Maah E Muharram Ke Ibtedayi Nau (9) Dino Ke Rozo Ki Fazilat Mein Warid Hadees Ki Tahqeeq


Abdul Adil

Member
Topic :- Maah E Muharram Ke Ibtedayi Nau (9) Dino Ke Rozo Ki Fazilat Mein Warid Hadees Ki Tahqeeq

Tahreer :- Hafiz Akbar Ali Akhtar Ali Salafi Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Publish :- Jamiyat E Ahle Hadeeth {Facebook Page}

الحمد لله رب العالمين، والصلاة والسلام على رسوله الامین، اما بعد

Mohtaram Qareyeen ! Bila-Shuba'a Mah e Muharram ke roze Ramzan ul Mubarak ke roze ke baad sabse afzal roze hai jaisa ki sahih hadees mein hai

[Dekhiye Sahih Muslim : 1163 , Sunan Tirmizi Tahqeeq Al-Albani : 438]

Lekin Is mahine ke Ibtedayi nau (9) dino ke Rozo ki Fazilat mein bataur e khash ek hadees marwi hai.

Tafseel Pesh E Khidmat hai :

Imam Abul Fawzan Abdurrahman Bin Ali Al-Zauzi Rahimahullah (Died : 597 Hijj) farmate hai :

أنبأنا ظفر بن علي الهمداني، قال: أنبأنا أبو رجاء أحمد بن أحمد التاجر قال: حدثنا أبو نعيم أحمد بن عبد الله الحافظ قال: حدثنا محمد بن عبد الرحمن بن الفضل، قال: حدثنا أبو زيد خالد بن النضر قال: حدثنا إسماعيل بن عباد قال: حدثنا سفيان بن حبيب عن موسى عن أنس بر قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: من صام تسعة أيام من أول المخرم، بنى الله لدقبة في الهواء ميلا في ميل لها أربعة أبواب“.

Tarzuma :- Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Farmate hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya “ Jisne Maah E Muharram ke Ibtedayi Nau (9) dino ke roze rakhe to Allah uske liye fiza'a mein ek murabba meel mein ek Qubah banata hai jiske char (4) darwaze hai ”

[Al-Mauzua'at Ba-Tahqeeq Nooruddin Shakri 2/566 , Hadees Number : 1139]

Huqum E Hadees :- Ye hadees bil-shuba'a mauzu hai.

Riwayat Ki sanad mein "Moosa Bin Abdullah Al-Taweel" hai jisne Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se mauzu hadeese riwayat ki hai jinko isne khud gadha hai ya iske liye gadhi gayi hai. Nez isne Sahabi E Mazkoor se Munkir Hadees Bhi Riwayat ki hai.

Ayimmah E Kiraam Ke Aqwaal Pesh E Khidmat hai :

Imam Muhammad Bin Hibban Al-Basti Mashroor Imam Ibne Hibban Rahimahullah (Died 354 Hijj) ne kaha

"روى عن أنس أشياء موضوعة كان يضعها أو وضعت له فحدث بها، لا يحل كتابة حديثه إلا على جهة التعجب"

Isne Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se mauzu cheej mein riwayat ki hai jinko isne khud gadha hai ya uske liye gadhi gayi hai fir isne unko Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se munkir riwayten bayan ki hai aur ye mazhool hai bayan kiya hai iski hadees ko likhna jayez nahi hai magar bataur tazzub.

[Al-Mazrooheen Bit-tahqeeq Mahmood Ibrahim 2/243 : Ta 920]

2] Imam Abu Ahmad Bin Adi Al-Zurzaani Rahimahullah (Died 365 Hijj) ne kaha

"يحدث عن أنس بمناكير وهو مجهول“

Isne Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se munkir Hadees Bayan ki hai aur ye mazhool hai.

[Al-Kamil Fi Zo'afa Al-Rizal Bit-Tahqeeq Aadil Ahmad Rufqa'a 8/69 Ta : 1835]

3] Imam Abu Abdullah Ahmad Bin Abdullah Al-Haqim Rahimahullah (Died 405 Hijj) ne kaha

"وقدروی محمد بن مسلمة الواسطي وهو ثقة عنه عن أنس أحاديث موضوعة“

Muhammad Bin Maslamah Al-Wasiti Rahimahullah ne " An" Moosa Bin Anas Ke Tareeq se mauzu hadeese riwayat ki hai jabki Muhammad Al-Wasiti Siqa'a hai.

