Musalmaan gosht kyu khatey hain?


Musalmaan gosht kyu khatey hain?

Kuch non Muslims ka ek bada aytraaz ki "Janwaro ko haalaq karna zaalimana kaam hai, Muslim ghost kiun khatey hain?"

Jawab:
Vegetarain ya sabzikhor puri duniya mein ek tehrir (Abihaan) ki shakl ikhtiyar kar chuki hain. Kuch log isey jaanwaron ke huqooq (writes) se milatey hain aur logon ki kafi badi taadad ghost aur doosri non-vegetarain cheezon ko khurak ke taur par istimaal karne ko jaanwaron ke huqooq ke khilaf samjhtey hain.

Islam sab jaanwaron ke saath rahem karne aur uske sath behtareen sulook ka hukm deta hai. Uske saath hi Islam ka yeh bhi kehna hai ki Allah Sub-hanho Taa'la ne zamin par sabziyan aur jaanwar insan ke nafay (faidey) ke liye paida kiye hain. Ab yeh insan ke upar hai ki wo har zariye ko kis tarah insaaf ke sath Allah Taa'la ki nemat aur uski amanat samjhtey hue istimaal karta hai. Aayen iskey doosrey pahlu ka jaayza lete hain.

Har musalmaan sabzi khane wala ho kar bhi ek achcha musalmaan ban sakta hai aur uske liye yeh zarori nahi hai ki wo ghost hi khaye. Quran ki roshni mein musalman ko ghost khane ki ijazat haasil hai.

Allah Taa'la Quran Majeed mein Surah Nahel surah 16 , Aayat 5 mein farmaatey hain:
وَالْأَنْعَامَ خَلَقَهَا ۗ لَكُمْ فِيهَا دِفْءٌ وَمَنَافِعُ وَمِنْهَا تَأْكُلُونَ
"AUR USNE CHAUPAAYE (JAANWAR) PAIDA KIYE TUMHAREY LIYE UNMEIN GARAM KAPDEY AUR BHI BAHUT SE FAIDAY HAIN, AUR BAAZ TUMHAREY KHANEY KE KAAM AATEY HAIN"


Aur Allah Taa'la Surah Mominoon Surah 23 , Aayat 21 mein farmaatey hain:
وَإِنَّ لَكُمْ فِي الْأَنْعَامِ لَعِبْرَةً ۖ نُسْقِيكُمْ مِمَّا فِي بُطُونِهَا وَلَكُمْ فِيهَا مَنَافِعُ كَثِيرَةٌ وَمِنْهَا تَأْكُلُون
"Beshak tumhare liye chaupaaye (Janwaro ) mein bhi bahut badi naseehat hai, unke peto se hum tumhein dudh pilatey hain aur dusrey bhi bahut se faidey tumharey liye unmein hain, un mein se kuch ko tum khatey bhi ho.


Gair-naamiyati khana jaisey Aanda (egg), machhli (fish), aur gosht protein ka behtareen zariya hain. Unmein mukammal protein yani 8 zarori essential amino acid maujood hain, jinhein hamara jism tayyar nahi kar sakta, Isliye yeh khuraak se hasil kiye jatey hain. Gosht ke ander Iron, vitamin B1, aur Niacin bhi maujood hotey hain.

Iskey alawah agar aap sabzi khaney wale janwaron jaise Bakri, Bhains wagaira ke daaton ko dekhen toh unhein ek jaisa hi paayengay un jaanwaron ke daant chiptey (flat) hotey hain jo sabzi patto wali khuraak ke liye behtareen hain aur agar aap gosht khaney waley jaanwaron ke daant ko dekhein jaise Sher, Cheeta, Billi wagaira toh aap dekhengay ki unke daant nukiley (pointed) hotey hain jo ghost khaney ke liye behtareen hain, aur agar aap Insaani (humans) daaton ko gaur se dekhein toh wo chiptey aur nukiley dono tarah ke hotey hain, isliye unke daat sabzi aur gosht dono tarah ki khuraak ke liye fit aur munasib hain, yani har cheez kha saktey hain.

