LOCKDOWN AUR MARD AUR AURTO KE LIYE ATIKAAF KA MASALA


LOCKDOWN AUR MARD AUR AURTO KE LIYE ATIKAAF KA MASALA
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi
Lockdown Ki Wajah Se Jaha Bahut Sare Masaail Paida Hue Unhi Me Se Ek Masala Atikaaf Ka Bhi He. Ramazaanul Mubarak Ke Afzal Aamaal Me Se Atikaaf Ke Liye Bhi Lockdown Rukaawat Ban Raha He Ayse Me Aksar Halqo Se Yah Sawaal Aa Raha He Ke Agar Masjido Me Atikaaf Ki Ijaazat Na Di Gai Ya Lockdown Ki Wajah Se Agar Ham Masjid Me Atikaaf Na Kar Sake To Majburi Ke Tahat Is Saal Apne Gharo Me Atikaaf Kar Le Aysa Karna Shariat Ki Roshni Me Sahih Hoga?

Chunancha Is Silsile Me Ahnaaf Ke Yaha Aurto Ke Atikaaf Me Pehle Se Sahulat Maujood He Ke Unke Liye Gharo Me Atikaaf Karna Jaiz He Jab Unke Yaha Atikaaf Ke Liye Masjid Shart Hi Nahi To Mard Ho Ya Aurat Kahi Bhi Atikaaf Kar Le Kiya Farq Parhta He? Corona Ke Sabab Mardo Ke Liye Bhi (Aurat Ko Pehle Se Aazaadi Haasil He) Gharo Me Atikaaf Karne Se Mutalliq Ahnaaf Ke Fatawah Bhi Aa Chuke Hai.

Ahle Hadees Woh Jama'at He Jo Daleel Ke Muqable Me Kisi Ahle Hadees Aalim Ke Qaul Ko Bhi Hujjat Nahi Maanti Siwaae Jadeed Ijtihaadi Masaail Ke Jaha Shariat Khamosh He Aur Ijtihaad Ke Liye Sharai Gunjaish He Atikaaf Ke Masala Ko Bhi Ham Dalaail Ki Roshni Me Hal Karenge. Chunancha Qur'an Aur Hadees Ke Daleel Se Saaf Aur Waazeh Taur Par Maloom Hota He Ke Atikaaf Aysi Ibaadat He Jo Masjid Ke Sath Khaas He Is Ko Misaal Se Aysa Samjhe Ke Jis Tarah Haj Aur Umrah Makka Me Hi Hoga Agar Corona Ki Wajah Se Makka Ka Safar Mumkin Nahi He To Koi Apne Mulk Me Haj Aur Umrah Nahi Kar Sakta Isi Tarah Corona Ya Kisi Aur Majburi Ke Tahat Masaajid Band Hone Par Atikaaf Gharo Me Karna Jaiz Nahi Hoga,Na Mardo Ke Liye Aur Na Hi Aurto Ke Liye.

Allah Ka Farmaan He:
ولا تباشروهن وانتم عافكفون في المساجد. (البقرة:١٨٧)
Tarjumah: Aur Agar Tum Masjido Me Atikaaf Bethe Ho To Fir Apni Biwiyo Se Mubashirat Na Karo.
Yaha عاکفون فی المساجد Se Istidlaal He Ke Atikaaf Ke Liye Masjid Shart He Chaahe Mard Ho Ya Aurat,Bagair Masjid Ke Atikaaf Nahi Hoga.
Aaisha RA Bayaan Karti Hai Ke
فعن عائشة رضى الله عنها أن النبى صلى الله عليه وسلم كان يعتكف العشر الأواخر من رمضان حتى توفاه الله عز وجل ثم اعتكف أزواجه من بعده . رواه (البخارى: ٢٠٢٦ ومسلم:١١٧٢)
Tarjumah:- Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Apni Zindagi Ke Aakhri Lamhe Tak Ramazaanul Mubarak Ke Aakhri Ashra Ka Atikaaf Karte Rahe Fir Unke Baad Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ki Azwaaj E Mutahhiraat Bhi Atikaaf Karti Rahi.

