ke Ghunghrane Banwana Shohar Ke Wasate Ho To Koi Harj Nahi Hai Lekin Logo Ko Maail Karne Aur Gairo Ki Mushabihat Ikhtiyaar Karne Ki Wajah Se Ho To Jaaiz Nahi Hai.

BAALO ME BAAL JODNA YA WIG PEHNNA YA BALO KI PAIWANDKAARI KARNA:
Qudrati Balo Me Masnui Baal Jodna Mana Hai Balke Aysa Karne Wali Mal'un Aurat Hai,Nabi SAV Farmate Hai:
لعن الله الواصلة والمستوصلة والواشمة والمستوشمة.
(Bukhari Sharif:5937)
Tarjumah:Allaah Ne Masnui Baal Jodne Wali Aur Judwane Wali Nez Surma Bharne Wali Aur Bharwaane Wali Dono Par La'ant Farmaai Hai.
Is Hadees Ki Roshani Me Na Qudrati Balo Me Masnui Baal Jod Sakte Hai Aur Na Hi Masnui Baalo Ki Vig Pehan Sakte Hai Agar Kisi Aurat Ka Sar Ganja Ho Jaae To Uske Liye Balo Ki Paiwandkari Jaiz Hai Aur Aib Chupane Ke Liye Vig Istimaal Bhi Jaaiz Hai,Baal Hote Hue Shaoqiya Vif Pehnna Ya Baal Jodna Mana Hai Aur Agar Kisi Aurat Ne Majburi Me Vig Pehan Rakhi Ho To Shaikh Muhammad Bin Saleh Munjjid Ne Wazu Ke Waqt Us Par Masah Karna Jaiz Nahi Kaha Hai Yani Use Utaarna Hoga.

TUTE BALO KO DAFAN KARNA:
Aurte Aksar Sawal Karti Hai Ke Kya Balo Ko Jo Zameen Par Gir Jaae Unhe Dafan Kar Dena Chaahiye Taaki Log Unhe Galat Maqaasid Ke Liye Istimaal Na Kare?
Iska Jawab Yah Hai Ke Balo Ko Dafan Karne Se Mutalliq Koi Nas Maujud Nahi Hai Taham Ahle Ilm Use Dafan Karne Ko Achcha Khiyaal Karte Hai.
Agar Jadu Tona Ka Andesha Ho Jaisa Ke Aaj Kal Iska Bada Rivaaj Hai To Fir Kisi Mehfooz Jagah Dafan Kar Dena Chaahiye Ajnabi Mardo Ki Nazar Na Padhe Is Maqsad Se Bhi Baal Zameen Me Chupaya Ja Sakta Hai Aksar Aurte Tahummat Ka Shikaar Hoti Hai Aur Har Baat Ko Jinnati Asaraat Se Mansoob Karti Hai Me Un Aurato Ko Pabandi Se Namaaz Ada Karne,Kasrat Se Astagfaar Padhne Aur Taharat Aur Azkaar Par Hameshgi Bartne Ki Nasihat Karta Hu Allaah Ki Taufiq Se Na Kisi Insaan Ka Jadu Aap Par Asar Kare Ga Aur Na Hi Koi Shaitaan Aap Ko Nuqsaan Pohncha Sakta Hai.

DULHAN KE BALO KI SAJAWAT:
Isme Ek Masala To Hai Ke Shadi Shuda Ya Gair Shadi Kisi Mauqah Par Ajnabi Mard Se Balo Ki Sajawat Aur Zaibaish Aur Aaraaish Karna Haraam Hai Aurto Wale Salon Me Ya Ghar Par Aurat Ke Zariya Shadi Ke Mauqah Par Balo Ko Dilkash Banane Me Koi Muzaeqa Nahi Hai. Bachna Un Umoor Se Hai Jinki Mumaniat Aai Hai Aur Jin Mamnua Umoor Ka Zikar Upar Kiya Gaya Shadi Ke Mauqah Par Dulhan Ke Balo Ki Sajawat Kare Magar Fuzul Kharchi Aur Kafirah Aur Fahisha Aurat Ki Mushabihat Se Bache.

Beauty Parlour Me JOB KARNE KA SHARAI HUKAM:
Beauty Parlour Me Gair Sharai Umoor Se Bachna Bahut Mushkil Hai Maslan Abru Tarashna,Sar Ke Baal Chota Karna,Masnui Baal Jodna,Bila Zaroorat Aurto Ki Maqamat E Satar Ko Dekhna Sirf Zaibaaish Ke Liye,Kisi Aurat Ka Haraam Kaam Gana Bajane Ya Shohar Ke Alawah Dusre Ajnabi Mardo Ke Liye Singaar Karna Wagairah. Unke Alawa Kahi Par Mardo Se Ikhtilaat Hai To Kisi Khaatoon Ko Us Nokri Ke Liye Tanha Ghar Se Bahar Aamado Rafat Karni Padhti Hai Un Tamam Mafaasid Aur Na Jaiz Kamo Se Bach Kar Aur Sharai Hudud Me Reh Kar Agar Koi Aurat Beauty Parlour Ka Job Kar Sakti Hai To Fir Koi Harj Nahi Hai Lekin Agar Gair Sharai Umoor Se Bach Nahi Sakti Hai To Is Surat Me Job Karna Jaiz Nahi Hoga. Ek Lafz Me Yah Kahe Ke Banao Singaar Ka Kaam Fi Nafsihi Jaaiz Hai Aur Uska Paisha Ikhtiyaar Kar Ke Us Par Ujrat Hasil Karna Bhi Jaiz Hai Lekin Us Paishe Me Najaiz Kaam Karna Padhe To Woh Kamaai Jaaiz Nahi Hai.

LEADY BAAL KE MUTALLIQ GALAT FEHMIYA:
Awaam Me Leady Baal Se Mutalliq Chand Galat Fahmiua Paai Jaati Hai,Unhe Un Maqsad Se Zikar Kiya Jata Hai Ke Un Bato Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai.
☆Aurto Ke Lambe Baal Qayamat Me Pardah Ka Bais Bane Ge.
☆ Azaan Ke Waqt Sar Par Dupatta Rakhna Zaroori Hai.
☆ Yah Aam Baat Hai Ki Tuti Hui Comb Se Kangah Karne Par Ghar Me Garibi Aati Hai.
☆ Roze Ki Haalat Me Balo Me Mendi Lagane Se Roza Toot Jata Hai.
Yah Sab Galat Bate Aur Afwaahe Hai,Unki Koi Haqeeqat Nahi Hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Masail 0

Similar threads


Top