MAAHE SAFAR KE MANHOOS HONE KI HAQEEQATH AUR ISME HONE WAALE JAHILIYYATH KE KAAMON KA JAYEZAH:


Shona shaikh

Active member
* MAAHE SAFAR KE MANHOOS HONE KI HAQEEQATH AUR ISME HONE WALE JAHILIYYATH KE KAAMON KA JAYEZA:*


1)*☆ _MAAHE SAFAR:_*

2)*☆ _MAAHE SAFAR KI WAJAH TASMIYA:_*

3)*☆ _KYA MAAHE SAFAR YA KOI AUR CHEEZ MANHOOS HOSAKTI HAI?_*

4)*☆ _BADSHUGOONI KISE KEHTE HAIN?_*

5)*☆ _QUR’AN SE BADSHUGOONI YA BADFAALI LENE KI MUMANI’AT:_*

6)*☆ _AHAADEES SE BADSHUGOONI YA BADFAALI LENE KI MUMANI’AT:_*

7)*☆ _MAAHE SAFAR ME HONE WAALE JAHILIYAT KE KUCH RUSUMAAT:_*

8)*☆ _MAAHE SAFAR AUR TERA (13) TEZI:_*

9)*☆ _BADSHUGOONI KE NUQSANAATH:_*

10)*☆ _BADSHUGOONI KI BIMARI KA ILAAJ:_*

1) *MAAHE SAFAR:*
Safar islami saal ka dusra Mahina hai, islami saal ke 12 Mahino me se aksar ke fazael qur’an wo hadees me bayan hue hain, Deene islam ek mukammil zaabta hayath hai, nabi ﷺ ne zindagi guzaarne ke tamaam usool bayan farmadiye, Ab agar koi Deen se hatkar apni mahdood aur khud saakhta sonch se koi Amal tarash ke use Deen me shamil karne ki koshish karta hai aur logon ko uski janib dawat deta hai to aisa shakhs apne us amal se is baath ka izhaar karta hai ke nabi ﷺ ne ALLAH ke paigham bandon tak pahunchane me khayanath ki. (A’oozubillah)

Aur ye hargiz mumkin hi nahi hai ke aap ﷺ ne hame Deen ki baath na pahunchayi ho, jaisa ke ALLAH ta’ala ne farmaya: _‘’Aye Rasool ! Jo aap par aapke rab ne nazil farmaya hai use (logon) tak pahuncha dijiye, agar aapne aisa na kiya to aapne risaalath ka haq Ada na kiya’’._
[Al-Qur’an, Sureh maidah, Ayat no.67]

Aur hajjat-ul-wida ke mauqe par Aap ﷺ ne tamaam sahaba se Muqatib hokar farmaya:
_“Main Tumme wo cheez chodhkar jaa raha hun Jabtak tum use mazbooti se pakde rahoge (toh) kabhi gumraah nahi honge, wo ALLAH ki kitaab hai aur haan tumhe mere baarey me poocha jayega toh tum kya kahogey? sab ne kaha ke hum gawahi dete hain ke Aapne (ALLAH ka) paigham (Logon tak) pahunchaadiya, Amanat Adaa kardi aur khair khwaahi aur naseehat kardi, toh Aap ﷺ ne shahadat ki ungli ko Aasmaan ki taraf uthaakar logon ki taraf jhukaya aur kaha : AYE ALLAH! Gawaah Hoja, AYE ALLAH! Gawaah Hoja, Aye ALLAH! Gawaah Hoja (Ya’ni Maine tera Deen logon tak pahunchadiya).”_
[Sahih muslim, kitaab-ul-Haj -2950]

