MUNAAFIQ KI NISHANIYAN


MUNAAFIQ KI NISHANIYAN
Fatwaa : FAZILAT-USH-SHAIKH HAFIZ ABDUL SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owai

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:


آيَةُ الْمُنَافِقِ ثَلَاثٌ، إِذَا حَدَّثَ كَذَبَ، وَإِذَا وَعَدَ أَخْلَفَ، وَإِذَا اؤْتُمِنَ خَانَ
"Munaafiq ki teen nishanain hain jab baat kahe to jhoot bole, jab wada kere to khilaaf warzi kere aur jab is ke paas amanat rakhi jaye to khayanat kere."(Sahih Bukhari:33)

FAWAAYED:
Nifaq ke maienay zahir o batin ke ikhtilaaf ke hain yeh lafz darasal ""نافقاء se liya gaya hai jo choohE ki tarha ek janwar ke bil ke posheeda darwazay ka naam hai jo bzahir zameen ki tarha nazar aata hai. Munafiq bhi bzahir musalman nazar aata hai magar androoni tor par is ka islam se koi talluq nahi hota mehez dhoka daine ke liye yeh roop ekhitar karta hai. munafiqeen ke baray mein irshad BAARI TA'ALA hai:

وَإِذَا جَاءُوكُمْ قَالُوا آمَنَّا وَقَد دَّخَلُوا بِالْكُفْرِ وَهُمْ قَدْ خَرَجُوا بِهِ وَاللَّـهُ أَعْلَمُ بِمَا كَانُوا يَكْتُمُونَ
"Jab woh tumahray paas aate hain to kehte hain hum eemaan laaye halaank woh kufar liye aaye thay aur is kufar ke sath wapas ho gaye."(Surah al-Mayidah:65)

Darasal nifaq, kufar ka fard-e-aala hai is mein kufar billah ke sath musalmanoon ko dhoka dena bhi shaamil hai. Isi liye aam kufar ke muqaabla mein un ki saza bhi sakht rakhi gayi hai:

إِنَّ الْمُنَافِقِينَ فِي الدَّرْكِ الْأَسْفَلِ مِنَ النَّارِ
"Key eh(munaafiq) dozaq ke sab se nich gadhe mein honge."(Surah al-Nisa:145)

Nifaq ki do aqsam hain aik nifaq to eemaan o aqeedah ka hota hai jo kufar ki bad-tareen qisam hai jis ki nishandahi sirf Wahi se mumkin hai. Dosra amal nifaq hai jisay seerat o kirdaar ka nifaq bhi kehte hain. Hadees e baala mein isi qisam ke nifaq ki teen alamtain bayan ki gayi hain. Ek doosri hadees mein nifaq ki chaar alamtain batayi gayi hain.(Sahih Bukhari:34)

Do alamtain to pehli hadees ki hain aur do mazeed hain is tarha kul alamtain paanch ho jati hain:
1)Darogh Goi
2)Khayanat
3)Wada Khilafi
4)Ehad-Shikni
5)Be Hooda Goi
 
Top