سوال:- بخاری کی روایت ہے جس میں الله کے نبی ﷺ نے فرمایا دیور تو موت ہے۔۔۔
مجھے پوچھنا یہ ہے کی ہمارے معاشرے میں صرف چھوٹے بھائی کو ہی دیور کہا جاتا ہے تو کیا اس سے یہ سمجھا جائے کہ شوہر کا جو بڑا بھائی ہے وہ غیر محرم نہیں ہے ؟
وضاحت مطلوب ہے ۔۔۔
الله آپ کو جزائے خیر دے اور آپ کی صحت اور علم میں ترقی عطا فرمائے۔۔۔
 

Umar Asari

Administrator
Staff member
سوال:- بخاری کی روایت ہے جس میں الله کے نبی ﷺ نے فرمایا دیور تو موت ہے۔۔۔
مجھے پوچھنا یہ ہے کی ہمارے معاشرے میں صرف چھوٹے بھائی کو ہی دیور کہا جاتا ہے تو کیا اس سے یہ سمجھا جائے کہ شوہر کا جو بڑا بھائی ہے وہ غیر محرم نہیں ہے ؟
وضاحت مطلوب ہے ۔۔۔
الله آپ کو جزائے خیر دے اور آپ کی صحت اور علم میں ترقی عطا فرمائے۔۔۔
Sab se pehle Hadith dekh lete hain:
عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ، أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: إِيَّاكُمْ وَالدُّخُولَ عَلَى النِّسَاءِ، فَقَالَ رَجُلٌ مِنْ الْأَنْصَارِ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، أَفَرَأَيْتَ الْحَمْوَ؟ قَالَ: الْحَمْوُ: الْمَوْتُ​
Tarjumah: ’Uqbah bin Amir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke aurton mein jaane se bachte raho, is par qabeela-e-ansaar ke ek Sahabi ne arz kiya: Ya Rasoolallah (ﷺ)! Dewar ke mutalliq Aap ki kya raaye hai? (Woh apni bhabhi ke saath jaa sakta hai ya nahi?) Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaaya ke dewar (ya jeth) to maut hai.
(Sahih Bukhari: 5232, Sahih Muslim: 2172)

Is Hadith mein maujood lafz «الْحَمْوُ» ke mutalliq is Hadith ke rawi Laith bin Sa’d Rahimahullah kehte hain:

الْحَمْوُ أَخُ الزَّوْجِ وَمَا أَشْبَهَهُ مِنْ أَقَارِبِ الزَّوْجِ ابْنُ الْعَمِّ وَنَحْوُهُ​
Tarjumah: Hamw «الْحَمْوُ» shauhar ka bhai (dewar/jeth) hai ya us ke rishtedaaron mein us jaisa rishta rakhne waala, (misaal ke taur par) us ke chacha ka ladka waghera.
(Sahih Muslim: 2172)

Aur imam Nawawi Rahimahullah «الْحَمْوُ» ki tashreeh karte huwe likhte hain:

اتَّفَقَ أَهْلُ اللُّغَةِ عَلَى أَنَّ الاحماء أقارب زوج المرأة كأبيه وعمه وأخيه وابن أخيه وابن عَمِّهِ وَنَحْوِهِمْ وَالْأُخْتَانِ أَقَارِبُ زَوْجَةِ الرَّجُلِ وَالْأَصْهَارُ يَقَعُ عَلَى النَّوْعَيْنِ​
Tarjumah: Ahl-e-lughat (dictionary ke ulama) is par muttafiq hain ke “Al-Ahmaa” (yeh «الْحَمْوُ» se hai) shauhar ke azeez-o-aqaarib (qareebi rishtedaaron) ko kaha jaata hai misaal ke taur par us ka baap, chacha, bhai, bhateeja, chacha ka ladka aur jo in jaise hain. Aur “Ukhtaan” se muraad biwi ke azeez-o-aqaarib hain (yani yeh lafz aurat ki taraf se rishtedaaron ke liye bola jaata hai), aur “As’haar” ka lafz dono par bola jaata hai.

