Kya Shami Shaksh Ne Aurat Ki Ismat Dari ki Thi


Abdul Adil

Member
Kya Shami Shaksh Ne Aurat Ki Ismat Dari ki Thi

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- Yazeed Ibne Muawiyah Par Iljemat Ka Tahqeeqi Jayeza Safa : 461 - 462

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah (Died 752 Hijj) ne kaha

"قال الزبير بن بكار: حدثني عمي قال(؟) كان! بن مطيع من رجال قريش شجاعة ونجدة وجلدا فلما انهزم أهل الحرة، قتل عبد الله بن طلحة وفر عبد الله بن مطيع فنجا حتى توارى في بيت امرأة من حيث لا يشعر به أحد، فلما هجم أهل الشام على المدينة في بيوتهم، ونهبوهم، دخل رجل من أهل الشام دار المرأة التي توارى فيها ابن مطيع فرأى المرأة فأعجبته فواثبها فامتنعت منه فصرعها فاطلع ابن مطيع على ذلك فدخل فخلصها منه وقتل الشامي“

Mus'ab Bin Abdullah Zubairy kahte hai ki Ibne Mutee Quraish ke bahadur logon me se the , Jab Ahle Harrah ko siqast huyi aur Abdullah Bin Talha qatal huye to Ibne Mutee ne farar hokar apni jaan bachayi aur ek aurat ke ghar mein is tarah se chip gaye ki kisi ko iski khabar tak na huyi . fir jab ahle sham ne madeene par logon ke gharon mein hamla kiya aur unhe loota to ek shami shaksh us aurat ke ghar mein daakhil hua jisme Ibne Mutee chipe huye the , jab us shaksh ne us aurat ko dekha to wo use pasand aa gayi fir ye us aurat par toot pada us aurat ne apna bachao kiya lekin us shaksh ne use maat de di . Ibne Mutee ne ye sab dekha to andar daakhil huye aur us aurat ko us shaksh se bachaya aur us shami shaksh ko qatal kiya.

[Al-Isabah Libne Hajar 5/26]

Ye Riwayat batil wa mardood hai Zubair Bin Bikar ke chacha Mus'ab Bin Abdullah Al-Zubairy 236 Hijri mein faut huye aur Harrah Ka waqya 63 Hijri ka hai. Yani unhe Waqya E Harrah ka jamana mila hi nahi lihaza ye be-sanad aur be-hawala hone ki wajah se batil hai .

Is riwayat ke kazzab hone ki ek jabardast daleel ye bhi hai ki Ibne Mutee Ahle Shaam ke sakhth khilaaf hone ke bawzood bhi khud unhone Ahle Shaam ke is qirdaar se kisi ko aagah nahi kiya aur isme jarra barabar bhi sacchayi hoti to Ibne Mutee ko ye waqya aag ki tarah faila dena chahiye tha lekin aisa kuch nahi hua . sabit hua ki ye manghadat bat hai aur sarapa bakwas hai .
 

Top