Kya Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Farq hai ? Post No. - 2


Abdul Adil

Member
Kya Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Farq hai ?

Muqallid Bhaiyyo Ki Pesh Kardah Hadees Ki Tahqeeq

Tehreer:- Hafiz Zubair Ali Zai
Rahimahullah


Romanised:- Syed Ibraheem
Salafi

___________________

Daleel number - 2


Ibne Umar (Raz.) Se Marfooan Naqal Kiya Gaya Hai Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apne Peit Ko Raano Se Chipka Le.


[Ibne A’adi]



49


Note :- Ye Hadees Sunan Al Bayhaqi Al Kubra 3/74 mei hai aayiye is hadees ki bhi tahqeeq karte hai


Tahqeeq :-


Pehli baat hai Ye Riwayat Behqi 3/74 me Hai


YAHYA Bin MOEN ne ise Zaeef Kaha


Iski sanad me ABU MOEET hai


1 jo Zaeef hai


2 hadise gharta tha


3 Murji Aur Kazzab Tha


4 Murjio ke sarganon me se tha


5 hadise waza karta aur sunan se adawat rakhta tha


6 Hadise zabt karne me nakara tha.


(mezan 1/11,575, mezanul A’tad 1/584 ,lisanul Mezan 2/334)


Dusri Baat Is Hadees ka Aur aik raawi hai Muhammad Bin Al-Qasim Al-Balakhi is Fabricator hai


Lissan Al-Mizzan (5/347) and Meezan Al Aitedaal


Teesri Baat Is hadees me aur aik raawi hai Ubaid Bin Mohammad Al-Sarkhi” ye majhol hai


Conclusion :- This hadith is fabricated Even Imam Bahayqi (rah) himself said about this and the next hadith after it ” Hadissan Zaeefan La Ya Hataj Ba Masa Laha
 

Top