LOCK DOWN AUR GHARO ME TARAWEEH KE MASAAIL


LOCK DOWN AUR GHARO ME TARAWEEH KE MASAAIL
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

Isme Koi Shak Nahi Ke Barwaqt Duniya Ke Haalaat Saazgaar Nahi Hai Khususan Hindustaan Me Musalmaan Qism Qism Ki Aazmaisho Se Guzar Rahe Hai. Hukoomati Elaan Lockdown Ki Wajah Se Ramzanul Mubarak Jaisa Khair Aur Barkat Ka Mahina Mutassir Hota Nazar Aa Raha He Yahi To Maah E Mubarak He Jis Me Gunehgaaro Ko Bhi Khair Aur Barkat Ki Sa'adat Naseeb Hoti He Aur Swaleheen Ko Mazeed Taqwah Aur Parhezgaari Ata Hoti He. Allah Hamaare Saro Se Aazmaish Taal De Aur Maah E Mubarak Ki Sa'adate Naseeb Farmaae. Aameen

Lockdown Ki Surat Me Musalmaan Me Ek Badi Bechaini Taraweeh Ke Silsile Me He Ke Gharo Me Mehsoor Ho Jane Ki Wajah Se Masjid Me Ja Kar Jama'at Se Taraweeh Ki Namaaz Nahi Parh Sakte Hai. Ham Musalmano Ki Yah Bechaini Baja He Aur Is Mushkil Waqt Me Ham Sab Ko Ziyadah Taubah Aur Allah Se Madad Aur Dua Ka Iltizaam Karna Chaahiye Taaki Allah Ham Par Aur Puri Ummte Muslima Par Aasani Farmaae Raha Masala Taraweeh Ka To Is Silsile Me Dekhte Hai Ke Shariat Se Hamare Liye Kiya Kuch Rehnumaai Aur Sahulat Maujood He?

Pehli Fursat Me Taraweeh Se Mutalliq Chand Buniyadi Masaail Zahan Nasheen Kare Fir Ziyadah Bechain Karne Wale Masala Ko Waazeh Karunga.

Pehli Baat
Yah Ke Taraweeh Waajib Nahi He Balke Masnoon He Isi Liye To Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Sahaba Ko Chand Din Jama'at Se Taraweeh Parhaane Ke Baad 3re Ya 4the Din Masjid Hi Nahi Aae Ke Kahi Ummat Par Yah Farz Na Kar Di Jaae Agar Kisi Se Chand Din Ya Pura Ramazaan Taraweeh Chhut Jaae To Allah Ke Yaha Jawaabdahi Nahi Hogi Magar 5 Awqaat Ki Namaazo Me Se Ek Waqt Ki Bhi Namaaz Bagair Uzar Ke Chhor Dete Hai To Is Par Pakad Hogi.

Dusri Baat Yah He Ke Taraweeh Ki Masnoon Rakat Witr Ke Sath 11 Hai Jaisa Ke Aaisha RA Bayaan Karti Hai Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ramazaan Me Aur Ramazaan Ke Alawa Deegar Mahino Me 11 Rakat Se Ziyadah Nahi Parhte The Is Liye Taraweeh Ki Masnoon Rakat Witr Ke Sath 11 Hi Hai Jo Log 20 Rakat Taraweeh Masnoon Kehte Hai Unke Paas Koi Sahih Daleel Nahi He Sahih Daleel Se Yah Baat Bhi Saabit He Ke Umar RA Ne Sahaba Ko 11 Rakat Hi Taraweeh Parhaane Ka Hukam Diya Is Liye Yah Kehna Ke Umar RA Ne Logo Ko 20 Rakat Taraweeh Par Jama Kiya Sahih Nahi He.

