Abdul Adil

Member
Assalamualaikum Warah Matullah wa barkatuhu

hamare Hanafi bhai Tarq e rafadain par do hadeese jyadah pesh karte hai ek Saheeh Muslim Ki Hazrat Jabir Bin Samurah Razi Allahu Anhu wali hadees aur doosri Tirmizi Me Hazrat Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu wali hadees. Halakin in dono hadeeson se tarq e rafadain ka unka istedlaal galat hai.

Saheeh Muslim Ki Hadees par hamne detail me Shaikh Gulam Mustafa Zaeehr Amanpuri Hafizahullah aur Shaikh Kifayatullah Sanabili hafizahullah ki tahqeeq pesh kr di hai ki ye hadees Salam ke waqt ki hai aur Muhaddiseen ka is par ijma hai uski link ye hai 👇


Ab aayiye Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu ki hadees par

حَدَّثَنَا هَنَّادٌ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ سُفْيَانَ، عَنْ عَاصِمِ بْنِ كُلَيْبٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ الْأَسْوَدِ، عَنْ عَلْقَمَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْعُودٍ:‏‏‏‏ أَلَا أُصَلِّي بِكُمْ صَلَاةَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏فَصَلَّى فَلَمْ يَرْفَعْ يَدَيْهِ إِلَّا فِي أَوَّلِ مَرَّةٍ

Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu ne kaha kya main tumhe Rasoolullah ﷺ ki namaz na padhau? to unhone namaz padhayi aur sirf pahli martaba apne dono hanth uthaye.

[Jamey Tirmizi Hadees Number 257]

Note :- Ye Hadees Deegar Bahut si kitabon me mauzood hai jaise 👇

[Sunan Abu Dawd Hadees Number 748]
[Sunan Nisai Hadees Number 1032]
[Mishkat Hadees Number 809]
[Sunan Al Qurba Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 858 International Number 2531]
[Musnad Ahmad 1/388 , 444]



Hadees Ke Raawi👇

1:- Hannad
2:- Waqeey
3:- Sufiyan Sori
4:- Aasim Bin Qulaib
5:- Abdurrahman Bin Al-Aswad
6:- Alqama

Tabsharah :-

➊ Ye riwayat Zaeef hai

isme sufiyan sori hai joki bil-ijma mudallis hai saari ki saari sanado me 'an' se riwayat kar rhe hai sima'a ki tashreeh sabit nahi

Muslim usool hai ki jab siqah Mudallis bukhari wa muslim ke alawa 'an ' ya «قال» ke alfaaz ke sath hadees bayan kare to wo zaeef hoti hai

Is Hadees Ke raawi Imam Abdullah Bin Mubarak Rahimahullah ne Imam Hasheeem Bin Basheer Rahimahullah se poocha Aap tadlees kyu karte hai to unhone faramaya

«ان كبيريك قد دلسا الأعمش وسفيان.»

Aap ke do bado, Imam A'amash aur Imam Sufiyan Rahimahullah ne bhi tadlees ki hai

[Al-Kamil Lil Ibne Adi 1/95, 7/135 Sanad Saheeh]

Imam Aiynee Hanafi likhte hai

«سفيان من المدلسين، والمدلس لا يحتج بعنعنته الا أن يثبت سماعه من طريق آخر.»

Sufiyan Mudallis Raawiyon me se hai aur Mudallis ke An-Ana se huzzat nahi li jati , Illa ye ki doosri sanado me sima'a sabit ho jaye

[Umdatul Qari 3/112]


Ye Zaeef Riwayat Aam hai jabki ruku ko jate aur ruku se sar uthate waqt rafadain ke mutalliq ahadees khash hai , khash ko aam par muqaddam kiya jata , lihaza ye hadees adm e rafadain ke saboot par daleel nahi ban sakti

➌ Rafadain na karne wale ye bataye ki wo is hadees ko pesh past dalte huye khud witron aur Eidain me pahli takbeer ke ilawa rafadain kyu karte hai?



