Mahe Shaban Aur Shab e Barat Ki Haqeeqat Kya Hai? Aur Inme hone Wali Biddat ki Tahqeeq


Mahe Shaban Aur Shab e Barat Ki Haqeeqat Kya Hai? Aur Inme hone Wali Biddat ki Tahqeeq

بسم الله الرحمن الرحيم

Khalifa Harun Rashid Ke Daur Me Yahya Barmaki Ne Shaban Ki 15 Tareeq Ki Shab Ko Masjid Me Charagaan Ki Biddat Ko ijaad Kiya.

Aag Jala Ne Ki Aur Charagaan Ki Biddat Ko Baramkha Ne Shuru Kiya, Kyu Ke Wo Majoosi Tha (Aag Ki Pooja Karne Wala). Jab Wo Musalman Hua Toh Usne Is Aatish Parasti Ko Islam Me Dakhil Kar Diya, Logo Ko Ye Dhoka Dete Huye Ke Ye Bhi Deeni Tarika Hai, Halan Ke uska Maqsad Aag Ki Pooja Thi.

(Tohfatul Ahwazi Kitabus Sayaam Tirmizi Ki Arabi Sharah)

Aaj Musalman Bhi 15 Shabaan Ko Aatish-Bazi Karte Hai, Masjido Aur Kabrastano Ko Charagaan Karte Hai. Ye Sab Biddat Hai.

15 Shaban Ka Roza Rakhna, Masjido Me Raat Bhar Ibadat Karna, Halwa Aur Aalishaan Khane Pakana, Masjido, Kabrastano Ko Sajana, Kabro Ki Zyarat Karna Quran o Hadees Se Sabit Nahi.

Logo Ka Ye Aqeeda Hai Ke 15 Shaban Ko Taqdeer Ka Faisla Hota Hai, Ye Jhoot Hai. Ye Logo Ki Bahoot Badi Galat Fehmi Hai.

Taqdeer Ka Yani Rozi, Umr, Mout Wagera Aane Wale Saal Ke Liye Faisla, Ramadan Ki Shab E Qadr (Taaq Raato) Me Hota Hai.

Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:

Hum Ne Quran Ko Mubarak Raat (Shab-E-Qadr, Ramadan Ki Taaq Raato) Me Nazil Kiya, Usi Raat Me Hum Tamaam Hikmat (Taqdeer) Ke Kaam Faisal Karte Hai.

(Surah Ad-Dukhan Surah No.44 Ayat No.4-5)

Shaban Wo Mahina Hai, Jis Me Logo Ke Amaal Allah Ke Saam'ne Pesh Kiye Jaate Hai.

Osama Bin Zaid (رضي الله عنه) Se Rivayat Hai Ki Maine Rasool Allah {ﷺ} Ko Kisi Bhi Mahine Me Itne Zyada Roze Rakhte Huye Nahi Dekha, Jitna Rasool Allah {ﷺ} Shabaan Me Rakhte The.Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya: Ye Rajab Aur Ramadan Ke Beech Ka Wo Mahina Hai, Jis Se Log Ghaflat Ka Shikaar Hote Hai. Shaban Wo Mahina Hai, Jis Me Rabbul Aalameen Ke Paas Amaal Uthaye Jaate Hai, Lihaza Mai Is Baat Ko Pasand Karta Hoon Ke Baa Halat-E-Roza, Mere Amaal Uthaye Jaye.

(Sunan Nasai Jild No.2 Kitab Soum Hadees No.2378,Hasan)

Isi Mahine Me Rasool Allah {ﷺ} Ramadan Ke Baad Sab Se Zyada Rozey Rakhte Te.

Ayesha (رضي الله عنها) Kehti Hai:

"Jitne Nafil Roze, Rasool Allah {ﷺ} Shabaan Me Rakhte Te, Mai Ne Kisi Aur Mahine Me Rasool Allah {ﷺ} Ko Is Se Zyada Rozey Rakhte Huye Nahi Dekha."

(Sahih Al Bukhari Jild No.3 Kitab Us Soum Hadees No.1969)

Shaban Ke Mahine Me Zyada Se Zyada Rozey Rakhna Chahiye, Taaki Humare Amaal Sunnat Par Amal Karte Huye Allah {ﷻ} Ke Saam'ne Pesh Kiye Jaye.

Aaj Ummat-e-Muslimah Is Mahine Me Sunnat Par Amal Karne Ke Ba-Jaye Shirk, Biddat Aur Gunah Me Mubtila O Mulawwis Hai.

Jaisa Ke Eid Ka Din Samajh Kar Mele Ke Maanind; Dukano, Makano, Daraqto, Kabrastano, Gharo, Chhato, Masjido Ko Sajana, Chiragaan Karna, Qandile Roshan Karna, Barqi Qumqumey Lagana, Aatish-Bazi Karna, Halwe Mande Pakana, Jalse Munaqid Karna, Maqsoos Dua-Azhkaar Karna, Halqa Lagana, Qaas Din (15 Shaban) Ka Roza Rakhna, Salami Roza Rakhna, Qaza-E-Umri Naam Ki Namaz Padna, Qabrou Ki Zyarat Karna, Ijtimayi Duaein Karna, Murdo Ki Eid Manana. Ye Sab Biddat Hai Aur Sunnat Ke Qilaaf Hai.