Yahan ek sawal uthaya jaa sakta hai ki agar Allah Taa'la ne insaan ko sirf sabzi khaney wala banaya hota toh usko nukiley daant kiun deta??
Kinuki Allah jaanta hai ki insaan ko dono tarah ki Giza (khaney) ki zarorat hai.
Sabzi khaney wale jaanwaron ka haazma (digestive system) patto wali khuraak hazam kar sakta hai aur gosht khaney waley jaanwaron ka haazma (digestive system) sirf gosht hazam kar sakta hai. Lakin Insaan sabzi aur gosht dono qism ki cheezein hazam kar sakta hai. Agar Allah hamein sirf sabzi khilana chahta tha toh us ne hamein sabzi aur gosht dono qism ki giza hazam karne ka haazma (digestive system) kiun diya??

Ab dekhtey hain hindu dharm ki kitaabein kya kahti hain is barey mein.

Bahat sarey hindu ye samjhtey hain ki gosht khana unke mazhab ke khilaaf hai. Lakin haqeeqat mein hindu dharm bhi gosht khaney ki ijazat deta hain.

Daleel:
"Jo shakhs un jaanwaron ka gosht khaye jinka gosht khana chahiye toh ismein koi burai nahi, chahe rozana aisa kare, kiunki Ishwar ne kuch cheezein khaaye janey ke liye banai hain aur kuch ko un cheezon ko khaney ke liye paida kiya hain"
[Manusmiti, Addhiyaye 5, shuloka 30]

"Ishwar ne bhet (Qurbani) waley Jaanwar ko khud qurbani ke liye paida kiye hai, toh qurbani ke liye unhein maarna, maarna nahi hain"
[Manusmiti, Addhiyye 5, shuloka 39]

Isi tarah Mahabharat Anushasan purwa ke chapter 88 mein bhi gosht ka saboot milta hain.

Ek nazar science ki roshni mein:
Bahut se gair muslim ye kahtey hain ki wo vegetarain isliye hain kiunki wo jaanwaron ko maarna nahi chahtey kiunki jaanwaron mein jaan hoti hai, unhein dard hota hai.
Toh un logon se main yeh kahna chahta hun ki duniya ka koi insan bina maarey zinda rahi nahi sakta hai.
Pahle zamaney ke log ye samjhtey they ki ped paudhey (tress) mein jaan (zindagi) nahi hoti hai. Lakin science hamein ye batati hai ki ped paudhon (tress) mein bhi jaan hoti hain. Trees bhi living things mein aatey hain.
Or science ye bhi kahti hai ke ped paudho mein bhi feelings hoti hain wo dard , takleef mehsoos kartey hain. Unki cheekh pukaar ki aawaz insaan sun nahi sakta kiunki insaan ke sunney ki taaqat ke bahar hotey hain.

Ek american kisaan ne tehqeeq (research) ke baad ek aisa upkaran (instrument) ejaad kiya tha jo paudhon ki cheekh pukar ko aise badalta jisey insan sun sakey. Ussey usko fauran pata chal jata hai ki kab paudha paani ke liye cheekh raha hai aur new research ne bhi ye sabit kiya hai ki paudhey (tress) ghami (sadness) khushi, dard mehsoos kartey hain aur cheekhtey chillaatey bhi hain.

Ab main un logon se sawal karna chahta hun ki jo log gosht khaney ke khilaaf isliye rahtey hain kiunki jaanwaron mein jaan hoti hai, unko kaatney se unhein dard hota hai. Toh un logon ko saag-sabzi bhi nahi khana chahiye kiunki ped paudhon (tress) mein bhi jaan hoti hai, unko bhi dard ka ehsaas hota hai.

Aur Allah hi behtar jaanta hai...
 

Similar threads


Top