KYA Saheeh Muslim ki hadees me Rafadain na karne ki hadees aayi hai


Abdul Adil

Member
_______________________________

Tahreer :- Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah Fawaid Wa Masail Saheeh Muslim Hadees Number 968

Mazeed Ijafa :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Romanised :- Abdul Adil Ansari

_______________________________


Sukoon Ke Saath Namaz Padhne Ka Huqm


«. . . خَرَجَ عَلَيْنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: " مَا لِي أَرَاكُمْ رَافِعِي أَيْدِيكُمْ، كَأَنَّهَا أَذْنَابُ خَيْلٍ شُمْسٍ، اسْكُنُوا فِي الصَّلَاةِ . . .»

Rasoolullah ﷺ hamare pass tashreef laye aur farmaya main tumko is tarah hanth uthate dekh rha hun goya wo shareer ghodo ki dumen hai tum log namaz me koyi harqat na karo

[Saheeh Muslim Kitabus Salat Hadees Number 968]

Fawaid Wa Masail :-

Sayyadana Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai bayan karte hain ki 👇

«خرج علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: مالي أراكم رافعي أيديكم كأنها أذناب خيل شمس؟ اسكنوا فى الصلاة!»

Rasoolullah ﷺ hamare pass tashreef laye aur faramaaya muje kya hua hai ki main tumhe shareer godon ki dumon ki tarah hanth uthate huye dekh rha hun Namaz Me sukoon ikhteyaar kiya karo

[Saheeh Muslim Jild-1 Safa Number - 181 Hadees Number 430]

Tabshara :-

➊ is saheeh hadees me ruku ko jate aur ruku se sar uthate waqt Rafadain ki nafi nahi hai balki muhaddiseen e kiraam ka is baat par ijma hai ki is ka talluq Tashahud aur salam ke sath hai, na ki qiyam ke sath, Tamim bin Tarfah [ تَمِيمِ بْنِ طَرَفَةَ ] ki yahi riwayat ikhtisaar ke sath musnad imam ahmad [93/5] me mauzood hai , jis me «وهم قعود» ( Aap Sallallahu Aaihi Wasallam ne yeh farmaan is haal mein farmaya ke Sahaba e kiraam Tashahud mein baithy huye the ) ke alfaaz hain, is ki wazuhaat o tayeed doosri riwayat mein Sayyadna Jabir bin Samra Razi Allah Anhu ke un alfaaz se bhi hoti hai 👇

«كنا اذا صلينا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم قلنا: السلام عليكم ورحمه الله، السلام عليكم ورحمة الله، وأشار بيده الي الجانبين، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: علام تؤمون بأيديكم كأنها أذناب خيل شمس؟ انما يكفي أحدكم أن يضع يده على فخذه، ثم يسلم على أخيه من على يمينه وشماله.»

Humm jab Rasoolullah ﷺ ke sath (ba-jamaat) namaz padhte the to assalamualaikum Warah Matullah, assalamualaikum Warah Matullah kahte, unhon ne apne haath ke sath dono janib ishara kiya, is par Rasoolullah ﷺ ne farmaya, tum apne hathon ke sath yun ishara kyun karte ho, jaisay woh shareer ghodon ki dumen hon? tum mein se kisi ko yeh kaafi hai ke woh apne haath ko apni Raan par rakhay, phir apne bhai sath namaz padhne walay par dayen aur bayen salam kahe.

[Saheeh Muslim Jild-1 Safa-181 Hadees Number ] - 431

Is riwayat ne bhi upar wali riwayat ka matlab wajeh kar diya hai, is par muhaddiseen ka faham sone par suhaga hai lihaza is hadees se Rafadain ke mansookh hone ka dawa'a karna ahle haq ko jeba nahi kisi Muhaddis ne is hadees ko adam Rafadain ke liye pesh nahi kiya ek momin ka iman is bat ko kaise tasleem kr le ki jo kaam Rasoolullah ﷺ pahle khud karte the wahi kam apne Sahaba ko karte dekha to usko sarkash ghodo ki dumon ki harqat se tasbeeh de di ?