Qur’an-E-Majeed ki Ayate mubaraka aur Ahadeese mubaraka se ye saaf pata chalgaya hai ke Deen me jitney bhi khair (bhalayi) ke kaam jiske karne se insaan ko faida hoga, Aap ﷺ ne har wo khair ke kaam ummat tak pahunchadiye aur isi tarah jitney buraayi ke kaam jiske karne se insaan ko nuqsaan hoga, Aap ﷺ ne har wo bure kaam se bachne ke liye ummat ko Aagaah (Warning) kardiya hai.
Jaisa ke ALLAH Taa’la ne irshad farmaya:
_“Aaj maine tumhare liye Deen ko mukammil (Complete) kardiya aur tum par apna In’am bharpoor kardiya aur tumhare liye Islam ke Deen hone par razamand Hogaya.”_
[Al Qur’an, Surah Maida, Ayath no.3]

Ab agar koi Shaks ye kahta hai ke safar ka Mahina ya koi aur Mahina manhoos hai, toh use ye manhoosiyat ALLAH ke Qur’an se ya nabi ﷺ Ke farmaan se sabit karna padhega aur isi tarha koi shaks ye kahe ke Falaan Mahina itni itni Fazeelath ka Hamil Hai, toh use bhi ye fazeelat ALLAH ke Qur’an se Ya nabi ﷺ ke sahih Ahadeese Mubaraka se Sabit karna padhega aur agar inn do cheezon se saabith na kar paaye toh use Radh (Reject) kardiya jayega, jaisa ke pyaare nabi ﷺ ka farmaan hai :
_“jisne Hamare Deen me aisa kaam Ejaad (Invent) kiya jo iss (Deen) me se nahin toh use Radh kardiya jayega.”_
[Sahih Bukhari, Kitaab-ul-sulah-2697, Sahih muslim-1718]

2) *MAAHE SAFAR KI WAJAH TASMIYA*:
Safar islami saal ka dusra Mahina hai, Hurmat (ehteraam) waale Chaar (4) mahine hain, Rajab, Zulq’adah, Zul Hijjah, Muharam Hai.
[Al Qur’an, Surah Tawbah Ayath No.36, Sahih Bukhari, Kitaab-ut-Tafseer-4662]

Inn chaar (4) Mahino me arab waale log jung nahi karte the, talwaaro’n ko band karlete aur apne gharo’n me Aaraam karte, lootmaar se rukjaate aur apne dushmano se bekhauf hojaate, Aakhiri Hurmat waale teen (3) mahine Ya’ni, Zulq’adah, Zul Hijjah aur muharram chunk ke ek dusre ke peeche eksaat aate the isliye jaisa hi ye mahiney khatam hote aur maahe safar ka Aagaaz (Start) hota toh arab waale ladayi ke liye phir Safar (journey) ko rawana hojaate aur gharo’n ko khaali chodhjaate hai, isi munasibat se iss Maah ko safar kaha jaane laga jaisa ke arab waale kehte hai “SAFAR UL MAKAAN” (makaan khali hogaya) , goya maahe safar ke aaghaz par hi ladaiyo’n ki ibteda hojaati, ghar khaali rehjaate, isliye arab waale zuhoor islam se pahle zamane jahiliyat me safar ke mahine ko manhoos samajhe.

3) *KYA MAAHE SAFAR YA KOI AUR CHEEZ MANHOOS HOSAKTI HAI?*
ALLAH ke Rasool ﷺ ne farmaya:
_“Agar nahoosat kisi cheez me hoti toh Ghar, Aurath aur Ghode (Horse) me hoti “._
[Sahih Bukhari, kitab-un-Nikah -5094, sahih Muslim, kitaab-us-Salam -5807]

Iss hadees se pata chala ke nahoosat ya badshugooni kisi cheez me hoti toh in teen chezo’n me hoti, kyunke hadees ke alfaaz “INN KAANASH SHAWM”* aaye hai, Matlab Agar kisi me hoti toh* Hai, Iska matlab hai ke nahoosat kisi cheez me bhi nahi hai, Na safar ke mahine me aur Na hi ghar,Aurat ya ghode me. Jaisa ke ek hadees me Aap ﷺ Ne farmaya:
_“Agar mere baad koi nabi hota toh Umar Bin Khattab hote.”_
[Sunan Tirmezi, Kitab-ul-Fazail -3686, Isnadah hasan]

