Maah e Ramazaan mein Qur'aan ka nuzool


Maah e Ramazaan mein Qur'aan ka nuzool

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

نَزَل الْقُرْآنُ جُمْلَةً وَاحِدَةً مِنَ اللَّوْحِ الْمَحْفُوظِ إِلَى بَيْتِ الْعِزَّةِ فِي السَّمَاءِ الدُّنْيَا، وَذَلِكَ فِي شَهْرِ رَمَضَانَ، وَفِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ مِنْهُ عَلَى التَّعْيِينِ. ثُمَّ نَزَل مُفَصَّلاً بِحَسَبِ الْوَقَائِعِ فِي ثَلاَثٍ وَعِشْرِينَ سَنَةً. كَمَا وَرَدَ فِي الْقُرْآنِ الْكَرِيمِ: {شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنْزِل فِيهِ الْقُرْآنُ هُدًى لِلنَّاسِ وَبَيِّنَاتٍ مِنَ الْهُدَى وَالْفُرْقَانِ}

Qur'aan ek saath hi Lawh e Mehfooz se aasmaani dunya ke Baytul-'Izzat mein naazil hua, aur ye Ramazaan mein aur us mein muta'ayyan taur par Shabb e Qadr mein naazil hua, phir waaqi'aat ke lihaaz se 23 saalon mein thoda thoda naazil hua, jaisa ke Qur'aan e Kareem mein waarid hai: "Maah e Ramazaan woh hai jis mein Qur'aan utaara gaya hai, logon ke liye Hidaayat hai (us mein) khule hue (dalaayel hain) Hidaayat aur (haqq wa baatil mein) imtiyaaz ke nishaaniyaan hain." [1]


وَقَوْلُهُ سُبْحَانَهُ تَعَالَى: {إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ}

Aur Allaah (تعالى) ka qaul hai: "Beshak Humne usey (Qur'aan ko) Shabb e Qadr mein utaara hai." [2]


وَقَدْ جَاءَ فِي التَّفْسِيرِ عَنْ مُجَاهِدٍ - رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ - قَوْلُهُ: {لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ} ، لَيْسَ فِي تِلْكَ الشُّهُورِ لَيْلَةُ الْقَدْرِ ". وَوَرَدَ مِثْلُهُ عَنْ قَتَادَةَ وَالشَّافِعِيِّ وَغَيْرِهِمَا، وَهُوَ اخْتِيَارُ ابْنِ جَرِيرٍ وَابْنِ كَثِيرٍ


Aur iski Tafseer mein Mujaahid (Rahimahullaah) se unka ye qaul manqool hai: Shabb e Qadr Hazaar maheenon se behtar hai, Ya'ni aisey Hazaar maheenon se jin mein Shabb e Qadr nahin hai, aur isi tarah ki baat Qataadah aur Imaam Shaafi'ee waghairah (Rahimahumullaah) se manqool hai aur Ibn Jareer aur Ibn Kaseer (Rahimahumallaah) ne isi ko ikhtiyaar kiya hai.
[3]



- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)


_____________


References:

[1] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 185.

[2] Soorah No. 97, Al-Qadr, Aayah: 1.

[3] Tafseer Ibn Kaseer.
 

Similar threads


Top