◈ is hadees ke bare me dewbandiyon ke shaikh ul hind mahmood ul hasan dewbandi sahab kahte hai 👇

baaki ajnaab khayl ki riwayat se jawab dena ajruye insaaf durust nahi kyunki wo salam ke bare me hai

[تقارير شيخ الهند:65، مطبوعه اداره تاليفات اشرفيه ملتان]


◈ is hadees ke bare me janab muhammad taki usmani hayati dewbandi kahte hai 👇

lekin insaaf ki bat ye hai ki is hadees se hanafiya ka istedlaal mustabh aur kamzor hai kyunki ibne al qubtiyah ki riwayat me salam ke waqt ki jo tashreeh mauzood hai uski mauzoodgi me jahir aur mutbadar yahi ki Sayyadana Jabir Bin Samura Razi Allahu Anhu ki hadees Rafadain salam se pahle ke mutalliq hai aur dono hadeeson ko alag alag karar dena jab ki dono ka raawi ek hai aur matan bhi kareeb kareeb wahi hai, boad ( بُعد ) se khali nahi haqiqat yahi hai ki hadees ek hi hai aur Rafadain salam se pahle ke mutalliq hai . Ibne Al Qubtiyah Ka Tareek mufassal hai aur doosra mukhtasar wa muzmal lihaza doosre tareek ko pahle tareek par hi mahmool karna chahiye, Sayad yahi wajah hai ki hazrat anwar shah sahab kashmiri noorullah muraqqah me is hadees ko Hanafiya ki dalail me jikr nahi kiya

Mashoor Hanfi Imam Ibne Ibi Al Izz Rahimahullah ( died 792 H ) is hadees ke mutalliq likhte hai 👇


«وما استدل به من حديث جابر بن سمرة رضى الله عنه قال: خرج علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال: مالي أراكم رافعي أيديكم كأنها أذناب خيل شمس؟ اسكنوا فى الصلاة! رواه مسلم، وأن الأمر بالسكون فى الصلاة ينافي الرفع عندالركوع والرفع منه لا يقوي، لأنه قد جاء فى رواية أخري لمسلم عنه، قال: صلينا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فكنا اذا سلمنا، قلنا بأيدينا: السلام عليكم، فنظر الينا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: ما لكم تشيرون بأيديكم كأنها أذناب خيل شمس، اذا سلم أحدكم فليلتفت الي صاحبه، ولا يؤمي بيده۔ وأيضا فلا نسلم أن الأمر بالسكون فى الصلا ينافي الرفع عند الركوع والرفع منه، لأن الأمر بالسكون ليس المراد منه ترك الحركة فى الصلاة مطلقا، بل الحركة المنافية للصلاة بدليل شرع الحركة للركوع والسجود ورفع اليدين عند تكبيرة الافتتاح وتكبير القنوت وتكبيرات العيدين، فان قيل: خرج ذلك بدليل، قيل: وكذلك خرج الرفع عند الركوع والرفع منه بدليل، فعلم أن المراد منه الاشارة بالسلام باليد.»


