Abdul Adil

Member
Romanised :- Abdul Adil Ansari

Social Media Par Ek Post Viral Hai jisme ye dawa'a kiya gya hai ki Rasoolullah ﷺ Ne Faramaaya ki meri ummat ka mamla sab theek thaak rahega yaha tak banu Umaiyyah ka ek shaksh jiska name yazeed hoga use bigaad dega ye waqya Sahabi E Rasool Hazrat Abu Ubaidah Razi Allahu Anhu ki taraf mansoob kiya gya hai jaisa ki ye poster me dawa'a kiya gya hai

75


Poster me darz riwayat ki tahqeeq :-


Imam Abu Ya'ala Rahimaullah ( died 397 ) ne kaha 👇

حدثنا الحكم بن موسی، حدثنا الولید بن مسلم، عن الأوزاعی، عن مكحول، عن ابی عبیده، قال رسول الله ﷺ ، لا یزال أمر أمتی قائما بلقسط حتی یكون أول یثلمه رجل من بني أمیه ، یقال له یزید .

Meri ummat ka mamla theek thaak hoga yahan tak ki sabse pahle jo shash bigadega woh banu umayyah ka ek admi hoga use yazeed kaha jayega.

{Musnad Abi Ya'ala Al-Moshli Jild-2 Safa-176}

ye riwayat baatil aur mardood hai isme do illate hai

Inqita'a :- Makhool ki Abu Ubaidah Razi Allahu Anhu se na mulaqat saabit hai aur na sama'a

۞ Imam Ibne Kasheer Rahimahullah ( died 774 H ) ne makhool An Abu Ubaidah Wale Tareeq ke bare me kaha hai 👇

وهذا منقطع بین مكحول وأبی عبیده

Ye riwayat makhool aur Abu Ubaidah ke darmiyan munqate hai ( died 807 H ) ne kaha 👇

[Refrence Al Bidaaya Wal Nihaya Jild 8 Safa 231]

۞ Imam Haishmi Rahimaullah ( died 807 H ) ne kaha 👇

إن مكحول لاً لم یدرك أبا عبیده

Makhool ki mulaqat Abu Ubaidah Se nahi huyi hai

[Reference :- [Mazmua'a Al Zawaid Lil Haishmi Jild - 5 Safa Number 292]

۞ Imam Boashri Rahimahullah ( died 840 H ) ne kaha 👇

رَوَاهُ أَحمَدُ بۡنُ مَنِیعٍ وَالحَارِثُ بۡنُ أَبِيُ أُسَامَهَ وَأَبُو یَعلیٰ بِسَنَدٍ مُنۡقَطِعٍ

Ise Ahmad Bin Maneey, Haarish bin abi osama , aur Abu Ya'ala ne munqate sanad se riwayat kiya hai .

Reference :-

[ أتحاف الخیره المهره للبوصیری ۸۵/۸]


۞ Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ( died 852 H ) ne bhi Makhool An Abi Ubaidah waale tareek ke bare me kaha hai 👇

رجاله ثقات إلا أنه منقتع

iske rizaal siqah hai , lekin ye munqate hai

Reference :-

[ المطالب العالیه بزوائد المسانید الثمانیه ٤٥٧/٤ ]

Waleed Bin Muslim Ka An-Ana :-

is riwayat me waleed bin muslim hai jo ki mudallish hai . tadlees e tashwiya karne wale raawi hai aur tadlees e tashwiya karne wale riwayat jab tak apne upar se sanad ke tamam tabqaat me sama'a ( سماع ) ya تحدیث ki sharahat na kare tab tak wo riwayat zaeef hoti hai .


Asal Mazmoon :- Yazeed Ibne Muawiyah Par iljemaat ka Tahqeeqi jayeza Safa Number 39-41



{ Mazeed Ijaafa }

Muhaddis ul asar Hafiz Jubair Ali Zai Rahimahullah ne kaha 👇

الولید بن مسلم الدمثقی ، معروف موصوف بلتدلیس الثدید مع الصدك


Reference :- [Fathul Mubeen Fee Tehqeeq Tabqatul Mudalliseen, Jild - 4 Safa: 73, Raqam: 127]


Muhaddis ul Asar Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ne Waleed Bin Muslim Ki Sanad Me Musalsal Simaa Na Hone ki Wajah Se Abu Dawud Ki Tehqeeq Me Isse Marwi Riwayat Ko Zaeef Kaha Hai. Misaal Ke Taur Pe dekhe 👇

Sunan Abu Dawud Hadees Raqam: 415 (Tehqeeq Zubair Ali Zai Rahimahullah , Darus Salaam Publication)

Wallahu Aalam
 

Top