MUSHKIL NAZAR KA KAFFARAH


Shona shaikh

Active member
MUSHKIL NAZAR KA KAFFARAH

SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI- ISLAMIC DAWAH CENTER, TAIF


ROMANISED-ABU MO. SHAKOOR

Kisi shakhs ne aisi mannat maan li ke falan kaam ho jayega to musalsal 9 mahine roze rakhunga ya har mahine 1000 rupees sadqa karunga ya rozana (daily) 100 rakat nafl namaz padhunga wagerah.
Ittefaq se us bande ka socha hua kaam pura ho gaya. Kaam poora hone ke baad maani hui mannat poori karna mushkil lag raha hai yani mannat poori karne ki taqat nahi. To Sawal ye hai ke mangi hui mannat ko kaise poori ki jaye, Islam mein iska kya hal hai?

Islam ne hamein nazar manne se roka hai kiunki aadmi nazar par bharosa kar leta hai jab ki har cheej ka ikhtiyaar Allah hi ke pas hai. Wo jo chahta hai wahi hota hai. Is liye musalman ko bharosa sirf Allah par rakhna chahiye. Aur mushkil se mushkil waqt mein Allah ki taraf rujoo' karna chahiye Sadqa, Dua, Isteghfaar aur Neki ke zariye Allah se aasaani ka sawal karna chahiye.
Allah bandon par nihayat hi meharbaan aur bada hi shafqat karne wala hai.
Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai:
نَهَى النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ النَّذْرِ، قَالَ: إِنَّهُ لَا يَرُدُّ شَيْئًا، وَإِنَّمَا يُسْتَخْرَجُ بِهِ مِنَ الْبَخِيلِ​
Tarjuma: Nabi Kareem ﷺ ne Nazar maanne se mana kiya tha aur farmaaya tha ke Nazar kisi cheez ko nahi lautaati, Nazar sirf bakheel ke dil se paisa nikaalti hai.
(Sahih Bukhari: 6608)

Is Hadees se maloom hua ke pehle to hamein nazar se parhez karna chahiye lekin agar kisi ne nazar maan li hai aur us nazar mein Allah ki ma'siyat bhi nahi hai to phir use poora kare aur ye poora karna farz ho jaata hai:
Allah ka farman hai:
ثُمَّ لْيَقْضُوا تَفَثَهُمْ وَلْيُوفُوا نُذُورَهُمْ​
Tarjuma: Phir woh apna mel kuchel door karen aur apni nazrein poori karen.
(Surah Al Hajj: 29)

Aur Nabi ﷺ ka farman hai:
مَنْ نَذَرَ أَنْ يُطِيعَ اللَّهَ فَلْيُطِعْهُ، وَمَنْ نَذَرَ أَنْ يَعْصِيَهُ فَلَا يَعْصِهِ​
Tarjuma: Jis ne Allah ki ita’at ki Nazar maani ho use chahiye ke ita’at kare aur jis ne gunaah karne ki Nazar maani ho pas woh gunaah na kare.
(Sahih Bukhari: 6700)

Koshish ke bawjood agar koi nazar poori nahi kar paa raha hai ya halaat kuch aise paida ho gaye jin ki wajah se maani hui ita'at wali nazar ka poora karna dushwaar ho gaya to aisi surat mein nazar ka kaffara ada kar de to nazar poori ho jayegi.
Nazar ka wahi kaffara hai jo qasam ka kaffara hai.
Nabi ﷺ ka farman hai:
كَفَّارَةُ النَّذْرِ كَفَّارَةُ الْيَمِينِ​
Tarjuma: Nazar ka kaffara wahi hai jo qasam ka hai.
(Sahih Muslim: 1645)

Aur qasam ke kaffare ka zikr Quran mein maujood hai.
Allah ka farman hai:
لَا يُؤَاخِذُكُمُ اللَّهُ بِاللَّغْوِ فِي أَيْمَانِكُمْ وَلَٰكِنْ يُؤَاخِذُكُمْ بِمَا عَقَّدْتُمُ الْأَيْمَانَ ۖ فَكَفَّارَتُهُ إِطْعَامُ عَشَرَةِ مَسَاكِينَ مِنْ أَوْسَطِ مَا تُطْعِمُونَ أَهْلِيكُمْ أَوْ كِسْوَتُهُمْ أَوْ تَحْرِيرُ رَقَبَةٍ ۖ فَمَنْ لَمْ يَجِدْ فَصِيَامُ ثَلَاثَةِ أَيَّامٍ ۚ ذَٰلِكَ كَفَّارَةُ أَيْمَانِكُمْ إِذَا حَلَفْتُمْ ۚ وَاحْفَظُوا أَيْمَانَكُمْ ۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمْ آيَاتِهِ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ​
Tarjuma: Allah tumhari be-maqsad qasmon par tumhara mu'aakhza nahi karega lekin jo sanjeedah qasmein tum khaate ho unka mu'aakhza hoga, pas is (qasam todne) ka kaffarah 10 mohtajon ko awsat darje ka khaana khilana hai jo tum apne ghar waalon ko khilate ho ya unhein kapde pehnaana ya gulam aazaad karna hai aur jise ye mayassar na ho wo 3 din roze rakhe, jab tum qasam khaao (aur use tod do) to ye tumhari qasmon ka kaffarah hai aur apni qasmon ki hifazat karo, Allah isi tarah apni Aayaat tumhare liye khol kar bayan farmata hai taaki tum shukr ada karo.
(Surah Al Maidah: 89)

Goya aisi mannatein jin ka poora karna ikhtiyaar se bahar ho uske liye nazar ka kaffarah ada kar de jis ka zikr upar waali Ayat mein hai yani 10 miskeeno ko khaana khilana, ya unhein kapde pehnaana, ya ek gulam aazaad karna ya 3 roze rakhna. In mein se jiski sahulat ho kar sakta hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Masail 0
Umar Asari Masail 0

Similar threads


Top