Masail by Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Taif


Qurani taweez ka bhi wohe hukum hai jo shirkia umoor pr mushtmil ho ya Quran pr mushtmil taweez ka hukum jawaz k qabeel hai?

Jawab: Nabi ﷺ ne mutlaqn taweez se mna kia hai, farman e Rasool hai:
من علَّق تميمةً فقد أشركَ (صحيح الترغيب:3455)۔
Tarjumah: Jis ne kisi qisam ki taweez latkaye us ne shirk kia.
Jin logon ne qurani taweez ko jayez kaha hai aur jin chand dlaeel se istadlal kia hai wo qawi nhe hai. Qurani ayaat wesy b deewar o dar ya jisam wgera par latkna ahaanat k zumray mai aata hai. Mujhy sb se zyada herat un logon pr hai jinho ne quran ki tazeem mai had se zyada gulu kia aur phir qurani ayaat latka kar us ki toheen b krty hain balkay is ki kmaye khatay hain. Aik tarf quran ka adab to dusri tarf is ki toheen, ma'azAllah. Quran ka nuzool parhnay, samjhnay or us pr amal krnay k liye hua hai lehaza quran k nuzool k maqsad k khilf koi kaam nhe karna chahiye.

Jawab az Shaikh Maqubool Ahmad Salafi, (حفظه الله)
Islamic Dawah Center, Shumali Taif, Masra
 
Hijama par ujrat lena mana hai mgr kya koi isay aaj k taraqqi'yafta doar mai jahan hijama sciency aalat k zariye hota hai isay paisha k toar par apna sakty hain?

Jawab: Nisaye, ibn majah aur musnad ahmad wgera ki sahih hadees se maloom hota hai k Nabi ne hijama ki ujrat leny se mana kia hai mgr shahehain mai seengi lganay par Rasool ALLAH ne khud ujrat di hai is ka zikar hai. Dono qisam ki ahadees mojud hain, in dono ki roshni mai kaha jayi ga k seengi par ujrat lena krahat k saath jayez-o-halal hai.

Jawab az Shaikh Maqubool Ahmad Salafi, (حفظه الله)
Islamic Dawah Center, Shumali Taif, Masra
 
Beauty parlour mai job krnay ka shar'ye hukum kya hai?

Jawab: Beauty parlour mai gair shar'ye umoor se bachna boht mushki hai maslan abro tarashna, sar k baal chota krna, bila zrorat aurton ki muqamat-e-satr ko dekhna mehaz zebayesh k liye, kisi aurat ka haraam kaam ganay bjanay, ya shohar k ilawa dosray ajnabi mardon k liye singhar krna wgera. In k ilawa khen par mardon se ikhtlat hai to kisi khatoon ko is nokri k liye tanha ghr se bahir aamd-o-raft karni parti hai. In taam mufasid-o-na'jayez kaamo se bach kr aur shra'ye hudood mai reh kr agr koi aurat beauty parlour ka job kr skti hai to phir koi haraj nhe hai lekin agr gair shar'ye umoor se nhe bach skti hai to is surat mai ye job krna jayez nhe hoga. Aik lafz mai ye khain k bana-o-singhaar ka kaam fi'nafsih jayez hai aur is k paisha ikhtiyar kr k is pr ujrat hasil krna bhi jayez hai lekin is paishay mai na'jayez kaam karna paray to wo kmayee jayez nhe hai.

Jawab az Shaikh Maqubool Ahmad Salafi, (حفظه الله)
Islamic Dawah Center, Shumali Taif, Masra
 
Shrabi ki namaz-e-janazah aur us mai shirkat ka ky hukum hai?

Jawab: Shrab peena haram aur gunah-e-kabeera hai, is ka murtakib baray saza ka mustahiq hai al'bata wo daeera-e-islam se kharij nhe hai. Gunah-e-kabeera ka murtakib honay ki wjah se fasiq o fajir khain gai. Aisy muslman ki namaz-e-janazah parhi jayai gi aur aam log is k janazah mai shareek hongay ta'hum dosron ki naseehat k liye ulma aur saleeh afraad is mai shirkat na krain.