Imaam Nawwi RH Sahih Muslim Ki Shara Me Is Hadees Ke Tahat Likhte Hai Ke Atikaaf Masjid Ke Alawah Kahi Bhi Sahih Nahi Hoga Us Liye Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Aap Ki Azwaaj E Mutahhiraat Aur Sahaba Kiraam Mashaqqat Ke Bawajood Masjid Me Hi Atikaaf Karte The Agar Ghar Me Bhi Atikaaf Jaiz Hota To Ghar Me Zaroor Atikaaf Karte Garcha Ek Martaba Hi Kuy Na Ho Bataur E Khaas Aurte Ke Unki Zaroorat Aksar Gharo Ki Hi He.(Sahih Muslim Shara Nawwi)

Abu Saeed Khudri RA Bayaan Karte Hai Ke
حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، عَنْ إِسْمَاعِيلَ بْنِ أُمَيَّةَ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، قَالَ ‏:‏ اعْتَكَفَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي الْمَسْجِدِ فَسَمِعَهُمْ يَجْهَرُونَ بِالْقِرَاءَةِ، فَكَشَفَ السِّتْرَ وَقَالَ ‏:‏ ‏"‏ أَلاَ إِنَّ كُلَّكُمْ مُنَاجٍ رَبَّهُ فَلاَ يُؤْذِيَنَّ بَعْضُكُمْ بَعْضًا، وَلاَ يَرْفَعْ بَعْضُكُمْ عَلَى بَعْضٍ فِي الْقِرَاءَةِ ‏"‏ ‏.‏ أَوْ قَالَ ‏:‏ ‏"‏ فِي الصَّلاَةِ ‏"‏. (صحيح ابي داؤد:١٣٣٢)
Tarjumah:- Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Masjid Me Atikaaf Farmaya,Aap Ne Logo Ko Buland Aawaaz Se Qira'at Karte Suna To Pardah Hataya Aur Farmaya: Logo Suno Tum Me Se Har Ek Apne Rab Se Sargoshi Karta He,To Koi Kisi Ko Taklif Na Pohnchaae Aur Na Qira'at Me(Ya Kaha Namaaz)Me Apni Aawaaz Ko Dusre Ki Aawaaz Se Buland Kare.

Naafe Bayaan Karte Hai:
وقد اراني عبدالله رضى الله عنه المكان الذي كان يعتكف فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم من المسجد.(صحيح مسلم:١١٧١)
Tarjumah:- Abdullah RA Ne Mujhe Woh Jagah Dikhaai Jaha Par Masjid Me Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Atikaaf Kiya Karte The.

Yah Saare Dalaail Waazeh Karte Hai Ke Atikaaf Ka Mahal Masjid He Yahi Kitaab Aur Sunnat Ki Ta'leem He Jaisa Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Atikaaf Se Waazeh He Aurto Ke Haq Me Bhi Atikaaf Masjid Me Hi Mashru He Masjid Se Bahar Ghar Me Aurto Ka Atikaaf Sahih Nahi He Is Silsile Me Upar Sahih Muslim Ki Hadees Aur Imaam Nawwi Ki Shara Parh Chuke Hai Is Se Bhi Ziyadah Waazeh Sahih Bukhari Ki Hadees Number (2033) Hadees No(2034) Hadees No(2041) Aur Hadees No 2045) Hai Jin Me Mazkoor He Ke Atikaaf Ki Niyyat Se Kuch Azwaaj E Mutahhiraat Ne Masjid E Nabwi Me Apne Apne Khaime Nasab Kiye The.

Is Saal Corona Ki Wajah Se Masaajid Me Atikaaf Karna Amre Mahaal Lag Raha He Is Wajah Se Jo Log Atikaaf Ki Niyyat Rakhte Hai Agar Unhe Masjid Me Atikaaf Ki Sahulat Maiyssar Na Aa Sake To Apna Atikaaf Chhor Dena Chaahiye Aur Yah Jaan Lena Chaahiye Ke Atikaaf Waajib Nahi He Jis Ke Chhorne Se Gunaah Laazim Aae Ga Balke Masnoon Amal He Aur Allah Unhe Niyyat Ke Mutaabiq Pura Pura Ajar Dega Azwaaj E Mutahhiraat Ke Khaime Se Mutalliq Sahih Bukhari Mazkoorah Hadees Me He Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Is Saal Ramazan Ka Atikaaf Nahi Kiya Tha Jo Log Corona Ki Wajah Se Mardo Ke Liye Gharo Me Atikaaf Karna Jaiz Qaraar De Rahe Hai Unki Baat Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ki Ta'leemaat Aur Amal E Sahaba Ke Khilaaf He Nez Yah Baat Bhi Galat He Ke Har Basti Me Kam Az Kam Ek Aadmi Atikaaf Kare Warna Puri Basti Gunehgaar Hogi Aur Sath Hi Aurto Ka Gharo Me Atikaaf Karna Bhi Sunnat Ke Khilaaf He.

Ibne Abbas RA Se Aurto Ka Ghar Me Atikaaf Se Mutalliq Masala Dariyafat Kiya Gaya To Unhone Jawaab Diya Ke Aurto Ka Ghar Me Atikaaf Karna Bid'at Hai Lihaza Hame Ittib'a E Sunnat Ko Laazim Pakadna Chaahiye Aur Deen Ke Naam Par Bid'aat Aur Khuraafaat Se Bachna Chaahiye.
 

Similar threads


Top