Maahe Rajab Aur Daur E Haazir Ke Musalmaan


Maahe Rajab Aur Daur E Haazir Ke Musalmaan

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif
Romanised: Khadija Muhammadi

Allaah Ne Year Ke 12 Month Kaainaat Ki Paidaish Se Hi Mutayyan Farma Diye,Un Me 4 Mahino Ko Usi Din Se Hurmat Bakhshi Hai Jinhe Ashharul Hurum (Dil Qaadah,Dil Hijjah, Muharram,Rajab) Kaha Jata Hai. Hurmat Wale 4 Mahino Me Rajab Bhi Ek Mahina Hai. Farmaan E Ilaahi Hai:
اِنَّ عِدَّۃَ الشُّہُوۡرِ عِنۡدَ اللّٰہِ اثۡنَا عَشَرَ شَہۡرًا فِیۡ کِتٰبِ اللّٰہِ یَوۡمَ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ مِنۡہَاۤ اَرۡبَعَۃٌ حُرُمٌ ؕ ذٰلِکَ الدِّیۡنُ الۡقَیِّمُ ۬ ۙ فَلَا تَظۡلِمُوۡا فِیۡہِنَّ اَنۡفُسَکُمۡ وَ قَاتِلُوا الۡمُشۡرِکِیۡنَ کَآفَّۃً کَمَا یُقَاتِلُوۡنَکُمۡ کَآفَّۃً ؕ وَ اعۡلَمُوۡۤا اَنَّ اللّٰہَ مَعَ الۡمُتَّقِیۡنَ.(التوبه:36)
بیشک اللہ کے نزدیک مہینوں کی گنتی اللہ کی کتاب ( یعنی نوشتۂ قدرت ) میں بارہ مہینے ( لکھی ) ہے جس دن سے اس نے آسمانوں اور زمین ( کے نظام ) کو پیدا فرمایا تھا ان میں سے چار مہینے ( رجب ، ذو القعدہ ، ذو الحجہ اور محرم ) حرمت والے ہیں ۔ یہی سیدھا دین ہے سو تم ان مہینوں میں ( ازخود جنگ و قتال میں ملوث ہو کر ) اپنی جانوں پر ظلم نہ کرنا اور تم ( بھی ) تمام مشرکین سے اسی طرح ( جوابی ) جنگ کیا کرو جس طرح وہ سب کے سب ( اکٹھے ہو کر ) تم سے جنگ کرتے ہیں ، اور جان لو کہ بیشک اللہ پرہیزگاروں کے ساتھ ہے
Aur Hadees Me Hurmat Wale Mahino Ki Wazaahat Is Tarah Aai Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
السنة اثنا عشر شهرا منها أربعة حرم:ثلاثة متواليات:ذو القعدة، ذو الحجة،والمحرم ورجب مضر،الذي بين جمادى وشعبان.
(صحيح البخاري:4406)
Tarjumah: Saal 12 Mahina Ka Hai. Isme 4 Mahine Hurmat Wale Hai,3 Salang Hai:Zul Qadah, Zul Hijjah,Aur Muharram Aur Ek Rajab Hai Jo Jamadul Aakhirah Aur Shabaan Ke Darmiyan Hai.
Yaha Jamadi Se Muraad Jamadul Aakhirah Hai Kuy Ke Uske Aur Shabaan Ke Darmiyan Hi Rajab Aata Hai. Quraani Aayat Aur Sahih Al Bukhari Ki Hadees Se Maloom Hua Je Rajab Ashharul Hurum Yani 4 Hurmat Aur Adab Ke Mahina Me Se Hai. Is Month Ka Taqazah Hai Ke Isme Fitnah Aur Fasaad,Qatal Gaaratgiri Aur Zulam Aur Taddi Se Baaz Raha Jaae Aysa Nahi Hai Ke Maasiyat Fasaad Zulam Aur Qatal Sirf Unhi Mahino Me Mamnu Hai Balke Muraad Yah Hai Ke Un Mahino Me Sakhti Ke Sath Mamnu Hai.
Aaj Ke Bahut Sare Musalmaan Is Hurmat Wale Mahine Ka Ahtaraam To Kaja Awhaam Aur Khuraafat Aur Shirk Aur Bid'at Me Buri Tarah Mulawwis Hai Sirf Ikhtisaar Ke Sath Mukhtasar Fehrist Paish Karta Hu Us Par Kaafi Kuch Likha Gaya Hai Us Wajah Se Lamba Likhne Se Bach Raha Hu. Aur Dalaail Ki Taraf Sirf Isharah Kar Raha Hu.