Iss hadees ke alfaaz bhi “LAW KAANA” ke Aaye Hain matlab ke agar mere baad koi nabi Hota Toh…
Iss hadees ka ye matlab hargiz nahin ke Aap ﷺ ke baad Umar (Radhi’ALLAHuAnhu) Nabi Hai, Balke is hadees ka matlab ye hai ke agar koi nabi hote ya nabuwat ke Muqaam ki tarha kisi ko ALLAH fayez karta toh Umar (Radhi’ALLAHuAnhu) ko karta magar Aap ﷺ ke baad koi nabi Nahin hosakte, theek isi tarha nahoosat koi cheez nahin hai, agar nahoosat ya badshugooni koi cheez hoti toh wo maahe safar me nahin balke Ghar, Aurat aur ghodo’n me hoti thi, kyunke Aam taur par duniya me aam jhagde aur fasaadh aurton, jaizaad aur ghode ya’ni fauj ke jhagdon ki wajah se hi hote hain, isliye is hadees me inn teen cheezon ka zikar kiya gaya iske alawa beshumaar Ahadees hai jinme Nahoosat ki nafi (neglect) ki gayi hai.

4) *BADSHUGOONI KISE KEHTE HAIN?*
Shugoon Ka mana Hai “Faal lena” Ya’ni kisi cheez, shaks, Amal, Awaaz, Mahina ya waqt ko apne haq me Bura samjhna aur uss cheez me Nahoosat Jaanna ‘Badshugooni’ kehlata hai.
Islam me jab Nahoosat ka tasawwur hi nahi hai toh kisi cheez ko dekhkar ya sunkar use badshugooni ya badfaali lena ye Islam ka hissa nahi hosakta, Masalan ek shaks safar ke iraade se ghar se nikla lekin Raaste me kaali Billi raasta kaatkar guzargayi, aur uss shaks ne ye yaqeen karliya ke iski Nahoosat ki wajah se mujhe safar me zaroor koi nuqsaan uthana padega aur ye darr se wo safar karne se rukjaata hai toh aisa karna badshugooni me mubtala (involve) hona hai, aur shari’at me iss cheez ko na sirf mana kiya balke ise HARAAM aur SHIRK qaraar diya hai.Kisi shaqs, Jagah, Cheez, Waqt ya mahine ko Manhoos jaanne ka Islaam me koi Tasawwur nahi hai, ye mehaz Wehmi Khayalat hote hai.

5) *QUR’AN SE BADSHUGOONI YA BADFAALI LENE KI MUMANI’AT:*

1.ALLAH Taa’la ne fir’auniyoun ka tarze amal Apne Qur’an-e-Muqaddas me pesh kiya:

_“ Aur bila shuba yaqeenan hamne fir’aun ki Aal ko qahed Saliyon Aur paidawaar ki kami me mubtela kar diya, taake wo nasihat pakde, so jab Unpar khush haali aajati toh wo (fir’aun ke log) kehte hai ki ye toh hamare liye hona hi chahiye aur Agar unko koi takleef pahonchti toh moosa (Alaihisalam) aur unke saathiyon ki Nahoosath bathlaate.”_
[Al Qur’an, sureh Aa’raf Ayath no 130,131]

Iss ayath se pata chala ke kisi cheez me Nahoosat samajna ya usse badshugooni lena fir’auniyoun ka kaam hai, par afsos ke aaj ke kuch musalman bhi inhi fir’auniyoun ke naqshe khadam Par chalte hue maahe safar ko manhoos Samajhte hai aur is mahine me shadiyou se rukh jate hai.