aur jo Sayyadna Jabir Razi Allahu Anho ki sahih muslim wali hadees se istedlaal kiya jata hai ke Rasoolullah ﷺ ne sarkash ghodon ki dumon ki tarhan haath uthanay se mana farmaya aur namaz mein sukoon ka huqum farmaya, neez yeh kehna ki namaz mein sukoon ka hukum ruku jatay aur ruku se sar uthatay waqt Rafadain ke manafi hai, koyi Qawi baat nahi, kyunkay Jabir Razi Allahu Anho se hi marwi sahih muslim ki doosri riwayat mein hai, hum ( Sahaba ) Rasoolullah ﷺ ke saath ( ba-jamaat ) Namaz padhte thay, jab hum salam phertey to apne hathon ke saath ( ishara kar ke ) Assalamualaikum kahte, Rasoolullah ﷺ ne hamari taraf dekha to farmaya, tumhe kya hai ki tum apne hathon ke sath aisay ishara karte ho, jaisay woh shareer ghodon ki dumen hon, jab tum mein se koi salam phere to apne ( sath walay ) bhai ki taraf mun phere, haath ke sath ishara nah kare. isi tarhan hum is baat ko bhi tasleem nahi karte ke namaz mein sukoon ka hukum ruku ko jatay aur ruku se sir uthatay waqt Rafadain ki nafi karta hai, kyunki sukoon ke hukum se murad yeh nahi ke namaz mein bilkul harkat khatam chor di jaye, balkay is harkat ki nafi hai jo namaz ke manafi hai, Daleel yeh hai ke ruku, sajda, takbir Tehrima , Qunoot ki takbir aur Eidain ki takbeerat ke sath Rafadain mashroo hai ( woh bhi to harkat hai ). agar koi yeh kahe ke yeh harkat Daleel ke sath ( mumaniyat se ) khariz ho gayi hai. to usay bhi yahi jawab diya jaye ga ke ruku ko jatay aur ruku se sir uthatay waqt ki Rafadain bhi Daleel ke sath ( mumaniyat se ) khariz ho gayi hai. maloom hua ki is ( sahih muslim ki hadees Zabir Razi Allahu Anhu ) se murad salam ke waqt haath se ishara karna hai. “

[التنبيه على مشكلات الهداية لابن ابي العز الحنفي: 570/2، 571]

↰ itni wazahaat ke baad bhi agar koyi Rasoolullah ﷺ ke pyari sunnat Rafadain ke khilaf ye hadees pesh kre to us par afsos hai ki wo jahalat par mabni is tarah ki bayeed wa Azeeb bate krta hai


Hafiz Ibne Mulaqqin Rahimahullah ( 723-804 H ) is hadees ke bare me likhte hai 👇

«وهو حديث جابر بن سمرة، فجعله معارضا لما قدمناه من أقبح الجهالات لسنة سيدنا رسول الله صلى الله عليه وسلم، لأنه لم يرد فى رفع الأيدي فى الركوع والرفع منه، وانما كانوا يرفعون أيديهم فى حالة السلام من الصلاة ويشيرون بها الي الجانبين، يريدون بذلك السلام على من على الجانبين، وهذا لا اختلاف فيه بين أهل الحديث، ومن له أدني اختلاط بأهله، وبرهان ذلك أن مسلم بن الحجاج رواه فى صحيحه من طريقين.»

woh Jabir bin Samra Razi Allahu Anhu ki hadees hai, usay hamari pesh kardah riwayat ( rafadain ) ke mukhalif banana hamare Rasoolullah ﷺ ki sunnat se qabeeh tareen jahalat hai, kyunkay yeh hadees ruku ke jane aur ruku se sar uthany ke baray mein nahi hai, asal baat yeh hai ke Sahaba kiraam namaz se salam pherne ki haalat mein apne hathon ko utha kar dono taraf ishara karte thay, woh is se salam karne ka iradah karte thay, is baray mein muhaddiseen aur un se adna sa bhi talluq rakhnay walon mein koyi ikhtilaaf nahi, is ki Daleel yeh hai ke imam muslim ne is hadees ko apni sahih mein do sandon ke sath riwayat kiya hai

[البدر المنير لابن الملقن:485/3]


Sharah Muslim Hafiz Nawawi Rahimahullah ( Died 676 H) likhte hai 👇

«وأما حديث جابر بن سمرة، فاحتجاجهم به من أعجب الأشياء، وأقبح أنواع الجهالة بالسنة، لأن الحديث لم يرد فى رفع الأيدي فى الركوع والرفع منه، ولكنهم كانوا يرفعون أيديهم فى حالة السلام من الصلاة ويشيرون بها الي الجانبين، يريدون بذلك السلام على من عن الجانبين، وهذا لا خلاف فيه بين أهل الحديث ومن له أدني اختلاط بأهل الحديث، ويبينه أن مسلم بن الحجاج رحمه الله رواه فى صحيحه من طريقين.»