(1) Is Month Ka Naam Rajab Taazeem Ki Wajah Se Padha Hai,Qabeela Muzir Uski Ta'zeem Ziyada Karte The Is Wajah Se Rajab Muzir (Nuqsaan) Bhi Kaha Jata Hai. Bidatiyo Ke Yaha Bhi Ziyada Ta'zeem Ke Bais Yah Mahina Rajab Ul Murajjab Se Mashhoor Hai Aur Unki Ta'zeem Apne Makhsus Andaaz Me Shirkiya Aur Bidiya Aamaal Anjaam Dena Hai.
(2) Logo Me Yah Msg Ghum Raha Hai Ke Nabi SAV Ne Farmaya:Jis Ne Is Maah Ki Mubarkbad Di Us Par Jahnnam Ki Aag Haraam Ho Jaati Hai,Yah Jhoothi Baat Hai Aur Nabi SAV Ki Taraf Jhoothi Baat Mansub Karne Wala Jahnnam Me Jaae Ga.
(3) Rajab Ki Aamad Se Pehle Hi Umooman Aur Chand Nikalne Par Khususan Yah Dua
اللهم بارك لنا في رجب وشعبان وبلغنا رمضان.
(Ay Allaah! Hamare Liye Rajab Aur Shabaan Me Barkat Ata Farma Aur Hame Ramzan Tak Pohncha De)
Charo Taraf Padhi Aur Phelaai Jati Hai Jab Ke Yah Zaeef Hai Aur Zaeef Hadees Ko Daleel Nahi Bana Sakte.(Zaeef Hadees Ke Liye Dekhe Zaeeful Jaame:4395)
(4) Rajab Ke Mahina Me Makhsus Qisam Ki Mukhtalif Namaze Ada Ki Jati Hau Maslan Pehle Rajab Ko 1000 Namaaz, Pehli Juma Ki Raat Ko Salaatur Ragaaib(Allaah Ki Yaad Me Masat Rehne Walo Ki Namaz Jo Magrib Aur Isha Ke Darmiyan Padhi Jati Hai) Yahi 12vi Namaaz 15 Rajab Ko Umme Dawood Ki Namaaz Aur 27vi Raat Ko Shabe Meraaj Ki Namaaz. Yah Sari Namaaz E Bidati Hai Kuy Ke Un Sab Ki Koi Daleel Shariat Me Waarid Nahi Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai Jis Ne Deen Me Koi Aysa Kaam Kiya Jo Deen Me Se Nahi Hai Woh Mardood Hai.
(5) Rajab Ke Mahina Me Makhsus Qisam Ke Roze Rakh Kar Makhsus Ajar Ki Ummid Ki Jati Hai Jaisa Ke Logo Me Mashhur Hai Ke Rajab Ke Pehle Din Ka Roza 3 Saal Ka Kaffaarah Hai Aur Dusre Din Ka Roza 2 Saal Ka Kaffrah Aur 3re Din Ka Ek Saal Ka Kaffaarah Hai,Fir Har Din Ka Roza Ek Month Ka Kaffaarah Hai. Isi Tarah 27 Ko Likhi Aur Hazaari Roze Rakh Kar Hazaaro Lakho Sawaab Ki Ummid Ki Jati Hai Jab Ke Yah Roze Rasool SAV Se Sabit Nahi Hai Aur Jo Amal Rasool SAV Se Sabit Nahi Woh Baatil Aur Mardood Hai.
(6) Rajab Ke Mahina Me Ziyada Se Ziyada Umrah Karna Sawab Ka Bais Khayal Kiya Jata Hai Jab Ke Sahih Rivayat Se Maloom Hai Ke Nabi SAV Ne Rajab Ne Kabhi Umrah Hi Nahi Kiya Aur Jitne Umrah Kiye Sab Zul Qa'dah Me Ada Kiye.
(7) Rajab Ki Mashhur Tareen Bidaat Me 22 Rajab Ko Jafar Saadiq Ke Naam se Konde Bharna Hai. Kunde Bhar Kar Jafar Saadiq Ke Wasilah Se Maangi Gai Har Muraad Puri Hone Ka Aqeedah Rakha Jata Hai. Yaad Rahe Ke Yah Gairullaah Ki Nazar Hai Jo Ke Haraam Aur Shirk Hai,Nazar Ibaadat Hai Aur Yah Sirf Allaah Ke Liye Maani Jaae Gi.