2.aur ek dusri ayath me ALLAH ne munafiqoun ka tarze amal apne Qur’an muqaddas me paish kiya:

_“ (ye munafiqeen ko) Agar unhe koi bhalayi pahonchti toh kehte hai ke ye ALLAH ki taraf se hai Aur agar unhe koi burayi pahonchti hai toh kehte hai ke Aap ﷺ ki taraf se hai, (Aye Nabi) aap kehdijiye sab ALLAH ki taraf se hai.”_
[ Al Qur’an,sureh Nisa, Ayath no -78]

Iss ayath se bhi Wazeh pata chala ki kisi cheez me Nahoosat samajhna aur usse badshugooni ya badfaali lena ye munafiqeen ka amal hai, Par Afsos ke aaj ummat e muslima ke kuch log in munafiqeen ke amal ko apna kar ALLAH ke Mahinoun ko bura kehte hai. (Astaghfirullah)

6) *AHAADEES SE BADSHUGOONI YA BADFAALI LENE KI MUMANI’AT:*

1.Syedna Abu Hurairah (Radhi’ALLAHuAnhu) ne Rasool ALLAH ﷺ ko farmate hue suna
_“LAA TIYARAH” Matlab Badshugooni kuch bhi nahi._ [ sahih Bukhari, Kitab-ut-tibb-5754, sahih Muslim -2223]

2. Ibn-e-Abbas (Radhi’ALLAHuAnhu) Bayan karte hai ke
_“Rasoolullah ﷺ badshugooni nahi lete the.”_
[Musnad-e-Ahmad -1/257, 304,319,
mishkatul masabeeh -4582 wasand hasan]


3.Abdullah bin masood (Radhi’ALLAHuAnhu) bayan karte hai ke Rasoolullahﷺ ne farmaya: _‘’Badshugooni lena SHIRK hai, Badshugooni lena SHIRK hai, Badshugooni lena SHIRK hai.”_
[sunan Abu Dawood,kitab-ul-kahanatil watTatayyur-3910, sunan Tirmizi -1614 isnada saheeh]

4.Muawiya bin hakam bayan karte hai ke maine Arz kiya ALLAH ke Rasool! ﷺ kuch aise kaam hai jo ham daure jahiliyat me kiya karte the, ham kaahino [fortune teller] ke paas jaya karte the toh Aap ﷺ ne farmaya: _“ tum kaahino ke paas naa jaaya karo”, wo bayan karte hai ke maine arz kiya: ham parindo ke zariye se faal liya karte the, toh Aap ﷺ ne farmaya: “ye aisi cheez hai tum me se koi apne dil me pata hai, wo ( faal lena ) tumhe ( kaam karne se) naa roke.”_
[ sahih Muslim -537]

Zamane jahiliyat me safar (journey) me jaane se pahle parindo ko udhaya karte the, agar wo daaye ( right side) udhta toh safar me jaate the aur Agar wo baaye (left side) udhta toh usko Nahoosat samajh kar ruk jaate the, is hadees me Aap ﷺ ne aise kaam karne se mana farmaya aur ye sabb kaam zamane jahiliyat ke hai jaise ke aaj kuch log toota (parrot) faal ki shakal me karte hai.
Haqeeqat me badshugooni ya badfaali lena inn kahino, najumiyo (Astrology), jadugaro, aur chor murshido ke aqeede se hi aaya hai, jo masoom awaam se paiso ki khatir unhe gumrah karte hai.

5. Aise pakhandi kahino, toota faal walo ke bare me Aap ﷺ ne irshad farmaya: _“jo shaks kisi kaahin ke paas gaya aur uski baaton ki tasdeeq (belief) ki toh wo (shaks) bezaar hai us (shari’at) par jo Muhammad ﷺ par utari gayi hai (yani usne AAP ﷺ par nazil shuda shari’at ka inkar kiya)”._
[ Sunan Abu Dawood, kitab-ul-tahanati wat tattayur –3904, Musnad e Ahmad 2/408 wasand Hasan,qala Shaikh Zubair ali zai]

Par afsos hai aaj hamare aksar Musalman khusoosan Aurtein inn kahino, pakhandiyo aur jaadugaro ke chakkaro me phas kar kufr ka irtikab kar baith the hai. ALLAH hamare muslamano ko is daldal se bachaye AAMEEN.

