Kya Yazeed Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu ki Shahadat Ki Khabar Sun Kar Khush Ho Gya Tha


Abdul Adil

Member
Topic :- Kya Yazeed Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu ki Shahadat Ki Khabar Sun Kar Khush Ho Gya Tha.

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Imam Ibne Kasheer Rahimahullah (Died 774 Hijj) ne kaha

"وقيل: إن يزيد فرح بقتل الحسين أول ما بلغه، ثم ندم على ذلك فقال أبو عبيدة معمر بن المثنى: إن يونس بن حبيب الجرمي حدثه قال: لما قتل ابن زياد الحسين ومن معه، بعث برؤسهم إلى يزيد فسر بقتله أولا، وحسنت بذلك منزلة ابن زياد عنده، ثم لم يلبث إلا قليلا حتى ندم"

Kaha Gaya hai Yazeed ko jab shuru me Hussain Razi Allahu Anhu ke qatal ki khabar pahunchi to wo khush hua , fir baad mein nadim hua. Chunacha Abu Ubaidah Bin Moammar Bin Masna ne kaha ki Younus bin Habeeb Al-Zurmi ne usne bayan kiya ki , Jab Ibne Zyad ne Hussain Razi Allahu Anhu aur unke sathiyon ko qatl kiya aur unke saron ko yazeed ke pass bheja to yazeed shuru me Hussain Razi Allahu Anhu ke qatl par khush hua aur uski wajah se Ibne Zyad ka maqam Yazeed ke nazdeek badh gya fir thode hi arshe baad Yazeed naadim ho gya.

[البداية والنهاية ٢٣٢/٨ مكتبة المعارف]


Arz Ye Hai ki Ibne Kasheer Rahimahullah ne ye iljam lagakar iski sanad bhi pesh kar di hai aur ye sanad batil hai kyunki

1] Younus Bin Habeeb Zurmi ki tausheeq hame nahi mili.

2] Younus Bin Habeeb Ne Shahadat E Hussain ka jamana nahi paya hai kyunki ink paidaish 80 ya 90 hijri mein huyi hai.

[الوافي بالوفیات للصفدی ١٧٧/٢٩]

Yani Shahadat E Hussain Razi Allahu Anhu 20 Ya 30 Saal baad paida huye , lihaza is baat ka asal raawi Majhool hai.

3] Abu Ubaidah se Ibne Jareer Tabri ne nakal kiya hai , Chunacha Imam Ibne Ashakir Rahimaullah (Died 175 Hijj) ne kaha

"قرأت على أبي الوفاء حفاظ بن الحسن الغساني أنا عبد الوهاب عبد الميداني أنا أبو سليمان بن زبر أنا الله بن أحمد الفرغاني أنا محمد بن جرير الطبري قال: حدثت عن أبي عبيدة معمر بن المثنى أن يونس بن حبيب الجرمي حدثه قال: لما قتل عبيد الله بن زياد الحسين بن على وبني أبيه، بعث برؤوسهم إلى يزيد بن معاوية فسر بقتلهم أولا، ، وحسنت بذلك منزلة عبيد الله عنده، ثم لم يلبث إلا قليلا حتى ندم على قتل الحسين"

Abu Ubaidah Bin Moammar Bin Masna ne kaha ki Younus bin Habeeb Al-Zurmi ne unse bayan kiya ki jab ibne Zyad ne Hussain Razi Allahu Anhu aur unke ristedaaron ko qatal kiya aur unke saron ko yazeed ke pass bheja to shuru mein yazeed unke qatal par khush hua aur uski wajah se ibne Zyad ka maqam yazeed ke nazdeek badh gya fir thode hi arshe baad yazeed naadim hua.

[Tareekh E Dimashq Libne Ashakir 10/94]

Ibne Zareer ne "حُدِّثتُ عن أبي عبیدة"
(Mujh se Abu Ubaidah Ke Hawale se bayan kiya gaya) kaha hai. yaani us shaksh ka name nahi bataya jiske waste se unhone Abu Ubaidah ki ye riwayat suni hai. In Illaton ki bina par ye riwayat shakth zaeef hai balki batil hai. khud Ibne Kasheer Rahimahullah ne bhi is baat ko bil-jazam kazzabo aur jhoothe shiyon ki manghdat baat kahi hai.

[Al-Takmeel Fi Al-Zarah Wal-Ta'adeel Libne Ashakir 2/375]

Fir yahan is baat ko "قیل" (Kaha gaya) ke shege se nakal kiya hai jo gair sabit hone ki taraf ishara hai.

Tambeeh :- Tareekh E Tabri Mein hai

"قال أبو جعفر: وحدثني أبو عبيدة معمر بن المثنى أن يونس بن حبيب الجرمي حدثه، قال: لما قتل عبيد الله بن زياد الحسين بن علي وبني أبيه، بعث برؤوسهم إلى يزيد بن معاوية، فسر بقتلهم أولا، وحسنت بذلك منزلة عبيد الله عنده، ثم لم يلبث إلا قليلا حتى ندم على قتل الحسين"

[Tareekh E Tabri 5/506]

Arz hai ki yahan par Abu Za'afar Yani Ibne Zareer Aur Abu Ubaidah ke darmiyan jo "حدثني" ka shega hai wo galat hai kyunki Ibne Zareer Tabri (Paidaish : 224 Hijj & Died : 310 Hijj) ki paidaish Abu Ubaidah (Died 208 Hijj) ki wafat 16 saal baad huyi.

[{Tareekh E Bagdad 2/166 Matbua'a Al-Sa'adah} ,(Tahzeeb Ul Kamal Lil Mizzi 28/320)]

Fir ye kaise mumkin hai ki Ibne Zareer Tabri , Abu Ubaidah se "حدثني" ke shege se riwayat karen? Lihaza yahan par shega "حُدِّثتُ" hona chahiye yani unke Hawale se bayan kiya gaya , Chunacha Ibne Zareer hi ke tareek se Ibne Ashakir ne bhi yahi riwayat nakal kiya hai aur unki riwayat mein Ibne Zareer Aur Abu Ubaidah ke darmiyan "حُدِّثتُ" hi ka shega hai jaisa ki upar ye riwayat sanad wa matan ke sath nakal ki gayi hai.

[Asal Mazmoon "Yazeed Ibne Muawiyah" Par Iljemaat Ka Tehqeeqi Jayezah Safa Number - 825-827]
 

Top