Teesri Baat Yah He Ke Taraweeh Hi Tahhjud Aur Qiyaamul Lail He Yani Ramazaanul Mubarak Me Jis Namaaz Ko Taraweeh Kehte Hai Use Tahhjud Aur Qiyaamul Lail Bhi Keh Sakte Hai Dono Me Koi Farq Nahi He. Upar Dusri Baat Ke Tahat Mene Aaisha RA Ki Hadees Batlaai Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ramazaan Aur Gair Ramazaan Me 11 Rakat Se Ziyadah Nahi Parhte The Jo Namaaz Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ramazaan Ke Alawah Dusre Mahino Me Qayamul Lail Ke Naam Se 11 Rakat Parhte The Wahi Namaaz Ramazaan Me Bhi Ada Farmate The Agar Taraweeh Aur Tahhjud Alag Alag Maante Hai To Iska Matlab Hua Ke Nabi Ne 3 Hi Din Sahaba Ke Sath Taraweeh Parhi Aur Zindagi Me Kabhi Nahi Parhi Ya Jin 3 Ya Chand Din Sahaba Ko Jama'at Se Taraweeh Parhaai Un Dino Alag Se Qiyaamul Lail Bhi Parhi. Halanki Yah Dono Bate Galat Hai Nez Jin Hadees Se Ham Taraweeh Ki Fazilat Bayaan Karte Hai Unme To "Qaama Ramazaan" Ya "Qama Lailata" Ka Lafz Aaya Yani Jo Raat Ko Qayaam Kare,Raat Ke Usi Qiyaam Ko To Qayamul Lail Kaha Jata He.

Chothi Baat Yah He Ke Taraweeh Me Quraan Khatam Karna Zaroori Nahi He Taraweeh Asal Me Qayaamul Lail He Yani Raat Me Itminaan Aur Sukoon Se Lamba Qayaam Karna Chaahe Qira'at Jis Qadr Bhi Ho Allah Qayamul Lail Ka Ajar Dega Agar Kisi Ne Taraweeh Me 10,15 Ya 20 Pare Hi Taraweeh Me Parhe Magar Qayamul Lail Ka Haq Ada Kiya To Bila Shuba Use Qayamul Lail Ka Ajar Mile Ga. Aur Jis Ne Taraweeh Me Mukammal Qur'an Khatam Kiya Magar Namaaz Me Sukoon Aur Atidaal Nahi Barta, Kawwe Ki Tarah Chonch Maarta Raha Aysi Namaaz Namaaz Hi Nahi He,Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Ek Sahaabi Ko Jaldbazi Me Namaaz Parhne Par Kai Martaba Namaaz Dohrane Ka Hukam Diya.

5wi Baat Yah He Ke Masjid Me Haazir Ho Kar Jama'at Ke Sath Taraweeh Parhna Zaroori Nahi He Balke Akele Bhi Parh Sakte Hai Aur Masjid Ke Alawah Ghar Me Bhi Ada Kar Sakte Hai Aur Yaad Rakhe Ke Koi Akele Bhi Taraweeh Parhta He To Usko Bhi Utna Ajar Mile Ga Ke Pichle Sare Gunaah Maaf Ho Jaaenge Jis Ka Wada Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Ramazaan Me Qayamul Lail Se Mutalliq Kiya He Is Liye Lockdown Ki Wajah Se Ziyadah Fikarmandi Ki Zaroorat Nahi He Aur Haalat Ki Sangini Ki Wajah Se Jab Jum'a Aur Faraiz Ki Jama'at Saaqit Ho Gai He To Taraweeh Sirf Masnoon He Jis Ke Liye Na Masjid Shart He Aur Na Hi Jama'at.

In Chand Masaail Se Aagaahi Ke Baad Ek Aham Bechain Karne Wala Masala Hal Karte Hai Woh Yah He Ke Thik He Taraweeh Ke Liye Jama'at Ya Masjid Zaroori Nahi He Magar Jama'at Se Parhna Bade Ajar Aur Sawaab Ka Kaam To He. Yah Baat 100% Sahih He Ke Jama'at Se Koi Bhi Namaaz Ada Karna Akele Parhne Se 27 Gunaa Behtar He Aur Fir Ek Sahih Hadees Me He Ke Jo Imaam Ke Sath Aakhri Waqt Tak Qayaam Kare To Use Puri Raat Qayaam Ka Ajar Milta He.(Sahihun Nasaai:1604)

Goke Taraweeh Akele Parhne Se Bhi Pichle Gunaah Ki Maafi Ka Ajar Mil Jaae Ga Taaham Ramazan Ba-barkat Mahina He Aur Jama'at Se Sawaab 2chand Ho Jata He Is Wajah Se Aap Apne Apne Gharo Me Ghar Walo Ke Sath Jama'at Se Taraweeh Ka Ahtimaam Kare. Namaaz Ki Imaamat Ke Bare Me Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
ليؤمكم اكثركم قرآنا.(صحيح النسائى:788)
Tarjumah:- Tum Me Se Jis Ko Sab Se Ziyadah Quraan Yaad Ho Woh Imaamat Karaae.