Is Hadees Ke Bare me Muhaddiseen ke aqwaal :-

Abdullah Ibne Mubarak Rahimahullah

Abdullah Ibne Mubarak Rahimahullah ne kaha 👇

لم یثبت عندي حدیث ابن مسعودؓ

Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu ki (taraf manssob) ye hadees sabit nahi hai

[Jamey Tirmizi Hadees Number 256, Sunan Daraqutni 1/393 , Sunan al Kubra Lil Baihaqi 2/79 Sanad Saheeh]

Abdullah ibne mubarak Rahimahullah mazeed farmate hai 👇

(۲۵۳۳) أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّہِ الْحَافِظُ حَدَّثَنِی أَبُو بَکْرٍ: مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّہِ الْجَرَّاحِیُّ بِمَرْوٍ حَدَّثَنَا یَحْیَی بْنُ سَاسَوَیْہِ حَدَّثَنَا عَبْدُ الْکَرِیمِ السُّکَّرِیُّ حَدَّثَنَا وَہْبُ بْنُ زَمْعَۃَ أَخْبَرَنَا سُفْیَانُ بْنُ عَبْدِ الْمَلِکِ قَالَ سَمِعْتُ عَبْدَ اللَّہِ بْنَ الْمُبَارَکِ یَقُولُ: لَمْ یَثْبُتْ عِنْدِی حَدِیثُ ابْنِ مَسْعُودٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّہِ -ﷺ- رَفَعَ یَدْیَہِ أَوَّلَ مُرَّۃٍ ، ثُمَّ لَمْ یَرْجِعْ۔ وَقَدْ ثَبَتَ عِنْدِی حَدِیثُ رَفْعِ الْیَدَیْنِ ذَکَرَہُ عُبَیْدُ اللَّہِ وَمَالِکٌ وَمَعْمَرٌ وَابْنُ أَبِی حَفْصَۃَ عَنِ الزُّہْرِیِّ عَنْ سَالِمٍ عَنِ ابْنِ عُمَرَ عَنِ النَّبِیِّ -ﷺ-۔ قَالَ: وَأُرَاہُ وَاسِعًا ثُمَّ قَالَ عَبْدُ اللَّہِ: کَأَنِّی أَنْظُرُ إِلَی النَّبِیِّ -ﷺ- وَہُوَ یَرْفَعُ یَدْیَہِ فِی الصَّلاَۃِ لِکَثْرَۃِ الأَحَادِیثِ وَجَوْدَۃِ الأَسَانِیدَ۔

[صحیح۔ انظر ۲۵۳۰]

Sufiyan Bin Abdullah farmate hai ki Maine Abdullah ibne mubarak ko ye farmate huye suna ki mere nazdeek Abdullah Ibne Mas'ood Razi Allahu anhu ki hadees ki Rasoolullah ﷺ ne sirf pahli martaba rafadain kiya fir dubara nahi kiya sabit nahi hai . aur mere pass to rafadain ki hadees sabit hai jise Ubaidullah Maalik , Mammar aur ibne abi hafsah ne Zohri se unhone Saalim ke waste se Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai . Fir Abdullah Ibne Mubarak Rahimahullah kahne lage hadees ki kashrat aur unki isnaad ke zid hone ki wajah se mera yahi khayal hai goya Main Nabi ﷺ ko namaz me rafadain karte dekh rha huun

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild - 2 Hadees Number 860 & International Number 2533]


Imam Bukhari Rahimahullah

قال البخاری ویروی عن سفیان عن عاصم بن كلیب عن عبد الرحمان بن الأسود عن علقمه قال ، قال ابن مسعود ألا أصلی بكم صلاة رسول الله صلی علیه وسلم فصلّی ولم یرفع يدیه إلامرة

و قال أحمد بن حنبل عن یحيی بن اَدم ، نظرت فی كتاب عبد الله بن إدریس عن عاصم بن كلیب لیس فیه ثم لم یعد فهذا أصح لأن الكتاب أحفظ عند أهل العلم لأن الرجل ربما حدیث بشي ثم يرجع ألی الكتاب فیكون كمافی الكتاب


Bukhari ne kaha Sufiyan ( Sori ) ne an aasim bin kulaib , an abdurrahman bin al-aswad, an Alqama ki sanad se marwi hai ki unhone kaha Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu ne farmaya kya main tumhe Rasoolullah ﷺ ki namaz padh kr na batau ? fir unhone namaz padhi to ek dafa ke alawa rafadain nahi kiya.

aur ahmad bin Hambal ne Yahya bin Aadam se bayan kiya ki maine abdullah bin idrees ki Aasim bin qulaib se kitab me dekha hai. isme fir dubara nahi kiya ke alfaaz nahi hai , Aur (Abdullah Bin Idrees) ki ye Riwayat jyadah saheeh hai kyunki ulema ke nazdeek kitab jyada mahfooz hoti hai kyunki aadmi baaz auqaat koyi baat karta hai fir jab (apni kitab) ki taraf ruzu karta hai to (saheeh) wahi hota hai jo kitab me hai


[Juz Rafadain Safa Number 57 Hadees Number - 32]

3) Imam Abu Dawd Rahimahullah ne kaha👇

هَذَا حَدِيثٌ مُخْتَصَرٌ مِنْ حَدِيثٍ طَوِيلٍ وَلَيْسَ هُوَ بِصَحِيحٍ عَلَى هَذَا اللَّفْظِ.