6. Syedna Abu Hurairah (Radhi’ALLAHuAnhu) bayaan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: _“Na koi bimaari muta’adi hai aur Na koi badshugooni aur Na Ullu (OWL) Manhoos hai aur Na hi (Maahe) safar Manhoos hai (Aur ek hadees me Ye Alfaaz Izafa hai ke “Na koi Sitara (star) Manhoos Hai_”
-Sahih Muslim -2220), [sahih Bukhari –kitab dawa aur ilaj ka bayan-5707)
Iss hadees me chaar (4) cheezon ki mazammat ki gayi hai …..

“LAA ADWA” Ya’ni Ko beemari mut’adi nahi, iska matlab ye hai ke ek ki beemari dusre ko nahin lagti jise ‘Chooth chaath’ bhi Kehte Hai, zamane jahiliyat me logon ka E’teqad (intention) tha ke jo shaks kisi beemar ke saath uthe baithe, uske saath khaye piyega, toh uski beemari use bhi lagjayegi lehaza iski tardeed farmayi gayi ke koi beemari ‘FEE NAFSIHI’ muta’di nahi.
TANMBEEH: yaad rahe ke maujooda daur ke science’daan aur doctors jaraseem (bacteria) ke zariye se beemari pehelne ke qayal hai aur is hadees me ‘FEE NAFSIHI’ koi beemari nahi phailti kaha gaya hai.

“WALAA TIYARAH” Ya’ni badshugooni koi cheez nahin hai, ye hamare mauzu ke mutalliq hai jo humne pehle bayaan kardiya hai ke badshugooni ya badafa’ali lena kafiro’n, fir’aoniyon aur munafiqon ka tarzeh amal hai.

“WALAA HAAMMAH” Ya’ni Na Ullu manhoos hai, Daur-E-Jahiliyat me logon ka ye et’eqaad tha ke Agar ghar par Ullu Aakar Baithe toh Wo ghar Veeran Hojata hai Ya Uss ghar Ka Koi Fardh Marjaata hai Issliye log use manhoos samjhte the jaisa ke aaj bhi Baaz Logon ka yahi Qayaal hai.

“WALAA SAFAR” ya’ni (MAAHE) safar manhoos nahi, ye bhi hamare mauzu ke mutalliq Hai jo humne pehle bhi upar bayaan kardiya hai ke maahe safar ko manhoos samajhna ye ek jahiliyat ka tasawwur hai jaisa ke Sunan Abudawud ki Ek riwayat me hai ke :
_“Ibn Rashid Se (MAAHE) Safar ke Mutalliq pucha gaya toh unhone Kaha : Ahle Jahiliyat iss (MAAHE) safar ko manhoos samjhte the toh nabi ﷺ Ne iski Nafi[Neglect] Farmaadi.”_
[Sunan Abudawud -3916]

Qur’an-E-Kareem ki ayaton se aur AHAADEESe mubaraka se ye saaf pata chalgaya ke Nahoosat koi cheez nahi, Badshugooni ki isalm me koi haqeeqat nahi ye sirf insaan ka wahem hota hai aur isse musalmanon ko bachna chahiye kyunke ye kaam HARAAM aur SHIRK hai.