Is Farmaan E Rasool Ki Roshni Me Ghar Walo Ko Taraweeh Parhaae Yaad Rahe Mard Aurto Ki Imamaat Kara Sakta He Magar Aurat Mardo Ka Imaam Nahi Ban Sakti He. Ziyadah Quraan Yaad Hone Ka Matlab Yah He Ke Ghar Me Maslan 10 Log Hai Aur Kisi Ko 1 Parah Yaad He Utna Kisi Ko Yaad Nahi He To Wahi Imaamat Karaae Ya Kisi Ko Chand Surte Hi Yaad Hai Aur Dusre Ko Kuch Yaad Nahi He To Jis Ko Chand Surte Yaad Hai Wahi Imaamat Karaae. Yaha Ek Aur Baat Yaad Rahe Ke Ek Surat Ko Ek Se Ziyadah Rakat Me Bhi Parh Sakte Hai Maslan Surah Ikhlaas Pehli Rakat Me Parhi Gai To Dusri Rakat Me Bhi Parh Sakte Hai Isme Koi Harj Nahi He Iska Matlab Yah Hua Ke Kisi Ko Chand Chhoti Surte Bhi Yaad Ho To Woh Bhi Taraweeh Parha Sakta He Ek Ek Rakat Me Ek Ek Surat Parhaae Aur Agar Rakat Se Kam Surte Yaad Ho To Ek Surat 2 Rakato Me Parhaae.

BAWAQT E ZAROORAT TARAWEEH ME QUR'AN KO DEKH KAR PARHNA KAISA HAI?
Ab Aate Hai Ek Aham Masala Ki Taraf Ke Agar Kisi Ko Qura'an Ziyadah Yaad Na Ho Aur Taraweeh Me Lamba Qayaam Aur Sujood Karna Chahta Ho To Kiya Woh Quraan Dekh Kar Parh Sakta Hai?

Is Sawaal Ka Sidha Aur Mukhtasar Jawaab Yah He Ke Zaroorat Ke Waqt Qur'an Dekh Kar Taraweeh Parhhana Jaiz Aur Sahih He Iski Daleel Yah He Ke Aaisha RA Ne Apne Gulaam Ko Taraweeh Parhane Ko Hukam Diya Aur Woh Quran Se Dekh Kar Aaisha RA Ko Taraweeh Parhaate. Yah Rivayat Sahih Bukhari Me Maujood He Aaisha RA Deen Ki Badi Aalima Aur Faazila Thi Unse Sahaba Aur Sahabiyaat Deen Sikhte Aur Masaail Dariyaafat Karte The Zaahir Si Baat He Ke Unki Faqahat Ke Samne Baad Wale Ya Aimma E Arba Ki Faqahat Kuch Bhi Nahi He Yahi Wajah He Ke Kisi Bhi Sahaabi Se Aaisha RA Ke Is Amal Ki Mukhalifat Waarid Nahi He Yaha Ke Umoomi Taur Par Bhi Kisi Sahaabi Ne Musahhaf Dekh Kar Namaaz Parhne Se Mana Nahi Kiya He Kuch Log 3 Sahaba Kiraam Ka Naam Zikar Karte Hai Magar Sahaabi Ka Koi Asar Saabit Nahi He Mundarja Line Me Unka Khulasa Parhe.

(1) Ammar Bin Yasir RA Namaaz Me Qur'an Dekh Kar Parhna Bura Samjhte Aur Use Ahle Kitaab Ka Tareeqa Batate)) Yah Asar Taarikh E Bagdaad Me Maujood He Aur Taarikh E Bagdaad Ke Muhaqkik Daktoor Bashaar Awad Ma'ruf Ne Almeezan(4/507) Ke Hawale Se Zikar Kiya He Ke Iski Sanad Me Abu Bilaal Ash'ari Zaeef Raawi He.