15 Shabaan (Shab-e-Barat/Shab-e-Baraah):

15 Shabaan Ki Raat Ko Barr-E-Sagheer (India/Pakistan) Me Shab-e-Barat Ko Shab-e-Qadr Ke Naam Se Manaya Jaata Hai.

Qaas 15 Shabaan Ki Raat Ki Fazilat, Quran Aur Sahih Hadees Se Sabit Nahi Hai.

15 Shaban Ko Lekar Jitni Bhi Hadeesein Mashoor Hai, Wo Sab Zaeef Aur Mauzoo(Manghadat) Hai.

Baaz Log, Surah Dukhan Ki Ayat No.3 Aur Ayat No.4 Se Istidlaal Karte Hai Ke Is Me Jo "Laylat-Ul-Mubaraka" Ka Tazkira Hua Hai, Wo "Nisf-E-Shaban" (15 Shaban Ki Raat) Hai, Magar Ye Batil Qiyaas Hai.

Aur Un Zaeef Aur Mauzoo Hadeesou Ka Sahara Lete Huye Is Raat Ki Fazilat Bayan Karne Ki Koshish Karte Hai Aur Is Din Khud Saakhta Roza, Nafil Ibadaat, Infiraadi Ya Ijtimayi Taur Par Adaa Karte Hai, Jo Ke Sarasar Biddat Hai.

Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:

Beshak! Hum Ne Is (Quran) Ko Laylat-Ul-Mubaraka Me Utara Hai. Beshak! Hum Khabardaar Karne Wale Hai, Isi Raat Me Har Muamile Ka Hakimana Faisla Kiya Jaata Hai.

(Surah Ad-Dukhan Surah No.44, Ayat No. 3-4)

Baaz Logo Ne Iska Ghalat Qiyaas Karte Huye Is Raat Se Muraad 15 Shaban Ki Raat Liya Hai.

Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:

Ramzan Wo Mahina Hai, Jis Me Quran Nazil Kiya Gaya Hai.

(Surah Al-Baqarah Surah No.2 Ayat No.185)

Is Ayat Me Allah Ne Nuzool-e-Quran Ke Mahine Ki Ta'ayyun Farmayi Hai, Yani Laylat-Ul-Mubaraka, Shaban Ki Nahi Balki Ramzan Ki Raat Hai.

Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:

Hum Ne Ye Quran Ko Shab-E-Qadr Me Nazil Farmaya Hai.

(Surah Qadr Surah No.97 Ayat No.1)

Laylat-Ul-Mubaraka, Shab-E-Qadr Hi Ko Kehte Hai.

Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya:

Shab-e-Qadr Ko Ramadan Ke Aakhri Ashrey Ki Taaq Raato Me Talaash Karo.

(Sahih Al Bukhari Jild No.3 Kitab Lailatul Qadr Hadees No.2017)

Za'eef Aahadees ki Buniyaad per Kuch Aamaal:

1.Salaat-Ul-Alfiyah/Salaat-Ul-Bara'ah/Salaat-Ul-Khair (Hazaari Namaz):

Ali (رضي الله عنه) Se Manqool, "Jo Shaks 15 Shaban Ki Raat Ko 100 Rakat Namaz Padhe, Allah Uski Har Hajat Poori Karta Hai."

Imaam Ibn Jawzi [رحمه الله] Kehte Hai: Is Hadees Ke Mauzoo Hone Ke Bare Me Mujhe Koi Shak Nahi Aur Is Hadees Ke Teeno Tarq Me Majhool Aur Intehayi Darje Ke Zaeef Raawi Hai.

(Al-Mawdoo'aat:2/440-445)

Imaam Ibn Taymiyah [رحمه الله] Kehte Hai: 15 Shaban Ki Raat, 100 Rakat Wali Namaz, Bad-Tareen Biddato Me Se Hai.

(Al-Fatawa Al-Kubra 2/222-238)

Allamah Ash-Shawkani [رحمه الله] Kehte Hai: Ye Hadees Mauzoo Hai.

(Al-Fawaaid Al-Majmu'ah; Safa:1-2)

Mullah Ali Qaari Hanafi Kehte Hai: Salaat-Ul-Alfiyah, Be-Asal Aur Mauzoo Hai.

(Al-Masnoo Fi Maa'rifat Al-Hadith Al-Maudoo; Safa:259-260)

2.12 Rakat Wali Namaz:

Abu Hurairah (رضي الله عنه) Se Manqool, "Jo Shaks 15 Shaban Ki Raat Ko 12 Rakat Namaz Padhe, Jannat Me Apna Ghar Dekh Lega."