Ye ek taweel ( lambi ) hadees ka ek mukhtashar ( thoda ) sa tuqda hai aur ye Hadees is lafz ke saath saheeh nahi

[Sunan Abi Dawd Hadees number 748]

Imam Safayee Rahimahullah ne tarq e rafadain ki hadees ko radd kar diya ki ye sabit nahi hai


قَالَ الزَّعْفَرَانِیُّ قَالَ الشَّافِعِیُّ فِی الْقَدِیمِ: وَلاَ یَثْبُتُ عَنْ عَلِیٍّ وَابْنِ مَسْعُودٍ یَعْنِی مَا رَوَوْہُ عَنْہُمَا مِنْ أَنَّہُمَا کَانَا لاَ یَرْفَعَانِ أَیْدِیَہُمَا فِی شَیْئٍ مِنَ الصَّلاَۃِ إِلاَّ فِی تَکْبِیرَۃِ الاِفْتِتَاحِ۔

قَالَ الشَّافِعِیُّ رَحِمَہُ اللَّہُ: وَإِنَّمَا رَوَاہُ عَاصِمُ بْنُ کُلَیْبٍ عَنْ أَبِیہِ عَنْ عَلِیٍّ۔ فَأَخَذَ بِہِ وَتَرَکَ مَا رَوَی عَاصِمٌ عَنْ أَبِیہِ عَنْ وَائِلِ بْنِ حُجْرٍ: أَنَّ النَّبِیَّ -ﷺ- رَفَعَ یَدَیْہِ کَمَا رَوَی ابْنُ عُمَرَ ، وَلَوْ کَانَ ہَذَا ثَابِتًا عَنْ عَلِیٍّ وَعَبْدِ اللَّہِ کَانَ یُشْبِہُ أَنْ یَکُونَ رَآہُمَا مَرَّۃً أَغْفَلاَ فِیہِ رَفْعَ الْیَدَیْنِ ، وَلَوْ قَالَ قَائِلٌ ذَہَبَ عَنْہُمَا حِفْظُ ذَلِکَ عَنِ النَّبِیِّ -ﷺ- وَحَفِظَہُ ابْنُ عُمَرَ لَکَانَتْ لَہُ الْحُجَّۃُ۔

[صحیح۔ رجالہ کلہم ثقات]


Jaafraani Kahte Hai ki Imam Safayi Rahimahullah apne qaul me farmaate hai ki Hazrat Ali Razi Allahu Anhu aur Hazrat Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu ki Riwayat sabit nahi ki wo dono sirf namaz ki ibteda me rafadain karte the uske alawa nahi karte the.

Imam Safayi Rahimahullah farmate hai ki ye hadees sirf aasim bin qulaib apne walid se aur wo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai unhone us riwayat ko le liya lekin jo riwayat aasim bil qulaib ne apne baap aur unhone Waayil Bin Huzr Razi Allahu Anhu se riwayat li hai use chod diya yani Nabi ﷺ ne rafadain kiya jaisa ki Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne riwayat kiya hai aur agar ye Riwayat Ali Aur Abdullah Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu se sabit bhi ho jaye to is me ye istebaah bhi ho sakta hai ki unhone ek hi baar dekha ho aur rafadain ki taraf dhyan na diya ho. agar koyi kahne wala ye kahe inse ye Yaddaasth chali gayi aur Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne isko yaad rakha to uske liye huzzat ban sakti hai



[Sunan Al Kubra Jild - 2 Hadees Number - 862 & International number 2535]

Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ne is riwayat par kalam kiya hai👇

و قال أحمد بن حنبل عن یحيی بن اَدم ، نظرت فی كتاب عبد الله بن إدریس عن عاصم بن كلیب لیس فیه ثم لم یعد فهذا أصح لأن الكتاب أحفظ عند أهل العلم لأن الرجل ربما حدیث بشي ثم يرجع ألی الكتاب فیكون كمافی الكتاب


aur ahmad bin Hambal ne Yahya bin Aadam se bayan kiya ki maine abdullah bin idrees ki Aasim bin qulaib se kitab me dekha hai. isme fir dubara nahi kiya ke alfaaz nahi hai , Aur (Abdullah Bin Idrees) ki ye Riwayat jyadah saheeh hai kyunki ulema ke nazdeek kitab jyada mahfooz hoti hai kyunki aadmi baaz auqaat koyi baat karta hai fir jab (apni kitab) ki taraf ruzu karta hai to (saheeh) wahi hota hai jo kitab me hai

[Juz Rafadain Safa Number 57 Hadees Number - 32]

Imam Daraqutni Rahimahullah ne kaha👇

«وليس قول من قال: ثم لم يعد محفوظا.»