rahi Sayyadana Jabir bin Samra Razi Allahu Anhu ki hadees se in ( ahnaaf ) ka Daleel lena bahut bada ajooba aur sunnat Rasool se jahalat ka qabeeh tareen namona hai, kyunkay yeh hadees ruku aur sar uthatay waqt rafadain ke baray mein nahi, balkay Sahaba kiraam namaz se salam phairnay ki haalat mein apne hathon ko uthatay aur un ke sath dono janib ishara karte thay, un ka iradah dono janib salam karne ka hota tha. is baat mein muhaddiseen aur un se adna sa talluq rakhnay walon mein se kisi ka koyi ikhtilaaf nahi, is ki wazahat is baat se hoti hai ke imam muslim ban al-hijaz Rahimahullah ne is hadees ko apni sahih mein do sandon se riwayat kya hai .

[المجموع:403/3] [شرح المهذب 3/ 403
]

Imam Ibne Hibban Rahimahullah ( Died 354 H ) ne is hadees par youn baab qayem kiya hai 👇

«ذكر الخبر المقتضي للفظة المختصرة التى تقدم ذكرنا لها، بأن القوم انما بالسكون فى الصلاة عند الاشارة بالتسليم دون رفع اليدين عند الركوع.»

is hadees ka bayan jo taqaza karti hai ki hamare jikr kardah mukhtasar alfaz se murad ye hai ki Sahaba Kiraam Ko sirf namaz me salam ka ishara krte waqt sukoon ka huqm diya gya tha na ki ruku me rafadain karte waqt

[صحيح ابن حبان:تحت حديث:1880]


Ameerul Momineen Dil Hadees , Faqihul ummat Sayyadana imam bukhari Rahimahullah ( died 256 H ) is hadees Jabir Bin Samurah Razi Allahu Anhu ke bare me likhte hai 👇

«فانما كان هذا التشهد، لا فى القيام، كان يسلم يعضهم على بعض، فنهي النبى صلى الله عليه وسلم عن رفع الأيدي فى التشهد، ولا يحتج بهذا من لا حظ من العلم، هذا معروف مشهور، لا اختلاف فيه، ولو كان كما ذهب اليه لكان رفع الأيدي فى أول التكبيرة وأيضا تكبيرات صلاة العيدين منهيا عنها، لأنه لم يستثن رفعا دون رفع، وقد بينه حديث.»

Yeh hadees Tashahud ke baray mein thi, nah ke qiyam ke baray mein, Sahaba Kiraam ( haath utha kar ) Ek dosray par salam kahte thay, To Rasoolullah ﷺ ne Tashahud mein hathon ko uthanay se mana farma diya, is hadees se koi bhi aisa shaksh ( Rafadain ki mumanat par ) daleel nahi le ga jis ko ilm ka kuch hissa naseeb hua ho, yeh baat mashhoor o Maroof hai, is mein koi ikhtilaaf nahi, agar baat aisi hoti, jaisay yeh ma'ana ( Maney rafadain ) gya hai to pahli takbir aur eid ki takbeeraat ke sath rafadain bhi mana hona chahiye tha, magar ( is hadees mein ) Rasoolullah ﷺ ne rafadain ka koi mauqa mustasna nahi farmaya, fir ( doosri ) hadees ne bhi is ki wazahat kar di hai.

[جزء رفع اليدين للامام البخاري:ص61۔62
]


➋ agar rafadain namaz me sukoon ke manafi hai to shuru namaz me kyun kiya jata hai? shuru namaz me rafadain dakhil hai jaisa ki Sayyadana Malik Bin Huwairsih Razi Allahu Anhu se riwayat hai

«كان اذا كبر رفع يديه.»