(8) Rajab Ki 27 Date Bhi Bidatiyo Ke Nazdeek Kaafi Aham Hai. Is Date Ko Meraj Ki Raat Ka Jashan Manate Hai, Qamqamo Se Gharo Ko Roshan Karte Hai,Raat Jagte Hai,Meraaj Ki Raat Ke Naam Se Mehfil Qaaim Karte Hai Aur Meraaj Ki Raat Ki Ibaadat Karte Hai. Aurat Ke Mushaba Do Baaz Wale Buraaq Ke Naam Se Tasweer Banate Hai. Islaam Me Na Jashan E Meraaj Hai,Na Us Raat ShabBedaari Hai Na Chiraaga Aur Na Hi Koi Makhsus Ibaadat Hai Fir Koi Musalmaan Apne Man Se Yah Sare Kaam Kaise Anjaam De Sakta Hai?
(9) Un Sab Kaamo Ke Alawah Bhi Bahut Sare Khuraafat Anjaam Diye Jate Hai Maslan Rooh Ki Taraf Se Khairaat Karna, Ajmer Ka Safar Kar Ke Moinuddin Chishti Ke Mazaar Par Mela Thela Lagana,Qabro Ka Sajdah Aur Tawaaf Aur Un Par Chadar Aur Phool Chadana,Khaas Qisam Ke Pakwaan Pakana, Barkat Ki Niyat Se Rajab Ki Anguthi Pehnna Aur Makhsus Qisam Ke Awraad Aur Wazaaif Ka Ahtimaam Karna Wagairah.
(10) Us Month Me Anjaam Diye Jane Wale Mazkurah Sare Aamaal Mardud Aur Baatil Hai Kuy Ke Yah Na Allaah Ke Muqaddas Faraameen Me Hai Aur Na Hi Rasool SAV Ki Pakizah Taalimat Me Hai. Iska Matlab Yah Nahi Ke Ham Rajab Me Nafil Namaz Nahi Padh Sakte,Ya Nafil Roze Nahi Rakh Sakte Aur Umrah Ya Ibaadat Aur Sadqaat Karna Mana Hai. Jis Tarah Nek Aamaal Dusre Month Me Anjaam Dete Hai Is Month Me Bhi Anjaam De Sakte Hai Yani Nafli Namaze,Peer Aur Jumerat Ayyame Beez(13,14,15)Roze,Qaza Roze,Zikar Tilawat Umrah Sadqaat Wagairah. Taham Koi Ibaadat Makhsus Taraz Par Aur Date Aur Time Mutayyan Kar Ke Nahi Ada Kar Sakte Hai Jaisa Ke Bidati Log Karte Hai.
(11) Bahut Sare Log Aap Ko Rajab Ke Fazaail Me Mukhtalif Qisam Ki Ahadees Dikhae Ge Aap Un Se Dhoka Na Khaae Aur Mukhtasar Zahan Me Yah Baat Rakhe Ke Rajab Ek Hurmat Wala Mahina Hai Aur Us Hurmat Ke Siwa Us Month Me Makhsus Namaaz, Makhsus Roze, Makhsus Dua,Mubarak Badi Wali Tamam Hadees Ya To Zaeef Hai Ya Man Gharat.
(12) Ek Aakhri Aham Baat Yah Batane Laga HU ke Rajab Hurmat Wala Mahina Hone Ke Baais Is Month Me Shirk Aur Bid'at Aur Har Qisam Ki Masiyat Se Bachna Hamare Liye Nihayat Zaroori Hai,Kis Qadar Almiya Hai Ke Shuru Aafrinsh Se Nek Aur Bure Sab Ne Ashharul Hurum Ka Ahtiraam Kiya Aur Aaj Ka Musalmaan Kis Qadar Gaya Guzra Hai Ke Woh Hurmat Ki Sari Hade Paar Kar Gaya Hai. Allaah Ne Hukam Diya Ke Hurmat Wale Mahino Me Apni Jaano Par Zulam Na Karo Aur Zulam Me Shirk Aur Bid'at Ke Sath Har Qisam Ki Masiyat Shaamil Hai.
Allaah Ummat E Muslimah Ko Deen Ki Samjh Ata Farmaae Aur Shirk Aur Bid'at Se Bacha Kar Ek Platform Par Jama Kar De. AAMEEN
 

Similar threads


Top