Allamah Suyooti [رحمه الله] Kehte Hai: Ye Hadees Aur Khud Sakhta Aur Mauzoo Hai.

(Al-Layli Al-Masnoo'ah:2/59)

Allamah Ibn Jawzi [رحمه الله] Kehte Hai: Ye Hadees Mauzoo Hai, Is Me Majhool Raawiyon Ki Ek Poori Jamat Paayi Jaati Hai.

(Al-Mawdoo'aat:2/440-445)

Imaam Ibn Qayyim Al-Jawziyyah [رحمه الله] Kehte Hai: Ye Hadees Mauzoo Hai.

(Al-Manaar Al-Muneef:177)

3. Qaza-E-Umri:

Aisi Koi Namaz Kahin Se Bhi Sabit Nahi Hai.15 Shaban Ki Raat Ko Ahle-Biddat Is Namaz Ko Adaa Karte Hai Aur Daawa Karte Hai Ke Umr Bhar Ki Tamaam Chhuti Huyi Namazo Ki Qaza, Sirf 2 Rakat Namaz Padne Se Poori Hoti Hai Nouzubillah. Iska Padna Biddat Hai.

Imaam Nawawi [رحمه الله] Kehte Hai: Maah-E-Rajab Me Salaat-Ur-Raghaayib Ke Naam Se M'aroof Namaz, Jo Ke Pehle Jumme Ki Raat Ko Maghrib Aur Isha Ke Darmiyan 12 Rakat Padi Jaati Hai Aur 15 Shaban Ki Raat Ko 100 Rakato Par Mushtamil Ek Aur Namaz Padi Jaati Hai. Ye Dono Namazein Munkar-Tareen Biddat Hai.

Kitab 'Quwwat-Ul-Quloob' Aur 'Ihya Uloom Ad-Deen.' In Namazo Ka Mazkoora Hone Se Dhoka Nahi Khana Chahiye Aur In Namazo Ke Bare Me Jo Hadeesein Bayan Ki Gayi Hai, In Se Bhi Dhoka Nahi Khana Chahiye. Ye Sab Batil Hai.

(Al-Majmoo Sharh Al-Mahazzab:3/548)

Allamah Maqdisi Kehte Hai: 15 Shaban Wali Namaz Ko 448 Hijri Me Ibn Abi Hamraa Ne ijaad Kiya.

(Al-Ibdaa Fi Maddaar Al-Ibtidaa; Safa:288)

448 Hijri Se Pehle Zamana Paak Tha Is Biddat Se.

Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya:

Jisne Hamare Is Deen Me Apni Taraf Se Koi Nayi Cheez Paida Ki, Jo Is Me Se Nahi Hai Toh Wo Mardood Hai (Yani Wo Deen Se Kharij Hai).

(Sahih Al Bukhari Jild No.4 Kitab Us Sulah Hadees No.2697)

Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya:

"Sabse Behtar Amr (Amal Ke Liye) Allah Ki Kitab Hai Aur Sabse Behtar Tareeqa Muhammad {ﷺ} Ke Tareeqa Hai Aur Sabse Badtareen Kaam Deen Mein Nayee Nayee Baton Ka Paida Karna Hai Aur Har Nayee Baat Gumrahi Hai

(Sunan Ibn Majah Jild No. Hadees Ni.45)

Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya:

Jismein Raayi Baraber Bhi Takabbur Hoga Wo Jannat Mein Daqil Nahi Hoga ".

(Sahih Muslim Jild No.1 Hadees No.166)

Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qubool Na Karna Takabur Ki Alamat Hai. Ye Jaanker Bhi Ke Ye Amal Ek Biddat Sabit Ho Chuka Hai ?

Allah {ﷻ} Ka Farmaan Hai:

''Us Din Unke Chehre Aag Me Ulat Palat Kiye Jaenge (Wo Afsoos) Se Kahenge Kash Humne Allah Subhanawata Ala Aur Rasool Allah {ﷺ} Ki Ita'at Karte Aur Kahenge Aye Hamare Rab Humne Apne Sardaro Aur Apne Bado Ki Mani Jinho Ne Hume Rah Rasth Se Bhadka Diya Unhe Dugna Aazaab De Aur Un Per Bahoth Badi Lanath Nazil Farma.

(Surah Ahzaab Surah No.33 Ayat No.66-68)

Allah Hum Sabko Biddaton Se Mehfuz Rakhe , Quran Aur Sahih Hadees Per Amal Kerne Ki Nek toufeeq Nek Hidayat Ata Farmaye Hamari Ibadatou Ko Qabul Farmaye Aameen

Allah {ﷻ} Tamaam Musalmano Ko Haq Baat Qubool Karne Ki Toufeeq Ata Farmaye, Aur Biddat Aur Khurafaat Se Mehfooz Rakhein

Ameen Ya Rabbul Aalameen
 

Similar threads


Top