Kya Talaaq dene se Allah ka Arsh kaanpta hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Talaaq dene se Allah ka Arsh kaanpta hai?

Sawaal:
Kya talaaq dene se Allah ﷻ ka Arsh kaanpne lagta hai?

Jawaab:
Is silsile mein ek Hadees bayan ki jaati hai lekin woh Hadees Mauzoo’ aur Manghadat hai, Sahih nahi hai.
Woh Hadees is tarah se hai, ’Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhu bayan karte hain ki Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya:
ﻻَ ﺗُﻄَﻠِّﻘُﻮا ﻓَﺈِﻥَّ اﻟﻄَّﻼﻕَ يَهتَزُّ ﻣﻨﻪ العَرشُ​
Tarjumah: Talaaq mat do, kiunki talaaq dene se Allah ka Arsh kaanpne lagta hai.
Isey Ibn-e-Adi ne “Al-Kamil (5/112)” mein aur Khateeb Baghdadi ne “Tareekh-e-Baghdad (12/191)” mein aur Ibn-ul-Jawzi ne “Al-Mauzoo’aat (2/277)” mein riwayat kiya hai. Is Hadees ki sanad yeh hai:
عمرو بنِ جُمَيع عن جُوَيبرٍ عن الضَّحّاكِ عن النزَّال بنِ سبرةَ عن عليِّ بنِ أبي طالبٍ رضيَ الله عنه​

Ibn-ul-Jawzi Rahimahullah kehte hain:
“Yeh Hadees Mauzoo’ hai... ’Amr bin Jumay’ mashhoor rawiyon se Munkar aur Mauzoo’ Ahadees riwayat karta hai.”

Aksar Ulama ne is Hadees par Za’eef aur Mauzoo’ hone ka hukm lagaaya hai jin mein se ba’z ahl-e-ilm zail mein bayan kiye jaate hain:
Khateeb Baghdadi ne “Tareekh-e-Baghdad (12/187)” mein, Ibn-ul-Qaysraani ne “Zakheerat-ul-Huffaaz (2/1147)” mein, Imam Sakhawi ne “Al-Maqasid-ul-Hasanah (31)” mein, Imam Shawkani ne “Al-Fawaid Al-Majmoo’ah (139)” mein, Imam San’aani aur Al-’Ajalooni ne “Kashf-ul-Khafa (1/361)” mein aur Allamah Albani Rahimahullah ne “Silsilat-ul-Ahaadees Az-Za’eefah Wal-Mauzoo’ah (1/278), Hadees No (147)” mein.
Is Hadees ke Za’eef aur Mauzoo’ hone ka yeh matlab nahi ki talaaq jaaiz hai, aur Allah ﷻ usey na-pasand nahi karta balki Allah ﷻ ko talaaq na-pasand aur Makrooh hai, aur sirf zaroorat ke waqt hi talaaq dena jaaiz hai, is liye kisi bhi shakhs ke liye jaaiz nahi ki woh baghair kisi jaaiz sabab ke apni biwi ko talaaq de.

Shaikh-ul-Islam Ibn-e-Taymiyah Rahimahullah kehte hain:
“Asal mein talaaq mamnoo’ hai, balki yeh sirf ba-qadr-e-zaroorat mabaah (jaaiz) ki gayi hai.”
(Majmoo’-ul-Fataawa: 33/81)

Islamqa: 43498
 

Top