Rasoolullah ﷺ Jab Allahu Akbar Kahte To Rafadain Karte The

[صحيح مسلم: 168/1 ح: 391]

Ye Bat maloom hai ki namaz takbeer e tahrima se shuru ho jati hai

Al-Hashil :- Hadees Jabir Razi Allahu Anhu ka ta'alluq bila ikhtelaaf salam ke sath hai is adm Rafadain lene wale Imam Bukhari Hafiz Nawawi , Hafiz Ibne Mulaqqin Rahimahullah ke nazdeek Jaahil aur Mahmood ul Hasan Dewbandi, Taki Usmani Dewbandi sahab ke nazdeek na-insaaf hai

[Mahamana As-sunnah Jhelam , Shumara Number - 12 Hadees / Safah Number - 4]

_______________________________

{Mazeed Ijafa Tahqeeq Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah}


Muhaddiseen ka ijma :-

Muhaddiseen ka is bat lar ijma hai ki jer e bahas riwayat me mamnua'a rafadain ka ta'alluq Tashahud ke waqt hai



Imam Nawawi Rahimahullah ne baab qayem kiya hai 👇


”بَابُ الْأَمْرِ بِالسُّكُونِ فِي الصَّلَاةِ، وَالنَّهْيِ عَنِ الْإِشَارَةِ بِالْيَدِ، وَرَفْعِهَا عِنْدَ السَّلَامِ، وَإتْمَامِ الصُّفُوفِ الْأُوَلِ وَالتَّرَاصِّ فِيهَا وَالْأَمْرِ بِالِاجْتِمَاعِ“

[صحيح مسلم 1/ 322]



Imam Abu Dawd Ne Baab qayem kiya hai 👇

”بَابٌ فِي السَّلَامِ“

[سنن أبي داود 1/ 261]



3 Imam Nasai Ne Baab qayem kiya hai 👇

”بَابُ السَّلَامِ بِالْأَيْدِي فِي الصَّلَاةِ“

[سنن النسائي 3/ 4]

Imam Abu Naeem Ne Baab Qayem kiya hai 👇

”بَابُ الْكَرَاهِيَةِ أَنْ يَضْرِبَ الرَّجُلُ بِيَدَيْهِ عَنْ يَمِينِهِ وَعَنْ شِمَالِهِ فِي الصَّلاةِ“

[ المسند المستخرج على صحيح مسلم لأبي نعيم 2/ 53]

Saheeh Ibne Hibban Me Hai 👇

”ذِكْرُ الْخَبَرِ الْمُقْتَضِي لِلَّفْظَةِ الْمُخْتَصَرَةِ الَّتِي تَقَدَّمَ ذِكْرُنَا لَهَا بِأَنَّ الْقَوْمَ إِنَّمَا أُمِرُوا بِالسُّكُونِ فِي الصَّلَاةِ عِنْدَ الْإِشَارَةِ بِالتَّسْلِيمِ دُونَ رَفْعِ الْيَدَيْنِ عِنْدَ الرُّكُوعِ“

[صحيح ابن حبان 5/ 199]

Imam Ibne Abi Shaiba Ne Baab qayem kiya hai 👇

”مَنْ كَرِهَ رَفْعَ الْيَدَيْنِ فِي الدُّعَاءِ“

[مصنف ابن أبي شيبة 2/ 230]

Imam Ibne Hajar ne faramaya


”وَلَا دَلِيلَ فِيهِ عَلَى مَنْعِ الرَّفْعِ عَلَى الْهَيْئَةِ الْمَخْصُوصَةِ فِي الْمَوْضِعِ الْمَخْصُوصِ وَهُوَ الرُّكُوعُ وَالرَّفْعُ مِنْهُ لِأَنَّهُ مُخْتَصَرٌ مِنْ حَدِيثٍ طَوِيلٍ وَبَيَانُ ذَلِكَ أَنَّ مُسْلِمًا رَوَاهُ أَيْضًا مِنْ حَدِيثِ جَابِرِ بْنِ سَمُرَةَ“

[التلخيص الحبير ط العلمية 1/ 544]