[Al-Mudkhal Ila Al-Sahih Bit-Tahqeeq Doctor Rabi'y Hadees Safa : 193 Ta 168]

4] Imam Abu Nayeem Ahmad Bin Abdullah Al-Shaihbaani Rahimahullah (Died 430 Hijj) ne kaha

روى عن أنس بن مالك المناكير لا شيء

Isne Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se munkir riwayten bayan ki hai. Ye kuch nahi hai.

[Al-Zo'afa Bit-Tahqeeq Farook Humadah Safa : 136 Ta : 204]

5] Imam Abul Fazal Muhammad Tahir Al-Shaihbani Mashroor Imam Qaisrani Rahimahuah (Died 507 Hijj) ne kaha

"وله عنه أشياء موضوعة كأنه وضعها أو وضعت له“

Isne Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se Mauzu Cheej me Riwayat ki hai jinko isne khud gadha hai ya iske liye gadhi gayi hai.

[Tazkirat Ul Huffaz Bit-Tahqeeq Hamdi Al-Salafi Safa : 304 , Hadees Number - 761]

6] Imam Shamsuddin Muhammad Bin Ahmad Al-Zahbi Rahimahuah (Died 748 Hijj) ne kaha

(1) "فحدث عنه بعجائب“

Isne Anas Razi Allahu Anhu Se Azeeb Azeeb cheeje riwayat ki hai.

(2) ليس بشيء

Ye Kuch nahi hai.

[Tareekh Ul Islam Wa Wafyaat Al-Mashahir Al-Aalam Bit-Tahqeeq Bisaar Awaad 5/205 Ta : 377]

Aur is riwayat ko Isne Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se hi bayan ki hai.

Jer E Bahas Riwayat Ke Mutalliq Chand Ayimmah E Kiram Ke Aqwaal

1] Imam Abu Al-Farz Abdurrahman Bin Ali Al-Zauzi Rahimahullah (Died 597 Hijj) ne kaha

"هذا حديث موضوع على رسول الله صلى الله عليه وسلم“

Ye Hadees Rasoolullah ﷺ Gadhi Gayi hai.

[Al-Mauzua'at Ba-Tahqeeq Nooruddin Shakri 2/566 , Hadees Number : 1139]

2] Imam Shamsuddin Muhammad Bin Ahmad Al-Zahbi Rahimahuah (Died 748 Hijj) ne kaha

وضعه موسى الطويل على أنس

Moosa Al-Taweel Ne Anas Razi Allahu Anhu Par is hadees ko gadha hai.

[Talqees Kitab Al-Mauzua'at Bit-Tahqeeq Abu Tameem Yasir Safa : 206 , Hadees Number : 501]

3] Imam Jalaluddin Abdurrahman Bin Abi Bakar Al-Suyuti Rahimahullah (Died 911 Hijj) ne kaha

"موضوع"

Ye Hadees Mauzu Hai.


(اللآلىءالمصنوعة في الأحاديث الموضوعة بتحقيق صلاح بن محمد:92/2)

Ab Chand bate bataur tambeeh pesh e khidmat hai

Tambeeh Number - 1 :- Al-Mauzua'at Tahqeeq Abdurrahman Mein "في الهوی" likha hua hai jo ki galat hai sahih "في الهوی" hai.

Tambeeh Number - 2 :- Al-Madakhal Lil Hakim Jo Doctor Rabi'y Al Madkhali Hafizahullah Ki Tahqeeq ke sath matbua'a Hai usme "Muhammad Bin Salmah Al-Wasiti" hai jabki Sahih "Muhammad Bin Maslamah Al-Wasiti" hai. Jaisa Ki Kutub E Rizaal mein mauzood hai.

Khulaasha Tahqeeq :- Maah E Muharram ki Ibtedayi nau (9) dino ke Rozo ki Fazilat mein warid Anas Razi Allahu Anhu Ke Hadees Mauzu hai.

وآخر دعوانا ان الحمد لله رب العالمين.
 
Top