LOGON KI ZINDAGI AUR HAWADISE ZAMAANEY MEIN SITAARON KI TAASIR KA 'AQEEDAH RAKHNA


Ibnatu Ali

Member
❍LOGON KI ZINDAGI AUR HAWADISE ZAMAANEY MEIN SITAARON KI TAASIR KA 'AQEEDAH RAKHNA:

Hazrat Zaid bin Khalid al-Juhani (Razi Allahu 'anhu) se marwi hai ke Nabiﷺ ne muqaame hudaibiya par humein subah ki namaaz padhaayi, uss raat khoob baarish barsi thi. namaaz e fajr se faarigh huwe toh logon ki taraf mutawajjaa ho kar farmaaya:
هل تدرون ماذا قال ربكم؟ قالوا: الله ورسوله أعلم. قال: قال: أصبح من عبادي مؤمن بي وكافر، فأما من قال: مطرنا بفضل الله ورحمته فذلك مؤمن بي كافر بالكوكب، وأما من قال: مطرنا بنوء كذا وكذا فذلك كافر بي مؤمن بالكوكب​
“Kya aap jaantey hain ke aap ke Rab ne kya kahaa hai? Sahaaba (Razi Allahu 'Anhum) ne farmaaya: Allah aur uskey Rasoolﷺ behtar jaantey hain, Aapﷺ ne farmaaya ke Allah ne farmaaya hai:“merey bandon mein se kuch mujh par emaan rakhney waaley aur kuch merey saath kufr karney waaley ho gaye hain, woh log jo ye kehtey hain ke Allah ke fazal wa karam se baarish huwi hai woh mujh par emaan laane waaley aur sitaaron ki taseer ke munkar hain aur jo kahey ke humein falaan falaan sitaarey ki taseer se baarish mili hai uss shakhs ne mujh se kufr kiya aur sitaaron par emaan rakha”.
❲Sahih Al-bukhari ma' Fath ul baari 2/333.❳

Aisi hi ek soorat ye hai ke log akhbaaron aur risaalon[magazine wa digest] mein shaai' hone waaley aasmaani burujon ki taraf rujoo' kartey hain aur apni qismat ka haal ma'loom karna chahaatey hain jis ne sitaaron ke insaan ki zindagi se ta'lluq rakhney ka 'aqeedah rakha woh mushrik hai, aur jis shakhs ne unhein mahez waqt guzaari aur dil behlaaney ke liye padha toh woh bhi gunahgaar hai, kyunke shirkiya baaton ko mahez waqt guzaari ke liye bhi padhna jaayez nahin aur iskey saath hi shaitaan ka sitaaron ke silsile mein dill mein waswasaa daalna bhi shirk ki taraf le jaane waala raasta hai jabke islaam ne toh shirk ke khatime ke liye uskey tamaam asbaab wa zaraaye' ko bhi haraam qaraar de rakha hai.
─────────
▕ Kitaab: Muharramat ❨Haraam Ashya wa umoor❩ Taleef: Fazilat Al-Shaykh Mohammad saalih Al-munajjid Hafizahullah. Page No: 33,34▕
 
Top