7) *MAAHE SAFAR ME HONE WAALE JAHILIYAT KE KUCH RUSUMAAT:*


ALLAH Taa’la Ne farmaya _“Mahinon Ki ginti ALLAH ke nazdeeq 12 hai, usi din se jabse Aasmaan wo zameen ko usne paida kiya inn (12 Mahinon) me se chaar (4) Hurmat wa Adab ke hain”_.[AL Qur’an, Surah tawbah ayath no.36]

Zara Sonchiye ke insaan kitna neeche girchuka hai is ayate mubaraka me ALLAH ne Ye Ailaan kiya ke Mahinon ki ginti ko ALLAH ne muqarrar ki aur in me se Chaar (4) Mahino ko Fazeelat bakshi aur insaan hai ke ALLAH ke Inn Mahinon ko Jise Usne Muqarrar Kiya Aur Apni Kitaab Me 12 Mahinon Ka Tazkira kiya toh inhi Mahinon ko kuch log aaj manhoos kehte hai kya ALLAH ne hamare liye manhoos Mahine Ko Paida kiya ? (NA’OOZUBILLAH HARGIZ NAHIN)

*_(Nahi hai cheez Nikammi koi Zamane MEIN,_*
*_Nahi Hai Koi Burayi Khudrath Ke Kaarkhaane Me….)_*


8) *MAAHE SAFAR AUR TERA (13) TEZI:*

Baaz johla ne toh maahe safar ka naam hi ‘Tera Tezi’ rakhdiya hai, kyun ke wo samjhte hai ke iski pehli tera Tareeqein sakht Bhaari aur tezz hoti hai inme kasrat se balau’n, Aafat aur fitno’n Ka Nuzool hota hai lehaza baaz log 13 tareeq ko chano’n ke upar Anda (EGGS) apne Siranon ke paas raat me rakhkar sote hai aur subah uthkar usey Ghair muslim ko sadqa kardete hain aur ye samajhtey hain ke saari balayein unke jism se Talgayi.
Halaanke Syedna yaqoob (Alayhissalam) khud apne Bachon se kisi museebat ko Taalne ki Taqat Nahin rakhte Jaisa ke Qur’an me Aya hai ……
_“Aur (Yaqoob Alayhis salam) Ne Kaha Aye mere bachon! Main ALLAH ki taraf se aane wali kisi cheez ko tumse taal nahin sakta, Hukm Sirf ALLAH hi ka chalta Hai mera kaamil Bharosa usi par hai Aur har ek bharosa karne waale ko usi par bharosa karna chaahiye.”_
[ AL QUR’AN, Surah yusuf, ayath no.67]

Zara sonchiye ke jab waqt ke Nabi YAQOOB (Alayhisalam) apne bacchon par aane wali musibat ko taal nahi sakte to bhala bataiye ke murgi ke Ande, Dhaag’e, Naa’de Taweezein [Amulets] hamari kya musibatein dur kar sakte hai.

_*(Kiyun Maanghte Ho Mannatein Auron Ke Darbaar Se,*_
_*Wo Kaunsa Kaam Hai Jo Hota Nahi Tere Parwardigaar se…..)*_

Shari’at me TERA TEZI ki koi haqeeqat nahi hai. Yeh sirf logo ka waham aur ek jahiliyat ki rasam hai.
Aise hi kuch logo ka ye E’teqad hai ke is mahine main Jinnat ka nazool hota hai aur kuch log is mahine ke ekhtetaam (ending) par ghar ke Makhdi ke jaale saaf karte hai Aur kuch log is maah (month) ke aakhri chaar (4) shumbe (Wenesday) ko sadqa karte hai aur kuch log is maah me shaadiyan karne se ruk jate hai, yeh sub Bebuniyaad baatein hai.

Is ke alawa aur bhi jahiliyat ke tasawwuraat hamare yahan mashHoor hai jaise:


Tota (Parrot) Faal se badh shugooni lena,

Kabhi kisi waqt ya din ya Mahina ya kisi cheez ko manhoos samajhna,

Raaste say jaate waqt Billi (cat) ke raasta kaat ne par safar say ruk jana

Mehmaan ke jane ke baad ghar main jhadu (broom) dene ko manhoos samajhna,

Bayi (left) aankh phadke (Blinking) toh yeh yaqeen kar lena ke koi musibat aane wali hai,