Us ke baad «الْحَمْوُ: الْمَوْتُ» (dewar maut hai) ki tashreeh (explanation) karte huwe kehte hain:
وَأَمَّا قَوْلُهُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْحَمْوُ الْمَوْتُ فَمَعْنَاهُ أَنَّ الْخَوْفَ مِنْهُ أَكْثَرُ مِنْ غَيْرِهِ وَالشَّرُّ يُتَوَقَّعُ مِنْهُ وَالْفِتْنَةُ أَكْثَرُ لِتَمَكُّنِهِ مِنَ الْوُصُولِ إِلَى الْمَرْأَةِ وَالْخَلْوَةِ مِنْ غَيْرِ أَنْ يُنْكَرَ عَلَيْهِ بِخِلَافِ الأجنبى
والمراد بالحمو هنا أَقَارِبُ الزَّوْجِ غَيْرُ آبَائِهِ وَأَبْنَائِهِ فَأَمَّا الْآبَاءُ والأبناء فمحارم لزوجته تجوزلهم الخلوة بها ولا يوصفون بالموت وانما المراد الأخ وابن الْأَخِ وَالْعَمُّ وَابْنُهُ وَنَحْوُهُمْ مِمَّنْ لَيْسَ بِمَحْرَمٍ
وَعَادَةُ النَّاسِ الْمُسَاهَلَةُ فِيهِ وَيَخْلُو بِامْرَأَةِ أَخِيهِ فَهَذَا هُوَ الْمَوْتُ وَهُوَ أَوْلَى بِالْمَنْعِ مِنَ الأجنبي لما ذكرناه فَهَذَا الَّذِي ذَكَرْتُهُ هُوَ صَوَابُ مَعْنَى الْحَدِيثِ​
Tarjumah: Aur Nabi ﷺ ke farmaan «الْحَمْوُ: الْمَوْتُ» (dewar maut hai) ka matlab yeh hai ke doosron ke muqaable mein us se ziyadah khauf hota hai aur us ki taraf se sharr ki tawaqqo’ (ummed) aur fitnah ziyada hota hai, kiunki us ke liye baghair kisi aitraaz ke aurat tak pahunchna aur us se khalwat (tanhaayi) karna mumkin hai jabki ajnabi ke liye aisa mumkin nahi. Aur yahan «الْحَمْوُ» se muraad shauhar ke waalid (susar) aur beton ke alawah baaqi azeez-o-aqaarib (rishtedaar) mard hain, jahaan tak shauhar ke aabaa-o-ajdaad (baap, dada) aur us (shauhar) ke beton ka talluq hai to woh log us ki biwi ke liye mehram hain jin se us ki khalwat (tanhaayi) jaaiz hai jinhein maut ke saath muttasif nahi kiya jaa sakta (yani unhein maut nahi kaha jaa sakta hai), balke yahan «الْحَمْوُ» se muraad shauhar ke bhai (dewar aur jeth), bhateeja, chacha, aur chacha ke ladke waghera hain jo ke mehram nahi hain. Aur is talluq se logon ki aadat yeh hai ke woh is mein susti karte hain aur dewar bhabhi se khalwat karta hai, aur yahi maut hai jo ajnabi ke muqaable mein ziyada mamnoo’ hai, is ki wajah hum ne (upar) bayan kar di hai, jo kuch main ne zikr kiya hai wahi Hadith ka sahih matlab hai.

Mazeed aage farmaate hain:
وقال ابن الْأَعْرَابِيِّ هِيَ كَلِمَةٌ تَقُولُهَا الْعَرَبُ كَمَا يُقَالُ الْأَسَدُ الْمَوْتُ أَيْ لِقَاؤُهُ مِثْلُ الْمَوْتِ
وَقَالَ القاضي معناه الخلوة بالأحماء مؤدية إِلَى الْفِتْنَةِ وَالْهَلَاكِ فِي الدِّينِ فَجَعَلَهُ كَهَلَاكِ الْمَوْتِ فَوَرَدَ الْكَلَامُ مَوْرِدَ التَّغْلِيظِ​
Tarjumah: Aur Ibn-ul-A’raabi kehte hain ki “is kalime ko Arab waise hi bolte hain jaise yeh kaha jaaye ki sher (loin) maut hai, ya’ni sher se milna aise hi hai jaise maut.
Aur Qazi kehte hain:
Is ka matlab Ahmaa (dewar, jeth aur shauhar ke rishtedaar mardon) ke saath khalwat (tanhaayi) ikhtiyaar karna hai jo fitne aur Deen ki tabaahi ki taraf le jaane waala hai, Nabi-e-Kareem ﷺ ne isey maut ki halaakat ki tarah hi qaraar diya hai, to yeh kalaam sakhti ke taur par aaya hai.
(Dekhen: Sharah Muslim Lin-Nawawi)

Khulaasa-e-Kalaam yeh hai ke «الْحَمْوُ» ka lafz sirf shauhar ke chhote bhai (dewar) ke liye hi nahi balke shauhar ke bade bhai (jeth) ke saath saath uske doosre rishtedaaron ke liye bhi iste’maal hota hai. Lehaza shauhar ke waalid (susar) aur beton ke alawah baaqi rishtedaaron se pardah karna waajib hai, jaisa ke tafseel guzar chuki hai.
(Mazeed tafseel ke liye Mausoo’ah Fiqhiyyah Kuwaitiyyah dekh sakte hain)

Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 

Umar Asari

Administrator
Staff member
سوال:- بخاری کی روایت ہے جس میں الله کے نبی ﷺ نے فرمایا دیور تو موت ہے۔۔۔
مجھے پوچھنا یہ ہے کی ہمارے معاشرے میں صرف چھوٹے بھائی کو ہی دیور کہا جاتا ہے تو کیا اس سے یہ سمجھا جائے کہ شوہر کا جو بڑا بھائی ہے وہ غیر محرم نہیں ہے ؟
وضاحت مطلوب ہے ۔۔۔
الله آپ کو جزائے خیر دے اور آپ کی صحت اور علم میں ترقی عطا فرمائے۔۔۔
Guzarish hai ki yahan urdu language ka istemaal na karen. Agar aap ko urdu aati hai to Mohaddis Forum par pooch sakte hain.
 

Similar threads


Top