MAUT KE QAREEB SHAKHS KO KALIMAH KI TALQEEN KARNA


MAUT KE QAREEB SHAKHS KO KALIMAH KI TALQEEN KARNA
Al-Muhaddis Imam Muhammed Naasir-ud-Deen Albaani rahimahullah
(Kitab Silsilato Ahadith-us-Sahihat Washay' Min Faqahiha Wa-Fawayidiha, Hadis No.467)

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

عن ابی ھریرۃ رضی الله عنه"مرفوعا"((أكثروا من شهادة أن لا إله إلا الله، قبل أن يحال بينكم وبينها ولقنوهاموتاكم))
"Syidina Abu Hurairah raziallahu-anhu bayaan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ALLAH TA'ALA ke mabood-e-barhaq hone ki gawaahi kasrat se dete raha karo, qabl iske keh tumhare aur us (shakhs) ke maabain koi rukaawat haayil hojaye aur aur marne ke qareeb waale logon ko is ki talqeen kya karoo."
TAKHREEJ:(Musnad Abu Yala:11/8[4/1460], Hadis No.6148. / wa Al-Kaamil li-Ibn Adi:2/204. /wa Juz al-Bitaqah li-Ibn Hamsah:1/69. /wa Taareekh Baghdaad lil-Khateeb:3/38. /wa Taarikh al-Dimashq li-Ibn Asaakar:17/202/2. aur ye hadis SAHIH MUSLIM mein in alfaaz ke saath hai:

((لقنوا موتاكم لا إله إلا الله))
Sahih Muslim, kitab-ul-Janaayiz, Baab: Marne waale ko "La Ilaaha Illallah" ki talqeen karna, Hadis No.916[Darussalam No.2123, Muslim ki ye hadis Syidina Abu Sayeed al-Khudri raziallahu-anhu ne riwaayat ki hai. / Sunan Abi Dawod:3117. /Jami Tirmizi:976. /Sunan al-Nasayi:1825. /Sunan Ibn Majah:1445 )

Shaikh Albaani rahimahullah farmate hain:

((فيه مشروعية تلقين المحتضر شهادة التوحيد، رجاء أن يقولها فيفلح والمراد بـ (موتاكم) من حضره الموت، لأنه لا يزال في دار التكليف، ومن الممكن أن يستفيد من تلقينه فيتذكر الشهادة ويقولها، فيكون من أهل الجنة. وأما تلقينه بعد الموت، فمع أنه بدعة لم ترد في السنة فلا فائدة منه لأنه خرج من دار التكليف إلى دار الجزاء، ولأنه غير قابل للتذكر، (لتنذر من كان حيا) .وصورة التلقين أن يؤمر بالشهادة، وما يذكر في بعض الكتب أنها تذكر عنده ولايؤمر بها خلاف سنه النبي صلى الله عليه وسلم كما حققته في ))
"Is hadis ke doosre hisse se malom howa ke qareeb-ul-maut aadmi ko kalimah tawheed ki talqeen karni chayiye taake woh apni zindagi ke ikhtitaam par kalimah padh kar kaamiyaab hosake, is hadis me "Mutaakum" se muraad qareeb-ul-maut loog hain, kionke zindah aadmi ko hi kalimah padhne ki sa'adat naseeb hosakti hai. Mumkin ha ke aise shakhs ko talqee ka faayedah ho aur wo "Ash'hado Laailaaha Illallah" kah de aur jannat ka mustahiq taher jaaye. Raha mas'alah kisi maiyit ke paas(jo zindah nahi hai) doosre logon ka ye kalimah padhna to ye ek bid'at hai, kisi hadis mein is ka koi zikar nahi hai, logon ka is tarah se kalimah padhne ka maiyit keliye koi faayedah nah hoga, kion ke wo is takleef-dah dunya se doosri dunya yani Dar-ul-jaza ko jaachuka hota hai.
Is hadis mein qareeb-ul-maut aadmi ko kalimah shahadat ki talqeen kane ka hokm diya gaya hai aur talqeen ki ye sorat hai ke qareeb-ul-maut shakhs ko kalimah padhne ka hokm idya jaaye, baaz kitabon me likha gaya hai ke maiyit ke paas kalimah shahadat ka wird karna chahiye aur maiyit ko is ka hokm nahi dena chahiye, yeh saraasar NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki sunnat ki mukhaalifat hai."

Aam taur par hamare haan(barre sagheer mein) ye tasawwor paayaa jaata hai ke qareeb-ul-maut shakhs ko kalimah shahadat padhne ka hokm naa diya jaaye balke us ke paas padha jaaye, kionke mumkin hai ke wo hokm ke jawaab me inkaar karde.

Yeh aam logon ki paidah kardah baat hai khud saakhtah sooch hai, likin is tarah se kisi bhi hadis me waarid nahi hai.

hamein is baat par ghour karna chahiye ke agar hum aise shakhs ke paas kalimah padna shoro kardein to woh qareeb-ul-maut shakhs ye bhi kahsakta hai ke tum logon ne yeh kya shoor sharaabah macha rakha hai.

Hame chahiye ke hum hadise RASOOL sallallahu alaihi wasallam par amal paira hon aur narmi ke saath qareeb-ul-maut shakhs ko kalimah shadat padhne ki talqeen karen taake uski aakhirat bahtar hojaaye.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
S Emaan 0

Similar threads


Top