(2) ((Suwaid Bin Hanzala RA Ne Ek Sahaab Ko Qur'an Dekh Kar Parhte Dekha To Unka Qur'an Le Kar Alag Rakh Diya)). Suwaid Bin Hanzala Naam Se Ek Sahaabi Guzre Hai Unse Hadees Bhi Marwi He Magar Yaha Naam Me Tehreef Ho Gai He. Almasaahif Liibne Abi Dawood 7054 Me Sulaimaan Bun Hanzala Albakri He Jab Ke Yah Naam Bhi Sahih Nahi He Sahih Naam Saleem Bin Hanzala Albakra As Sa'di Alkufi He Yah Sahaabi Nahi Tabai He.

(3) ((Abdullah Bin Abbas RA Kehte Hai Ke Ameerul Moameneen Umar Farooq RA Ne Ham Logo Ko Haalat E Namaaz Me Quraan Dekh Kar Parhne Se Qatan Mana Farma Diya Tha)) Yah Rivayat Kanzulumal Aur Aalaus Sunan Me He Magar Waha Uski Sanad Nahi He Sahab E Almasaahif Ne Iski Sanad Zikar Ki He Is Sanad Me Nehshal Bin Saeed Nesaphuri Naam Ka Kazzab Aur Matruk Raawi He Imaam Bukhari RH Aur Imaam Nasaai Ne Is Par Harj Ki He.

In Teeno Me Dusra Sawaal Qaul Sahaabi Ka Nahi He Aur Baqi Bache Sahaabi Ke 2 Aqwaal Zaeef Hai Is Liye Maloom Hua Ke Aaisha RA Ki Rivaayat Ki Buniyaad Par Zaroorat Ke Tahat Namaaz Me Quraan Dekh Kar Parhna Jaiz He Sahaabi Ka Qaul Aur Amal Tabai Par Muqaddam He Is Liye Baad Walo Ke Aqwaal Nahi Zikar Kar Raha Hu Albatta Aimma E Arba Ki Baat Kare To Imaam Abu Hanifa Ke Alawa Aimma E Salasa Ne Namaaz Me Quraan Dekh Kar Parhne Ki Rukhsat Di He Yahi Wajah He Ke Jab Imaam Zahri Se Kisi Ne Sawaal Kiya Ke Ramazaan Me Quraan Dekh Kar Parhna Kaisa He To Unhone Behtareen Jawaab Diya:
كان خيارنا يقرؤون في المصاحف(المدونة الكبرى٢٨٩ ١/٢٨٨) والمفني لأبن قدامة ١/٣٣٥)
Ke Ham Me Se Behtar Log Qur'an Dekh Kar Parhte The.

MASLAK E AHNAAF AUR NAMAAZ ME QUR'AN DEKHNA:
Alag Alag Kutub E Ahnaaf Me Mazkoor He Ke Imaam Abu Hanifah Ke Nazdeek Qur'an Dekh Kar Parhne Se Namaaz Baatil Ho Jati He Yahi Wajah He Ke Aaj Logo Ki Shadeed Zaroorat He Ke Woh Apne Apne Gharo Me Taraweeh Ki Namaaz Quraan Dekh Kar Parhaae Kuy Ke Corona Virus Ki Wajah Se Masaajid Band Hai Aur Ghar Ghar Haafiz Dastiyaab Bhi Nahi Ho Sakte Magar Fir Bhi Aur Un Haalaat Me Bhi Qur'an Dekh Kar Parhne Se Hanfiyo Ki Namaaz Baatil Ho Jaae Gi Jab Hanfiyo Ko Sahih Bukhari Me Maujood Aaisha RA Ka Hukam Aur Zakwaan Ka Amal Dikhaao To Us Daleel Ki Mukhtalif Taweele Karte Hai Aap To Jo Jaante Hai Ke Muqallid Qur'an Ki Aayat Me Taweelaat Kar Lega Aur Uska Mafhoom Badal Dega Magar Imaam Ka Qaul Nahi Chhode Ga Yahi Haal Yaha Bhi Nazar Aata He.