Jawab az Shaikh Maqubool Ahmad Salafi, (حفظه الله)
Islamic Dawah Center, Shumali Taif, Masra
 
Ikhri azaan dai kar dohari aqaamat keh saktay hain k nahi?

Jawab: Azaan ikhri nhe hoti aqaamat ikhri hoti hai, aur yehe asal hai jesa k hukme Rasool ﷺ moujod hai.

عن أنسٍ قال: أُمِرَ بلالٌ أن يَشْفَعَ الأذانَ، وأن يُوتِرَ الإقامةَ، إلَّا الإقامةَ. (صحيح البخاري:605)

Tarjumah: Hazrat Anas Radi ALLAH'hu Anh se riwayat hai, unho ne farmaya: Hazrat Bilal Radi ALLAH'hu Anh ko ye hukum dia gaya tha k azaan mai juft (2, 2 martaba) kalimat kahay or takbeer mai qad qa'ma'tis'sallah k ilawa deegar kalimaat taaq (1, 1 martaba) kahay.

Nabi Kareem ﷺ ki yehe sunnat Aap ﷺ k zamanay mai mamool bhi the jesa k Sayedina Ibn Umar Radi ALLAH'hu Anhuma bayan krty hain:

إنما كان الأذانُ على عهدِ رسولِ اللهِ صلى الله عليه وسلم مرتين مرتين والإقامةُ مرةً مرةً غيرَ أنه يقولُ قد قامتِ الصلاةُ قد قامتِ الصلاةُ فإذا سمِعنا الإقامةَ توضأنا ثم خرجنا إلى الصلاةِ.(صحيح أبي داود:510)

Tarjumah: Rasool ALLAH ﷺ k zamanay mai azaan k kalimaat 2, 2 baar kahay jatay thay aur aqaamat (takbeer) k 1, 1 baar. Siwaye is k k muazin «قد قامت الصلاة قد قامت الصلاة» kaha karta tha (yani 2 baar) to jab hum aqamat suntay to wuzu kar k namaz k liye nikal partay.

Chun'k Abu Mahzoora wali riwayat jo k Sunan Ibn Majah, Sunan Nisaee, Sunan Abi Dawud aur Sahih Ibn Habban wgera mai hai aur Sahih darja ki hai is wjah se koi dohri aqaamat kahay to is mai bhi muzaeqa nhe hai.

Jawab az Shaikh Maqubool Ahmad Salafi, (حفظه الله)
Islamic Dawah Center, Shumali Taif, Masra
 
ISHA KE BAAD 4 RAKAT SHAB E QADR ME QIYAAM JAISA.

SAWAAL: Kiya Ahsi Hadees Saabit Hai Ke Isha Ke Baad 4 Rakat Nafil Parhne Se Shab E Qadr Ke Qiyaam Ka Ajr Milta Hai?

JAWAAB: Kai Marfu Rivaayat Me Iska Zikr Hai Ke Isha Ke Baad 4 Rakat Lailatul Qadr Ke Barabar Hai Magar Koi Rivaayat Sahih Sanad Se Saabit Nahi Albatta Baaz Aasaar E Sahih Sanad Se Marwi Hai Jin Se Isha Ke Baad 4 Rakat Ka Ajr Shab E Qadr Jaisa Maloom Hota Hai Maslan
عن عبدالله بن مسعود رضي الله عنه قال من صلى أربعا بعد العشاء لما يفصل بينهن بتسليم عدلن بمثلهن من ليلة القدر.(المصنف:٢/١٢٧)
Tarjumah: Ibne Mas'aud RA Se Marwi Hai Woh Kehte Hai Ke Isha Ke Baad Ek Salaam Se 4 Rakat Parhe To Yah Laiylatul Qadr Ke Barabar Hai.
عن عبدالله بن عمرو رضي الله عنه قال من صلى أربعا بعد العشاء كن كقدرهن من ليلة القدر.(المصنف:١٢٧/٢)
Tarjumah: Ibne Umar RA Se Rivayat Hai Woh Kehte Hai Ke Jis Ne Isha Ke Baad 4 Rakat Parhi Uska Ajar Laiylatul Qadr Ki Tarah Hai.
عن عائشة رضي الله عنها قالت اربع بعد العشاء يعدلن بمثلهن من ليلة القدر.(المصنف ١٢٧/٢)
Tarjumah: Aaisha RA Se Rivayat Hai Woh Farmati Hai Ke Isha Ke Baad 4 Rakat Laiylatul Qadr Ke Barabar Hai.
Shaikh Albani RH Ne In Aasaar Ke Mutalliq Kaha Hai Ke Goya Yah Mauqoof Rivaayat Hai Magar Marfoo Ke Hukm Me Hai Kuy Ke Yah Baat Ijtihaad Se Nahi Kahi Ja Sakti Hai Jaisa Ke Zaahir Hai.