Jis Raawi ne dubarah rafadain na karne ke alfaaz kahe hai uski Riwayat mahfooz nahi

[ Al-Illal Daraqutni Jild-5 Safa-173 Masla-804]


Hafiz Ibne Hibban Rahimahullah ne Kitabus Salat me kaha 👇

هو فی الحقیقه أضعف شئ یعول علیه لأنّ له عللاً تبطله

ye riwayat haqiqat me sabse jyadah Zaeef
kyunki iski illate hai jo ise batil karar deti hai
.

[Al-Talkhish ul Kabeer Lil Ibne Hazar 1/222 Hadees Number-328]


Imam Abu Hatim Ar Raazi Rahimahullah ne kaha 👇

«هذا خطأ.»

Ye galti hai

[Al-Illal 1/96]

Is Hadees Ko Zaeef kahne wale 20 Muhaddiseen ke name :-

1] Abdullah Ibne Mubarak Rahimahullah

Reference :- Sunan Tirmizi Hadees Number 256

2] Imam Safayi Rahimahullah

Reference :- Sunan Al Kubra Jild - 2 Hadees Number - 862 & International number 2535

3] Yahya Ibne Aadam Rahimahullah

Reference :- Al-Talkhish ul kabreer 1/222

4] Imam Bukhari Rahimahullah

Reference :- Juz Rafadain Hadees Number - 32 Safa - 57

5] Imam Abu Dawd Rahimahullah

Reference :- Sunan Abu Dawd Hadees Number 748

6] Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah

Reference :- At-Tamheed 9/219

7] Abu Hatim Ar Razee Rahimahullah

Reference :- Al-Illal 1/96

8] Imam Daraqutni Rahimahullah

Reference :- Al-Illal Daraqutni Jild-5 Safa-173 Masla-804

9] Imam Ibne Hibban Rahimahullah

Reference :- Al-Talkhish ul Kabeer Lil Ibne Hazar 1/222 Hadees Number-328

10] Imam Abu Bakar Bin Al Bazzar Rahimahullah

Reference :- At-Tamheed 9/220,221

11] Imam Mahmood Bin Wajah Rahimahullah

Reference :- At-Tamheed 9/220,221

12] Ibne Qata'an Rahimahullah

Reference :- Nisbur Ra'aya 1/395

13] Yahya Rahimahullah

Reference :- Hashiya Jalalul Aiynee Safa - 88

14] Imam Ibne Mulqin Rahimahullah

Reference :- Hashiya Jalalul Aiynee Safa - 88

15] Imam Haqim Rahimahullah

Reference :- Hashiya Jalalul Aiynee Safa - 88

16] Imam Nawawi Rahimahullah

Reference :- Hashiya Jalalul Aiynee Safa - 88

17] Imam Darmi Rahimahullah

Reference :- Tazeeb us sunan 2/449

18] Imam Baihaqi Rahimahullah

Reference :- Mazmua Al Nawawi 3/403

19] Imam Ibne Abdul Barr Rahimahullah

Reference :-
مرعاة المفاتیح 2/323


20] Ibne Qudama Rahimahullah

Reference :- 1/295

Note:- Itni daleele pesh karne ke baad agar koyi ye kahe ki Imam Tirmizi Rahimahullah ne is hadees ko hasan kaha hai

to uska jawab ye hai ki hanafi mazhab ki mo'atabar kitab me likha hai


Ibne Dahiya Ne Apni kitab ”العلم المشہور“ me kaha hai ki Imam Tirmizi Rahimahullah ne apni kitab me kitni hi mauzu (manghadat) aur Zaeef sanado wali hadees ko hasan kah diya hai

[نصب الراية للزيلعي:217/2، البناية للعيني:869/2، مقالات الكوثري:311، صفائح اللجين از احمد رضا خان بريلوي:29]
 
Last edited:

Top