MASJID MEIN GARDANEIN PHALAANG KAR AAGEY AANA


MASJID MEIN GARDANEIN PHALAANG KAR AAGEY AANA
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWALL:
Jo shakhs jumme ke din logon ki gardanein phalang kar agay aaye is ke baray mein kitaab o sunnat ka kya hukm hai?

JAWAB:
Jummay walay din jab masjid mein tashreef layein to jahan jagah mil jaye baith jayen, logon ki gardanein phalang kar agay bhedhne ki koshish nah karen. Agar agay jagah haasil karna maqsood ho to jaldi masjid mein tashreef layein taake agli saf mein jagah mil jaye aur pehle aane ka sawab bhi mil jaye.

Abdullah Bin Busar raziallahu-anhu bayaan karte hain ke:
كُنْتُ جَالِسًا إِلَى جَانِبِهِ يَوْمَ الْجُمُعَةِ فَقَالَ جَاءَ رَجُلٌ يَتَخَطَّى رِقَابَ النَّاسِ فَقَالَ لَهُ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَىِ اجْلِسْ فَقَدْ آذَيْتَ ‏"‏ ‏.‏
"Juma ke din RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam khutba day rahay thay ke ek aadmi logon ki gardanein phlangte howe agay aane laga to RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : tum ne logon ko aeza pohanchai hai aur(anay mein) der ki hai."(Sunan al-Nassayi, Kitab-ul-Juma, Hadis No.1398)

Maloom howe ke logon ki gardanein phalang kar agay barhna durust nahi, jahan jagah miley baith jana chahiye .
 

Similar threads


Top