Imam Nawawi Ne faramaaya


”وَأَمَّا حَدِيثُ جَابِرِ بْنِ سَمُرَةَ فَاحْتِجَاجُهُمْ بِهِ مِنْ أَعْجَبِ الْأَشْيَاءِ وَأَقْبَحِ أَنْوَاعِ الْجَهَالَةِ بِالسُّنَّةِ لِأَنَّ الْحَدِيثَ لَمْ يَرِدْ فِي رَفْعِ الْأَيْدِي في الركوع والرفع منه لكنهم كَانُوا يَرْفَعُونَ أَيْدِيَهُمْ فِي حَالَةِ السَّلَامِ مِنْ الصلاة ويشيرون بها الي الجانبين ويريدون بِذَلِكَ السَّلَامَ عَلَى مَنْ عَنْ الْجَانِبَيْنِ وَهَذَا لَا خِلَافَ فِيهِ بَيْنَ أَهْلِ الْحَدِيثِ وَمَنْ لَهُ أَدْنَى اخْتِلَاطٍ بِأَهْلِ الْحَدِيثِ وَيُبَيِّنُهُ أَنَّ مُسْلِمَ بْنَ الْحَجَّاجِ رَوَاهُ فِي صَحِيحِهِ مِنْ طَرِيقِينَ المجموع“

[شرح المهذب 3/ 403]



Imam Bukhari Ne Faramaaya



”وَأَمَّا احْتِجَاجُ بَعْضِ مَنْ لَا يَعْلَمُ بِحَدِيثِ وَكِيعٍ عَنِ الْأَعْمَشِ عَنِ الْمُسَيَّبِ بْنِ رَافِعٍ عَنْ تَمِيمِ بْنِ طَرَفَةَ عَنْ جَابِرِ بْنِ سَمُرَةَ قَالَ: دَخَلَ عَلَيْنَا النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ , وَنَحْنُ رَافِعِي أَيْدِينَا فِي الصَّلَاةِ فَقَالَ: «مَا لِي أَرَاكُمْ رَافِعِي أَيْدِيكُمْ كَأَنَّهَا أَذْنَابُ خَيْلٍ شُمُسٍ؟ اسْكُنُوا فِي الصَّلَاةِ، فَإِنَّمَا كَانَ هَذَا فِي التَّشَهُّدِ لَا فِي الْقِيَامِ» كَانَ يُسَلِّمُ بَعْضُهُمْ عَلَى بَعْضٍ فَنَهَى النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ رَفْعِ الْأَيْدِي فِي التَّشَهُّدِ , وَلَا يَحْتَجُّ بِمِثْلِ هَذَا مَنْ لَهُ حَظٌّ مِنَ الْعِلْمِ، هَذَا مَعْرُوفٌ مَشْهُورٌ لَا اخْتِلَافَ فِيهِ , وَلَوْ كَانَ كَمَا ذَهَبَ إِلَيْهِ لَكَانَ رَفْعُ الْأَيْدِي فِي أَوَّلِ التَّكْبِيرَةِ , وَأَيْضًا تَكْبِيرَاتُ صَلَاةِ الْعِيدِ مَنْهِيًّا عَنْهَا؛ لِأَنَّهُ لَمْ يَسْتَثْنِ رَفْعًا دُونَ رَفْعٍ“

[قرة العينين برفع اليدين في الصلاة ص: 31]


Imam Ibne Mulaqqin Ne Faramaaya 👇

”(أما) الحَدِيث الأول، وَهُوَ حَدِيث (جَابر بن) سَمُرَة فجعْله مُعَارضا لما قدمْنَاهُ من أقبح الجهالات لسنة سيدنَا رَسُول الله - صَلَّى الله عَلَيْهِ وَسلم -؛ لِأَنَّهُ لم يرد فِي رفع الْأَيْدِي فِي الرُّكُوع وَالرَّفْع مِنْهُ، وَإِنَّمَا كَانُوا يرفعون أَيْديهم فِي حَالَة السَّلَام من الصَّلَاة، ويشيرون بهَا إِلَى (الْجَانِبَيْنِ) يُرِيدُونَ بذلك السَّلَام عَلَى من (عَلَى) الْجَانِبَيْنِ، وَهَذَا لَا (اخْتِلَاف) فِيهِ بَين أهل الحَدِيث وَمن لَهُ أدنَى اخْتِلَاط بأَهْله“

[البدر المنير 3/ 485]


_______________________________
 

Top