Musalman Par Kufr Ka Ilzaam Lagana


Umar Asari

Administrator
Staff member
Musalman Par Kufr Ka Ilzaam Lagana

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanized By: Umar Asari


Ibn e Hibban Ki Aik Hadees Hai, Jis Mein Kisi Musalman Par Kufr Ki Tohmat Laganay Ki Sakht Wayeed Aayi Hai Woh Hadees Is Tarah Marwi Hai.
عن حذيفة رضي الله عنه قال : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : ( إِنَّ مَا أَتَخَوَّفُ عَلَيْكُمْ رَجُلٌ قَرَأَ الْقُرْآنَ حَتَّى إِذَا رُئِيَتْ بَهْجَتُهُ عَلَيْهِ ، وَكَانَ رِدْئًا لِلْإِسْلَامِ ، غَيَّرَهُ إِلَى مَا شَاءَ اللَّهُ ، فَانْسَلَخَ مِنْهُ وَنَبَذَهُ وَرَاءَ ظَهْرِهِ ، وَسَعَى عَلَى جَارِهِ بِالسَّيْفِ ، وَرَمَاهُ بِالشِّرْكِ ) ، قَالَ: قُلْتُ: يَا نَبِيَّ اللَّهِ، أَيُّهُمَا أَوْلَى بِالشِّرْكِ، الْمَرْمِيُّ أَمِ الرَّامِي؟ قَالَ: بَلِ الرَّامِي​
Tarjuma: Hazrat Huzaifa Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Mujhe Jin Baton Ka Tum Se Sarzad Honay Ka Ziyada Andesha Hai Woh Yeh Hai Ke Koi Shakhs Quran Ki Tilawat Karey, Aur Jab Quran Ki Tar o Taazgi Us Par Numaya Honay Lagey Aur Woh Islam Ko Mamdood o Muawin (Means Madadgaar) Saabit Ho Jaye To Woh Us Se Nikal Jaye Aur Quran Ko Apni Pusht Peechay Pheink Day Aur Apne Hamsaye Par Talwar Se Hamla Aawar Ho (Means Hamla Karde) Aur Us Par Shirk (Kufr) Ka Ilzaam Lagaye. Sahabi e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Kehtey Hain Ki Mein Ne Arz Kiya, Aye Allah Ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Ilzaam Laganay Wala Aur Jis Par Ilzaam Lagaya Gaya? Un Dono Mein Se Kon Shirk (Kufr) Ka Haamil Hoga? Farmaya: Shirk Ka Ilzaam Laganay Wala.
{Ibne Hibban: 1/282 (Hadees: 81)}
Is Hadees Ko Imam Ibn e Hibban Rahimahullah Ne Khud Sahih Qarar Diya Hai.
Sheikh Albani Rahimahullah Ne Bhi Sahih Qarar Diya Hai.
(Silsila As-Saheehah: 3201)
Ibn Kaseer Rahimahullah Ne Is Ki Sanad Ko Jayyid Bataya Hai.
(Tafseer ul Quran: 3/509)

Yeh Hadees Hamein Kuch Batein Batati Hai:
(1) Yeh Hadees Musalmanoon Ki Takfeer Karne Ki Shiddat Par Dalalat Karti Hai (Means Daleel Hai) Lehaza Hamein Kisi Aisay Musalman Ko Jo Shirk o Kufr Se Bari (Means Paak) Ho Usay Hargiz Kafir Nahi Kehna Hai. Warna Woh Kafir Kehnay Walay Par Lout Jayega.
(2) Is Hadees Mein Is Baat Ka Zikr Hai Ke Kisi Ne Aisay Aadmi Par Kufr Ka Ilzaam Lagaya Jo Us Se Bari (Means Paak) Hai To Woh Khud Waisa Hogaya. Agar Kufr Ka Ilzaam Laganay Ki Maqool (Munasib) Wajah Ho To Ilzaam Laganay Walay Par Kuch Bhi Nahi.
(3) Kisi Musalman Ki Taraf Baghair Shar’ee Daleel Ke Kufr Ka Intisaab Karna (Yaani Kisi Musalmaan Ko Kaafir Kehna) Jaayez Nahi Hai.
(4) Lekin Agar Kisi Ne Kufr Ya Shirk Ka Ilzaam Jihalat Aur Nadani Mein Laga Diya Aur Usay Apni Galati Ka Ilm Howa Allah Se Tauba Karey, Allah Taala Maaf Karney Wala Hai.

Allah Taala Aisay Logon Ko Hidayat Dey Jo Aik Dosrey Par Kufr Ka Fatwa Lagatay Hain Aur Hum Sab Ko Is Fitney Se Mehfooz Rakhay.
Aameeen.
 

Top