Fazilatush Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
 
KIYA SHAWWAL KE 6 ROZE RAKHNA MAKROOH HAI?

Is Silsile Me Imaam Shafai RH Aur Imaam Ahmad Bin Hambal Rh Ne Hadees Ki Roshni Me Shawwal Ke 6 Roze Rakhna Sahih Qaraar Diya Hai Magar Imaam Abu Hanifah Rh Ne Ise Makrooh Kaha Hai. Fatawah Aalamgeer Urdu,Kitaabus Siyaam Ke Tahat Mazkoor Hai "Shawwal Ke 6 Roze Rakhna Imaam Abu Hanifah RH Ke Nazdeek Makrooh Hai Chaahe Juda Juda Rakhe Ya Pedarpe Rakhe." Imaam Maalik RH Ki Taraf Bhi Karaahat Ka Qaul Mansoob Kiya Jata Hai.
In Dono Imaamo Ka Maslak Sahih Hadees Ke Khilaaf Hai,Is Wajah Se Yah Baat Rad Kar Di Jaae Aur Aysi Koi Bhi Baat Chaahe Uska Qaail Koi Bhi Ho Sunnat Ke Khilaaf Hone Par Deewaar Par Maar Di Jaaegi. Jaisa Ke Imaam Maalik RH Ne Kaha Hai.
Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Siwa Baqi Har Insaan Ki Baat Qabool Bhi Ki Ja Sakti Hai Aur Rad Bhi. (Irshaadus Saalik Li Ibne Abdul Haadi:1/227)

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
 
SHAWWAL KE 6 ROZO KA AJR

Jo Ramazanul Mubarak Ka Mukammal Rozah Rakhe Fir Uske Baad Shawwal Ke 6 Roze Rakhe Usko Pure Saal Ka Ajr Milta Hai Jaisa Ke Sahih Muslim 1164 Me Mazkoor Hai. Saal Bhar Ka Ajr Is Tarah Milta Hai Ke Qur'an(Ana'am:160) Ki Roshni Ke Ek Neki Ka Badla Kam Az Kam 10 Nekiya Hai Is Tarah Ek Mahine Ke ROZO Ka Ajr 10 Mahino Ke Barabar Hua Aur Shawwal Ke 6 Rozo Ka Badla 60 Yani 2 Mahino Ka Ajr. Goya Shawwal Ke 6 Rozo Ko Ramazan Ke Sath Milane Se Saal Bhar Ka Sawaab Milta Hai. Yahi Baat Ek Sahih Hadees Me Is Tarah Mazkoor Hai. Saubaan RA Se Rivayat Hai Ke Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Ramazan Ke Roze 10 Mahino Ke Barabar Hai Iske Baad 6 Roze 2 Mahino Ke Barabar Hai, Is Tarah se Pure Saal Ke Roze Bante Hai.
Is Liye Shawwal Ke 6 Roze Rakhne Ki Koshish Kare Fazilat Bhi Milegi Aur Bade Fawaaid Bhi Haasil Honge. Yah Gunaaho Ki Magfirat, Tazkiya E Nafs, Ramazan Ki Kotaahiyo Ka Tadaruk. Shukre Ilaahi Ki Ganimat,Mudawimat E Aamal Ka Shoq Aur Allah Ki Pasandidah Amal Hai Jis Par Hameshgi Kiya Gaya.

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top