Dayi’n (right) Hateli ki khujli (Itching) par yeh yaqeen karna ke paisa ya khushi Aane waali hai,

Qali Khainchi (scissor) chalane se ghar main ladayi hone ka Tasawwur kar lena,

Dukaan main pehla aadmi udhar wala nahi aana warna pura din accha nahi jata,

Sitaro (Stars) say acchi ya buri faal lena,

Kisi ka Kangha (Comb) istemaal karne say dono main jhagde hote hai,

Baigan (Brinjal) ko aadha kaatne par yeh Tasawwur karna ke bacche bhenge (Squint) paida hote hai,

Kisi ko jhadu (Broom) lag jane say wo dubla ya bimaar ho jata hai,

Namak (Salt) zameen par girne par paani bahana warna use Qayamath ke din palko’n say uthana padhega,

Subha main uth’te hi falan ki surat dekhne par ye tasawwur karlena ke din accha nahi jata,

Aaina (mirror) tootne say Nahoosat aati hai waghairah…

Isi tarha ke aur bhi beshumaar jahiliyat aur hinduon ke rusumaat hamare yahan bhi rayej (add) ho gaye hai. In tamaam jahilana rusumaat ke bare me Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya: ‘’Khabardar! Jahiliyat ke har kaam mere dono Qadhmo ke neeche {Raundhi hui (Crushed)} hai.”
_[Sahin Muslim, _Kitaab_-Ul-Hajj – 2950]_

Aur dusri hadees main Aap ﷺ nay irshaad farmaya: _“Meri UMMATH main chaar (4) kaam jahiliyat wale honge jin ko (kuch) log nahi chodenge,_
_1. Hasab wa Nasab mian faqr,_
_2. Nasab main Taan wa Aaib,_
_3. Sitaron ke zariye Barish talab karna,_
_4. Noha karna.”_
[Sahin Muslim, Kitab-ul- Janaiz–2160]

Aur ek martaba _Abu dhar (Radhi’ALLAHu Anhu) apne ghulam ke kuch kaam ki wajah se gusse main use bura bhala kaha aur uss ki maa ki ghairat dilayi [yani bura kaha], toh jab Rasoolullah ﷺ ko is baath ka pata chala toh aap ﷺ nay un say gusse main farmaya: _“Aye Abu dhar! Tu nay uss (ghulam) ke maa ke naam say ghairat dilayi, beshak tujh main abhi bhi zamane jahiliyat ka kuch asar baaqi hai.”_
[Sahin Bukhari, Kitab-Ul-Imaan – 31]

Zamane jahiliyat se jitna Aap ﷺ nafrath karte thay utna hi aaj UMMAT ke kuch log inhi rusumaat main ghere hue hai aur in jahiliyat ke rusumaat main say ek Ahem role BADSHUGOONI ka hai.
Jis ki wajah se Insaan, Waqt aur Mahino ko manhus kehta hai, use bura bhala kehta hai halan ke Mahina aur waqt zamane se hai aur ALLAH ne zamane ko gali dene se manaa farmaya hai. Jaisa ke Hadees-e-Qudsi hai: _“Rasool’ALLAH ﷺ ne farmaya ke ALLAH talaa farmata hai: Ibn-e-Aadam mujhe takleef pahunchata hai wo zamane ko gali deta hai halan ke main hi Zamana hun, mere hi haath main sub kuch hai, mai hi Raat aur Din ko pherta hu.”_
[Sahin al Bukhari, Kitab-Ut-Tafseer – 4826]


9) *BADSHUGOONI KE NUQSANAATH:*


Badshugooni lene me sabse bada nuqsaan ye hai ke insaan ka ALLAH ta’la par etemaad aur tawakkul kamzor hojata hai aur wo ALLAH par tawakkul karne ke bajaye kutta,billi,taweezon,gande, paliton par bharosa karne lagta hai,

