LAMHAYE FIKR


LAMHAYE FIKR
Tahreer: MUHADDIS HIND O PAAK IMAM-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah
(Maamaamah AL-HADIS shumaarah No.46 page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ye ajeeb baat hai ke aaj kal hadis ke bare me agar koi thos kaam howa hai to woh shakhsee idaaron ke maatahet howa hai, All India yaa All Pakistan qisam ki tanzimon ke zariye, ye ilmi kaam nahi howa saka, kion ke tanzeemi mizaaj ke taqaze kuch aur hain.

Ziyadah-tar tanzeemi daure hote hain aur member saazi hoti hai aur isee tarah tanzeemi manaaseb(post) aur ohdon keliye kashmakash bapa hoti hai jis ka natijah ye hota hai k eek hi tanzeem ke pet se kai tanzeemen janam liti hain aur koi ilmi aur tahqiqi kaam nahi hopata.

Is ki afsos naak misaalm ye hai ke "Maulana Abdul Hakeem Naseerabadi" aur "Mualana Asharaf-ud-Deen Dahlwi, dono ke ta'awon se "Musnad Ahmed Bin Hanbal" ki tabweeb murattib kigyi aur aaj se pachaa(50) saal qabl is ka maswedah All India "Conference" (Ahle Hadis) ke markazi daftar Delhi ke hawalha kiya gaya likin afsos hai ke aaj tak pata nah chalsaka ke maswedah, balke ye naayaab shaahkaar kakahn zaaye hogaya?
(Tafseel keliye mulahizah ho: Tarjem Ulamaye Haids Hind:1/184, tazkirah: Maulana Abu Sayeed Sharfuddeen Sahab Marhom)

Is ke bar'aks ilmi, tasneefi aur tahqiqi kaam, in idaaron ne kiye hain, jo kisi farde wahed ne, yaa chand ahbaab ke ta'awon se qaayim howe yaa ek hi fard ne mukhlis ahbaab ke ta'awon se bade se bada tasneefi aur tahqiqi kaam anjaam dediay. Masalan:
1)Aun-ul-Mabood: Musannef: Maulana Shams-ul-Haq Diyaansi
2)Tahfat-ul-Ahwazi Sharah Jami al-Timizi. Muallif: Maulana Abdual Rahmaan Mubarakpori rahimahuallah
3)Mir'aat-ul-Mafaateeh, Muallif: Mualana Ubaidullah mubarakpori hhafizahullah

Jis ki ab tak 7 yaa aatwin jilden print hochuki hain, is azeem o shaan hadisi shaahkaar ka aaghaaz chand mukhlish ahbaab ke ta'awon se shuro howa tha. Jin me:
(1) Hafiz Zakariya sahab
(2) Maulana Ataullah Haneef rahiamhullah ke naam numayaan hain."
(Haft Rozah AL-ETESAAM Lahore, isha'ate khaas bayaad Maulana Muhammed Haneef rahimahullah, page:568)

[Maulana Abdul Ghaffar rahimahullah ki is tahreer me un logon ke liye lamhaye fikriyah hai jo afraad o zar ki qu'wwat se maalaa maal hain likin apni tawanaayiyan ghair zurori umor me sarf kar rahe hain jis ka koi khaatir khawaah fayedah nahi horaha.]
 
Top