Kya Waqya e Harrah Ke Baad Hajaaro Auraten bagair Shauhar ke bacche jane


Abdul Adil

Member
Kya Waqya e Harrah Ke Baad Hajaaro Auraten bagair Shauhar ke bacche jane .

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Hisaam Bin Hisaan se riwayat hai

"عن المدائني، عن أبي قرة، قال: قال هشام بن حسان: (؟) ولدت ألف امرأة بعد الحرة من غير زوج“

Harra ke baad Hajaaro auraton ne bagair Shauhar ke bacche jane.

[Al-Muntazim Libne Zauzi 6/15 , Al Radd Alal Mutassab Ul Unaid Almane Min Zamm Yazeed Safa - 67]

Ye riwayat baatil wa mardood hai kyunki ise bayan karne wale Hisaam Bin Hisaan basri ki wafat 148 Hijri hai . Ye Shigaar Tabeyeen ke daur ke hai aur Harrah ka jamana inhone nahi paya hai , bina bare iska koyi saboot nahi hai lihaza ye be-hawala baat mardood wa batil hai.

Gaur karen ki kitni azeeb baat hai ki koyi kahta hai : Waqya E Harrah mein ek Hajaar ladkiyon ki ismat dari ki gayi aur koyi unme se ek ladki se bacche paida karwa rha hai .
 

Top