Badshugooni lene wale ka taqdeer par imaan kamzor hone lagta hai aur saath hi saath shaitani was- wason ka darwaza khuljata hai,

Badfa’ali se admi ke andar tawahhum parasti (yani wehmi bimari), buzdili, dar Aur khauf, pasth himmati aur tang dili paida hojati hai,

Jab wo kisi kaam me Na kaam hota hai to uska zimmedar falan falan cheez ko thaira deta hai, halan ke wo uski hi kotahi,susti aur ghalti ki waja se Na kaami hoti hai,

Is badshugooni ki wajah se rishte naate toot jaate hain aur ek dusre Par jaadu aur kaale kartoot karne ke liye kahino, jaadugaroun ke paas jaate hai jiski wajah se insaan ki namazein qubool nahi hoti jaisa ke farmane Rasool ﷺ hai:
_’’ jo shaqs najoomi ke paas jaaye usse koi bath pooche to uski 40 din ki namaz qubool Na hogi“._
[sahih muslim –kitab us salam-5821]

10) *BADSHUGOONI KI BIMARI KA ILAAJ:*


Badshugooni ki bimari ka ilaaj sirf ek hi hai aur wo ALLAH ki ma’rifat hai yani ALLAH ko pehchaanna aur ALLAH ki qudrat ko janna aur usi par tawakkul, bharosa aur umeed lagana hai jaisa ke ALLAH ne farmaya hai : _”Aur inlogon ne ALLAH ki jaisi qadar karni thi waisi qadar nahi ki “._
[Al-Qur’an, sureh An’am-ayat no.91]
aur ek muqaam par ALLAH ta’ala Farmata hai: _‘’bekas ki pukaar ko,jabke wo pukaare kaun qubool karta hai? Aur tumme zameen ka khalifa banata hai,kia ALLAH ke sath koi aur mabood bhi hai? Tum bahot kum nasihat aur ibrat hasil karte ho, kia wo jo tumhe qushki aur tareekioun me Raah (way) dikhaata hai aur jo apni rehmat se pehle hi khush khabriyaan dene wali hawaein chalata hai, kia ALLAH ke sath koi aur bhi mabood hai? Jinhe ye shareek karte hain, un sub se ALLAH buland wa-bala tar hai.”_
[Al Qur’an – sureh namal- ayat no 62,63].

Jis insan ki taqdeer me takleef likhi ho to is takleef ko koi door nahi karsakta jaisa ke _“ibne Abbas (Razi’ALLAHu anhu) se riwayat hai ke, ek din mai Rasool ﷺ ke peeche (baitha hua) tha to aap ne farmaya: Aye ladhke! Mai tujhe kuch baate sikhaata hun, ALLAH ko yaad rakh wo tujhe yaad rakhe ga, ALLAH ko yaad rakh to usse (uski madad) apne samne paaye ga, jab sawal kare to ALLAH se sawal kar aur jab madad mange to ALLAH se madad mang aur jaan le ke agar sab log tujhe faida pahunchana chahe to tujhe sirf wahi faida pahunche ga jo ALLAH ne tere liye likh rakha hai aur agar saare log tujhe nuqsaan pahunchana chahe to tujhe sirf wahi nuqsaan pahunch sakta hai jo ALLAH ne tere liye likh rakha hai.”_
[sunan Tirmizi -2516 wa sanad hasan]

In tamaam baathon ka khulasa ye hai ke jab ALLAH kisi ko takleef uske gunahon ke badle de to use koi Rok nahi sakta aur ALLAH kisi ko bhalayi dena chahe to saari dunya milkar use nuqsaan nahi pahuncha sakte hai.
Aakhir me ALLAH ta’ala se dua hai ke ALLAH hame badshugooni se bachaye, zamaane jahiliyyat ke tamaam rusoomaath se bachaye rakhe aur kahino, jadugaro ke fitne se is ummat ke logo ko mahfooz rakhe, Aameen!
 

Similar threads


Top