Aaisha RA Ki Hadees Ke Mutalliq Ahnaaf Ki Ek Taaweel Yah He Ke Yah Hadees E Rasool Nahi He Asar He Yani Sahabi Ka Zaati Amal He. Me Kehta Hu Ke Fir Sahih Bukhari Me Maujood Taraweeh Ki 11 Rakat Amal E Rasool He Usko Chhor Kar Daleel Me Umar RA Ka Amal Paish Karte Ho Woh Bhi Zaeef Kiya Woh Asar Nahi He? Ahnaaf Ki Dusri Taweel Yah He Ke Zakwaan Ka Amal Mutazaad Aur Ijma E Ummat Ke Khilaaf He Me Kehta Hu Ke Kisi Imaam Ka Maslak Unke Shagird Se Raaij Hota He Aur Imaam Saahab Ke 2 Shaagird Abu Yusuf Aur Muhammad Kehte Hai Ke Namaaz Me Quraan Dekhne Se Namaaz Mukammal Ho Jati He Bas Karahat Ka Masala He Jab Ke Imaam Abu Hanifa Namaaz Hi Faasid Kar Rahe Hai Iska Matlab Shagird Ne Usi Waqt Bhanp Liya Ke Imaam Saahab Ka Yah Fatwa Galat He Lekin Gaali Muqalledin Pakde Bethe Hai Imaam Shaahab Ke Shaagird Ka Bhi Lihaaz Nahi Karte Yah Log Bhala Aaisha RA Ka Fatwa Kaha Se Maanenge? Is Baat Par Koi Hairat Kiye Bina Nahi Reh Sakta Ke Jab Ahnaaf Sahabi Ke Qaul Aur Kaam Ko Deewaar Par Maar Dete Hai Fir Ayse Log Imaam Ki Har Baat Ki Taqleed Kaise Waajib Qaraar Dete Hai Jo Na Nabi Hai,Na Sahaabi Hai Aur Na Hi Masoom? Ahnaaf Ki Ek Taweel Yah Bhi He Ke Aaisha RA Ka Yah Amal Un Ahaadees Me Se He Jin Ko Ummat Ne Qabool Nahi Kiya. Yah Sirf Ek Aadmi Ka Amal He Aur Use Imaam Bukhari Ne Zimnan Zikar Kar Diya He Ahnaaf Ki Is Beja Taweel Me Kis Qadr Jurrat He? Apne Imaam Ko Masoom Samjhte Hai Har Baat Ki Taqleed Waajib Qaraar Dete Hai Warna Najaat Nahi Hogi Magar Khairulquroon Ki Aalima Zaahida Aur Faqiha Jin Ko Barae Nabi Ka Faiz Haasil Tha Unko Konsa Rutba Dete Hai? Is Munasibat Se Ibne Najeem Hanfi Ka Qaul(Jawala Shuba Wannazaair Me He) Bayaan Karna Dilchasp Hoga Ke Namaazi Quraan Ki Taraf Dekh Bhi Le To Uski Namaaz Baatil Ho Jati He Magar Shahwat Ke Sath Aurat Ki Sharmgaah Bhi Dekhe To Namaaz Baatil Nahi Hoti He. Un Bato Se Aap Ko Pata Chal Hi Gaya Hoga Ke Ahnaaf Deen Ke Sath Khilwaad Karte Hai Unke Yaha Qur'an Aur Hadees Asal Nahi Apne Imaam Ka Qaul Hi Asal He Isliye Unke Fatawah Aur Unke Masaail Se Bach Kar Rehna Chaahiye.

Khulasa Kalaam Yah Hua Ke Ham Apne Ghar Me Jama'at Bana Kar Taraweeh Parh Sakte Hai Aur Jise Ziyadah Qur'an Yaad Hoga Woh Imaamat Karaae Ga Nez Kisi Ko Qura'an Ziyadah Yaad Na Ho Aur Taraweeh Me Lambi Lambi Qira'at Karna Chahta Ho Woh Qur'an Dekh Qira'at Kar Sakta He Lekin Yaad Rahe Ke Mobile Se Qira'at Na Kare Balke Quraan(Musahhaf) Se Kare Kuy Ke Mobile Musahhaf Nahi He Yah Ek Aysa Aala He Jis Me Khair Aur Shar Dono He. Is Se Imkaan He Ke Qira'at Ke Dauraan Namunasib Chiz Dekhne Ya Sunne Ko Mil Jaae Ya Dhiyaan Rozmarra Ki Un Bato Ki Taraf Chala Jaae Jo Mobile Se Karte Aur Sochte Hai Aur Jo Log Mobile Ko Musahhaf Qaraar Dete Hai Woh Galati Par Hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Roza 0

Similar threads


Top